kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?
    Assalamu alaikum mere dosto main aapse yah puchna chahta hun ki kya hmain abhi crude oil per trading karni chahie ya wait kar lena chahie aap iske bare mein kya kahenge.?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

    Crude oil iss waqt bohat down chall raha hai aur fillhaal crude oil mai trading theek nahi rahey gi kiyu kay crude oil last week bhi pehlay 2 say 3 sessions mai he 16$ say 10 $ pay agaya Tha. Abhi bhi iss barey main kuch nahi kaha jaa sakta kay kia situation banay gi. Kiyu kay kisi bhi taraf say na tou supply mazeed cut honay ki koi news arahi hai aur na he lock downs khatam honay kay fillhaal koi chances hain. Crude oil kay strong trends Tabb he bann saktay hain jabb supply cut ho jaey aur lock down khatam ho jain aur transports aur industries fully operational ho jain. Iss waqt world mai demand khatam ho chuki hai kiyu kay world mai usage khatam hain aur storages full hai jiss ki wajah say masael paida ho rahey hain. Crude oil ki prices bohat down hain laikin storages kay expenses bohat ziada barh janay ki wajah say buyers iss mai buying nahi ker rahey hain. Crude oil ko fillhaal sirf watch kerna chaiye aur jab koi news hoto trend bannay kay chances bhi bann saktay hain. Uss waqt takk crude oil ki trading theek nahi rahey gi
    • #3 Collapse

      Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

      crude oil me is wakt trading karna theek nehi ho ga kyun kay crude oil ki is wakt koi demand nehi ha jis se crude oil ki price main koi majors trend bhi banta dikhai nehi de raha tu ager ap crude oil me trades open karay gay tu ap ki trades loss me phans sakti hai or ap ko weeks se le kar month tak ka wait karna par sakta hai dusri taraf yeh bhi yeh bhi pridiction ki ja rehi ha kay crude oil ki price dobara negative me ja sakti ha or instaforex ki janib se bhi warning di gai hai ager crude oil ki price 3$ par a gai tu trades close kar di jae gi is liey crude oil me is wakt trading theek nehi hai loss hone kay chances hain majors dar is bat ka ha kay ap ka capital washed ho kar negative me ja sakta hai is liey oil par trading is wakt risky hai
      • #4 Collapse

        Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

        ji bilkul crude oil trading karna bahut Aasan hai lekin Iske analysis karna bahut difficult hai Kyunki iski Jo movement Hai vah Kafi fast hota hai aur log raske bhi bahut lete hain aur Usi risque Ki vajah se log Hamesha Yahan per nuksan uthate Hain aajkal is China Ne Jo Corona virus hai usko over hold kar liya hai ISI vajah se crural bhi hold ho gaya hai bahut Varna crural Mein Kafi break-out Aate aur Saudi Arab mein jo oil production advantage hai vah bahut oil produce kar rahe hain lekin coronavirus ke lok Don ki vajah se jo oil hai usko countries bi nahin kar rahe aur jo most oil Hai vah Saudi Arab Mein hold Hai ISI vajah se Iske prices ready to reduce hi next Main Bhi Ek sell position Mein Ek trade open kar liya hai hi hai aur lagta hai ki yah next week $10 rate se bhi niche a Jaaye
        Visit My Profile
        • #5 Collapse

          Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

          janab jahan tak maira experience hai wo yeh kehta hai kai oil per trading kabhi bhi feasible nai hai agar ap ki equity low hai because ap achi tarhan jantay hain kai oil ka contract size buhat bara hota hai jis ki waja say us ki halki si movement say bhi ap ko acha khaas loss aur profit hota hai. mostly traders low equity kai sath oil main trading kartay hain jo sometime un kai liyay acha bhi rehta hai aur nuksaan day bhi rehta hai lakin main yehi mashwara doun kai jiss kai pass 5000$ say kam ki equity ho wo oil per trading bilkul mat karain aur agar karni bhi ho tu buhat kam lot size kai sath karaain aur hamesha stop loss aur take profit ka istamal karain takay oil ki bari movement say ap ka account wash na ho sakaay aur ap ko zaida mokay mil sakain trading kai agar ap ka stop loss hit bhi ho jata hai. Oil ki volatility bhi is commodity more risky banati hai because jab market taizi say move karti hai oil ki tu aksar crash kar jati hai jiss ki waja say baray baray traders aur investors hazrat apnay paisay kho bhaithatay hain. Aj kal kai hawalay say main yehi kaho ga kai market abhi indefinite hai corona virus ki waja say jisk ki waja say market kai baray main khuch bhi predict karna galat sabit ho sakta hai becasue market aik dafa crash kar chuki hai aur ab retrace lai rahi hai lakin is ka matlab hargiz yeh nai kai market dobara crash nai kar sakti tu humay is waqt oil main trading nai karni chahiyay in my point of view.
          • #6 Collapse

            Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

            Forex forum members crude oil per trading karne ke liye aapko abhi kuch time wait karna hoga jaise hi puri duniya mein lockdown open hoga to crude oil ki demand suddenly increased ho jayegi aur crude oil ki prices shoot kar sakti hain aur again $50 per barrel ko cross kar sakti hain isliye aapko abhi vate karna hoga shayad Forex trading market mein crude oil ki prices negative mein jaane ki main reason supply increase hona aur demand zone degree hona hai abhi crude oil again negative mein jaane ke chances increase hote ja rahe hain kyunki aapko pata hai ki current situation mein koi bhi train nahin a rahi hai balki surat e hal din bhar din kharab hoti ja rahi hai aisi situation mein crude oil ki prices ka positive munh karna mumkin nahin hai aapko maloom hai ki crude oil ki demand kam se kam hoti ja rahi hai
            • #7 Collapse

              Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

              dear meri adivice k mutabiq hume is main sarif achi trading krni hoti ha besak wo crude oil ho ya phr koi ur pair jese k hum jante hein crude ol ki market bohat low ha ye dwon be ho skata ha is liye is time is main trading krna thek nai hoga is liye hum chaiye k abi dora wait kr lein ya phr hum currency trading kr lein tu ye hamre liye acha hoga is main zada risk lene se acha ha k hum wait kr lein dear is main ap ko jo be kam krna ha ap money management ko fallow kr k kam krein gey tu asani se kameyab be ho sakte hein hume is main sab se phaly tecnical analysis ur fundamental analysis ko fallow kr work krte rehna hota ha is main hume samjdari se work krna lazmi ha tenical analysis ur chart analysis ko fallow kr work krte rehna lazmi h
              :1f60d: hard work :1f60d:
              • #8 Collapse

                Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                Dear friend forex trading men crude oil sub se ziyada risky pair hey aur forex trading men sub se crude oil pe hi logon ka account wash ho jata hey aur aj kal crude oil musalsal down movement karnay k bahd 20 dollars pe gaya hey iss liay ab mazeed up move karnay k bahut kam chances hen iss liay yahan se sell pe trade karnay ka option mojood hey lekin crude oil pe trading karnay k liay big balance aur big experience hona bahut zaroori hey kiun k iss men fast aur unexpected movement hoti hey iss liay kisi side pe bhi bari movement kar sakta hey ya acha profit mil jata hey ya account wash ho jata hey iss men trading karnay k liay small lot size ko use karen aur stop loss aur take profit ko zaroor manage karen aur soch samaj kar trend ko follow karen aur phir trade open karen tu zaroor acha profit kama saktay hen
                • #9 Collapse

                  Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                  Assalamu Alaikum dear friend advice Hamen is message acchi trading Karni chahie Krodh ho ya FIR Koi Aur FIR Jaise ke Ham Jante Hain Krodh oil ki market bahut log hai ya down bhi ho sakta hai isliye is time is main trading karna theek Nahin hoga isliye Hamen chahie ki abhi thoda wait kar le ya FIR Ham currency trading ki Ki Kar len to yah Hamare liye Achcha hoga ismein risk Lene Se Achcha hai ki Ham vate kar le dear ismein aap ko jo bhi kam karna hi ho aap money management ko follow karke Karen Karen Ge to aasani se Kamyab bhi ho Sakenge Ham ismein sabse pahle a technical analysis aur fundamental analysis ko follow kar work Karte Rahana hota hai ismein Hamen analysis ko follow karke baat karna Rahana lazmi hai
                  • #10 Collapse

                    Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                    dear mamber abhi mera khyal hai k crude oil main trading nahi karni chahye q k ayh apko profit nahi de gi q k abhi oil boht down main move ho raha hai jis kiw jah se hum apni trading main acha profit nahi lay skty hain tu bahter yahi hai k ap abhi filhal apni oil main trading na akren aghr ap oil main trade karengy tu kuch bhi ho skta hai es liye apk pass other trading option boht se hain jin ko ap use kar k apni trading kar skty hain or acha profit lay skty hain qk jub hum currency pairs main trading karengy tu he hum forex maina cha profit lay skty hain abhi hmain apny account ko save rakhna hai jub hum apny account ko save rakhengy tab he hum forex main achi trading kar skty hain or kamyab ho skty hain achi trading kany k liye hmain khud ki ability ko strong krna hoga jis se hum kamyab ho skty hain or achi earning kar skty hain
                    • #11 Collapse

                      Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                      Crude oil main is time trading karna Mere Khyal Mein Kafi Jyada dangerous ho sakta hai iska main reason kya hai ki crude oil ki consumption Itni Jyada Nahin Hai Lekin crude oil price per Ja Rahe Hain yah bhi ho sakta hai ki next week mein crude oil prices down a jaen aur yah bhi ho sakta hai ki next week mein crude oil prices Aur Bhi Jyada Ab Laut Chalen is chij ko Hamen acche tarike se samajhna Hoga agar humne crude oil Mein kam Karna Hai To Hamen Soch samajhkar decision Lena Hoga Agar Hamara decision wrong Ho Gaya To Hamen trading karke bahut jyada nuksan ho jaega
                      FRD 07 TRADING JOURNAL
                      • #12 Collapse

                        Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                        Corona waba ki vajah se crude oil ki kimat jo hai vah bahut zyada niche a gai hai. Aur Ek Mukam per to yah Safar se bhi niche Chali Gai Thi lekin ab ismein thoda bahut istehkam pakad liya hai aur uski kimat thodi bahut Upar ko ja chuki hai. Donald Trump k tweets se lagta hai ki America Iran ke sath Tel war Shuru karna chahta hai Agar America ka iran ke sath tel war shuru ho jata hai to ho sakta hai ki Tel ki kimat Upar Chali Jaaye. Agar Nahin Hota To Tel ke upar Jaane Ki bajah Wapas Nachin Aaegi Kyunki abhi tak Duniya Ne Corona vaba per Koi Kabu Nahin Paya Hai.
                        • #13 Collapse

                          Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                          Dear member Forex trading Mein crude oil abhi is situation Mein Nahin Hai Ki usmein trading Karke Achcha profit Hasil kiya jaaye Kyunki last days Mein crude oil ki jo movement Thi vah totally down Mein Thi Jiski vajah se bahut se members ko loss bhi hua tha isliye abhi ismein effect ke hi hai ki Ham Forex crude oil Mein trading na Karen crude oil ki aisi situation karo na Mara uski vajah se hai jo ki Koyal per Puri Tarah Se affected Hua Hai Jab Ke America mein crude oil ki price ke sath aap Agar Kuchh barrel oil Lete the to aapko oil ke sath dollars bhi dety thy crude oil ki market Itni down Mein Chali Gai thi oil ki market movement recorded down Mein Chali Gai Thi Jo ki abhi tak Usi situation mein hai usmein thoda sa improve Aaya Hai Lekin abhi Hamen oil ki trading Nahin Karni chahie Kyunki Agar Ham ismein oil trading Karenge to loss hone ke chances ho sakte hain isliye loss se bachne ke liye jaruri hai ki abhi oil ki trading ko avoid kiya jaaye
                          • #14 Collapse

                            Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: Forexhunter007 پيغام ديکھيے
                            Assalamu alaikum mere dosto main aapse yah puchna chahta hun ki kya hmain abhi crude oil per trading karni chahie ya wait kar lena chahie aap iske bare mein kya kahenge.?
                            Mere Khyal Mein To Hamen sabse pahle yah dekhna chahie ki Hamare Jo critical aur dangerous spares Hai vah kaun kaun se Hain sabse pahle Hamen Unki information Hasil Karni chahie aur Forex trading Mein Mere Khyal aur information ke mutabik gold aur crude oil donon hi dangerous se Pare hain aur aajkal to Krona virus a ki vajah se crude oil ka bahut hi jyada Pare down Mein ja raha hai isliye Main To Yahi kahunga ki aap is per trade na Karen Kyunki isase ki moment ko samajhna bahut hi jyada Mushkil ho chuka hai agar to America mein 100% lock download start ho jata hai to aur ki kimat Aur Bhi Jyada niche Chali Jayegi lekin agar aisa Na Hua to stable ho jaega aur Hamare liye Kafi risky bhi sabit ho sakta hai
                            https://investsocial.com/ur/showthread.php...6#post10317876
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: kya crude oil pay trading karna abhi theek hai?

                              Dear jahan tak mera khayal hai tu filhal crude oil par trading ni karni chahye aur uski waja ye hai k jaisa k apko pata hai k filhal poori dunia mein corona virus ki waja se lock down chal raha hai aur transport waghaira sab kuch band hai tu oil ki consumtion bilkul band hai aur jab oil ki demand ni hogi tu price upar jany k chance ni hain aur waisy bhi abhi kisi country k pass oil stor karny ki jaga bhi ni hai jis ki waja se filhal oil ki prices short term mein barhny k chances ni hain lekin long term mein ye up jaye ga but abhi tak oil industries bahut loss mein ja rahi hain kyun k koi bhi country oil khareed ni rahi kyun k lockdown ki waja se deemand na hony k baraber hai aur storage bhi already full hai is liye crude oil par trading na karny mein behtri hai kyun k crude oil k liye hamary pass bahut bara capital hona chahye kyun k agar trade loss mein jaye tu account wash na ho is liye ap kisi aur pair mein trading kar lyn tu behtar hai aur kam spread waly pairs mein trading kar k ap profit kama sakty hain

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X