Re: Break out strategy..........
Breakout*ka matlab ye hai kay jab market kise bhe trend ko follow kar rahi hoti hai to us main us trend main support aur resistance ban jaati hain. Aur jab market unko follow krti jaati hai to usko normal trend kehty hain lekin jab kise support ya resistance ko torr jaati hai to usko*Breakout*ka naam diya jaata hai.
Ab hamne dekhna hai kay breakout par hamari strategy kia honi chahey. Breakout strategy kay 2 trading options hain.
1. Order Before Breakout
2. Order After Breakout
1.*Order Before Breakout:
Pehli strategy ye hai kay aap breakout say pehly*Pending Order*laga dain aur jab breakout hoga to market apka order utha ly ge. Maslan*EURUSD*pair main*1.1850 par Resistance*ban rahi hai aur us main apne breakout order lagana hai to wo aap buy stop ka order laga dain*1.1870*pe aur uska*Stop Loss*1.1850 sy thora neechy rakhin. Esi tarha aapaap Sell Stop*ka pending order bhe place kar sakty hain.
2.*Order After Breakout
Break out kay baad order lagana zaida safe samjh jaata hai kunkay apko pata hota hai k ye breakout confirm hai aur market kuch time kay wapis breakout say wapis nahe aai. Breakout kay baad trade lagana itna mushkil aur risky nahi hai. Simply aap aap breakout jahan say hua hai us say pehly*Stop Loss*laga dain aur aap*Take Profit*apne hisaab say analysis kar kay set karkar lain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим