Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Aap sub ko sub say pehlay Ramzaan Mubarak. Aaj pehla roza hai aur ramzan mai her kaam ka schedule tabdeel hojata hai. Kaam kernay kay timings tabdeel hojatey hain. Pak forex forum pay kaam kernay ka schedule bhi ramzan mai tabdeel hojata hai. Members ko pehlay ramzan say he apna schedule Bana laina chaiye takay agla aik month usi schedule pay ammal ker kay achi posting ki jaa sakey aur ramzan ki barkatoo kay saath saath posting work ko bhi jaari rakha jaa sakey.
Ramzan mai ziada ter posting work raat mai kia jaa sakta hai. Kiyu kay weekend mai tou time mill sakta hai kay subha sehri aur namaz kay baad so Lia jaey aur jab uthaa jaey tou posts ker li jaey laikin working days mai itna time din mai milna mushkil hoga. Iss liye members ko ab iftaari aur taraveeh kay baad say late night kaam kernay ka schedule Bana laina chaiye. Iss tarah ziada aur acha kaam ho sakey ga jiss say eid pay achay bonus say double enjoyment ki jaa sakey gi

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим