kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?
    dear friends forex market main aj tak fast movement bilkul bhi nahi kia es ki wajah yeh bhi ho sakti hai ky virus ki wajah say bank trading na kar rahy houn app ky khayal main asa hai ky bank trading main involved hain ya nahi please apna knowledge share karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

    International trading markets ka apna aik independent system hota hai jiss ka kisi bhi kisam kay conventional bank say koi taaluq nahi hota hai. Forex trading markets kay slow honay ki bohat si wajuhaat ho sakti hain jinn ka banks say as such koi taaluq nahi hota hai kiyu kay banks trading nahi kertay hain. Forex markets ki movements ka taaluq aisay incidents say hota hai jinn ka asar trading markets pay parta hai. Iss waqt sub say ziada masla Corona pandemic hai jiss ka abhi takk kuch bhi solution nahi ho raha hai aur jo solution lock downs aur social distancing say kia gaya hai uss say business uncounted time kay liye stop ya hang ho chukay hain.

    Iss week market kay slow honay ka dusra big reason kuch American organizations ki quarterly policies aur interest rates cut kay chances hain jo isi week mai announce honay hain. Market uss waqt slow hoti hain jab aisi big news anay waali hoti hain. Iss kay elawa good Friday aur Easter week end kay baad USA market abhi open ho rahi hai tou ab USA session pay Corona pandemic kay asraat pata chalengay kiyu kay iss waqt USA Corona say sub say ziada mutaasira mulk hai
    • #3 Collapse

      Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

      Agar sach poochha jaaye to trading member hamare pass itna knowledge nahin hota hai ki ham yah bata sake ki banks Forex trading mein aajkal trading kar rahe hain ya nahin lekin itna kahunga ki investor and trader zeyada insecure feel kar rahe hain due to this current situation Forex trading market mein investment and trading rishu come ho gai hai lekin online business bahut grow kar raha hai aur technology and micro technology ki vajah se Forex trading market jyada teji ke sath famous ho raha hai aur ismein log zyada join kar rahe hain because Forex trading market mein trading start karne ke liye aapke pass best opportunities hain aur ismein koi difficulty bhi nahin hai aap aasani ke sath join kar sakte ho
      • #4 Collapse

        Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

        Dear ye jo apne baat ki hai ais market mai zayda tar banks trade kar rahy hoty hai aor ais market mai ap agar dekhy to bary banks hi zayda paisa kamaty hai normal trader to atna zayda profit nai banaty hai ap ne agar ais market mai kamyab hona hai to ap ko ais market mai soch samjh k trade karni chaye agar ap ais market mai achi trade lagaty hai to ap ko ais mai kafi zayda profit ho jata hai ap agar ap ais market mai trade karna chaty hai to ap ko ais market mai apni trading strategy k hisab se trade lagani hoti hai ap agar ais market mai kamyab tab hi hoty hai jab ap ko ais market mai kaam karny ki samjh aa jati hai aus k baad ap ais market mai kamyab ho jaty hain.
        • #5 Collapse

          Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

          dear banks trading me 24 hours involve hotay hain or mostly liquidity in banks ki waja se hi ati ha jo retail traders hain in ki liquidity forex market me bank ki nisbat boht zeyda kam hain banks trading Apne planing or soch samaj or apni economy ko analysis karte huey trading karte hain jo big countries ke central banks hotay hain un ka kaam profit earn karna nehi balke apni currency ko stable rakhna hota ha or wo isi ke hisab se decision letay hain trades kartay hain banks ki strategy apni economy ke hisab se hoti ha wo long strategy bhi ho sakti ha or wo short strategy bhi ho sakti ha banks kub or kis wakt zeyda trading kare gay jis ki waja se zeyda volatility aye gi is ke liey wo apni economy ko sub se pehle rakhainy gay or jo traders kisi countries ki economy ko dekhtay huey os currency me trading karte hain wohi traders mostly successfull hotay hain
          • #6 Collapse

            Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

            Mjy ni lgta k bank forex m treadin kr rhy hen baqi m abi khud ak new member hon forex m es liy mjhy es bary m koi knoliged hasil nhi jo m ap sy shyar kr sakon jis k pas es bary m koi knoliged hy wo hmy apna experience shyar kr k gaid kry plzz
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: kia forex main aj kal banks trading kar rahy hain ya nahi?

              Ji ap nay bohat acha question kia hay. Aj kal ki agar soorat-e-hal ko dekha jay to woh aam trading yehni manual trading kay liay bohat ki nuqsan deh hay kun k bohat ci countries main this time ziada tar cities main lock down hay jes say har kisam ka karobar band hay aor bohat ci power full countries kay muaashi halat bohat kharab hain jis ka world kay tamam banks par bhi bohat bura asar hay. Forex trading choon k aik online business hay jo ghar bethay kia ja sakta hay es liay es business ko woh tamam banks kar rahay hain jo lock down kay doran open rehtay hain kun k Forex business currencies ko online buy and sell karnay ka business hay lehaza this time banks bhi trading kar rahay hain aor others Forex traders bhi Forex trading kar rahay hain bas en mojoda halat ki wajah say market bohat slow hay aor en halat ki wajah say Forex trading pay bhi kuch na kuch bura asar zaror hay lakin manual trading ki nisbat bohat hi kam asar hay.

              اب آن لائن

              Working...
              X