Jaiza: Forex trading me "major currencies" aur "cross pair" par tabsera.
Forex exchange trading me har gher mulki currency k sharah ka taayun hota hai. Is me maojood ya muqarara qeemato par currencies ko khareedne, ferkht aur tabadele k tamam pehlo shamil hen. Forex trading me daily base pe taqreeban 5 trillions ki transactions hoti hai, is waja se trading hujam k lehaz se ye dunya ki sab se bari market hai.
Major currencies
Forex trading me kuch currencies ko major currencies kaha jata hai aur ye naam is ko wese nahi deya gaya hai bulke forex trading ki taqreeban 85% trading in hi currencies me hota hai is waja se ye major currencies hen. Chonkeh forex trading market ki sab se zyada trading in hi currencies me hota hai to forex trading me sab se ziada inhisar bhi in currencies pe kia jata hai. Forex trading market ki major currencies ye hen: EUR/USD, USD/JPY, GBP/USD, AUD/USD, USD/CHF, NZD/USD and USD/CAD.
Cross pair
Forex trading me aik dosri terminology istemal hoti hai cross pair. Cross pair forex trading me un currency pair ko kaha jata hai jis me USD dollar as a currency participate nahi kar raha ho, jese AUD/CAD, GBP/AUD,GBP/JPY NZD/CHF, AUD/JPY, GBP/CAD, NZD/JPY waghera.
Aur is k elawa jis pair me EUR ka istemal howa ho us ko Euro crosses pair kaha jata hai. Jese misal k tawar par EUR/GBP, EUR/JPY, EUR/AUD, EUR/NZD, EUR/CHF waghera.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим