Crypto currencies ka market ma ana hard currency ky leay risk hai Kya?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #31 Collapse

    Re: Crypto currencies ka market ma ana hard currency ky leay risk hai Kya?

    Forex trading business mai agar crypto currencies aur hard currencies ki baat ki jaey tou dono ka aik he purpose hai kay traders inn dono mai trading kertay hain aur jaha unhain profit nazar ata hai wahi trade ker kay achi earnings kernay ki koshish kertay hain. Forex trading mai crypto currencies mai bitcoin he aik aisi achi aur strong currency hai jiss mai acha business kia jaa sakta hai kiyu kay bitcoin us dollar kay saath inverse proportion mai kaam kerta Hai. Us dollar strong honay pay bitcoin weak aur us dollar weak honay kay bitcoin strong hota hai.

    Agar hard cash ki baat ki jaey tou cryptocurrency hard cash ko koi nuqsaan nahi pohancha sakti. Kiyu kay cryptocurrency ka koi aisa future abhi tak nazar nahi raha hai kay hard cash ko replace ker sakey. Hard cash ki value mai crypto currencies say koi faraq nahi Parr sakta. Bitcoin ya ripple ho ya litecoins ho abhi tak tou adhay say ziada duniya mai inka kisi ko pata bhi nahi hai kay yeh kia hai. Iss liye crypto currency ko abhi hard cash ko challange kernay mai bohat ziada waqt lagay ga

    اب آن لائن

    Working...
    X