USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun nahi?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun nahi?
    dear friends jesy ky ap janty hain ky america main virus ki wajah say bohut ziada nuksan hoa hai aur abhi tak lakhon ky hisab sy virus distrub kar raha hai mager dosri tarf ager ham doller ko dekhain tu wo abhi tak strong hai es ki kia reason ho sakti hai please explain karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

    Dear ap ne agar dekha ho to ais time virus ki waja se kafi zayda loss ho raha hai ap ne agar ais market mai dekha ho to usd ais liay strong ho raha hai k baqi countries mai bhi virus ki waja se nuqsan ho rahy hai apne agar ais market mai kaam karna hai to ap ko ais mai soch samjh k kaam karna chaye ais se ap ais market mai dekhy to USA mai agar virus zayda ho raha to aus ki abi jo latest news aa rahe hai aun se ye pata chala hai k ye fake news di ja rahe hai ais mai atna zayda masla nai hai jitna aunhon ne kaha hai ap ne agar ais time dekha ho to ais virus ki waja se itley mai sab se nuqsan ho raha hai USA ko atna zayda nuqsan nai ho raha aisi waja se dollor strong ho raha hai.
    • #3 Collapse

      Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

      USA corona virus ki waja se sab se zeyada effect hona wala country hay magar per be US dollar ki value me kami nahi ai hay es ki waja ye hay key etny short time me kabi be US dollar ki keemat aur es ki value me kami nahi a sakti hay, corona ka effect agar USA me zeyada hay per be USA ki economy apni zeyada production ki waja se etni strong hay key ye kabi be US dollar ko etny kam time me weak nahi hony dety, recently USA ne jo corona relief fund package ka illan kia hay es ki waja se be us dollar ki value bahot zeyada strong howi hay aur agar USA me 1 year tak be virus par control na kia gia per be possible hay key US dollar currency ki value me kami na aye.
      • #4 Collapse

        Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

        Kisi bhi currency ky devalue hone ki bahut sari wajuhat hoti hain inko understand karne ke liye struggle karna padati hai aapke pass unemployment data hona chahie employment dress honi chahie currency interest rates honi chahie foreign policy ka maloom hona chahie agar kisi mulik mein interest rate uncertainty ki vajah se zero kar diya jaaye to uski currency ki value strong rahti hai log investment karte rahte hain aur aur political uncertainty na hone ki vajah se currency strong ho jaati hai hamare mulk mein bahut sari baton mein itna Fark nahin hota hai political uncertainty hoti hai opposition aur government ke bare mein insert and natural things samne aati hain trading market mein agar aap aapki investment and stock exchange market stable rahti hai to aap ki currency devalue nahin hoti
        • #5 Collapse

          Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

          dear yeh aik zinda hakeekat hay k corona virus ki wajha say markeet main doller ko nuksaan ho raha hay jiski wajha say usay down bhi ana chaye magara asal hakeekat sath sath yeh bhi hay k agar yeh virus sirf usa main hota to ham daikh bhi saktya thay k doller nay daikhtay daikhtay down ana taha ab situations yeh hay k yeh virus poori dunya main apnay dairay jamaye huvay hay jiski wajha say ham daikh rahay hain k gbp ko bhi down ana chaye jiski wajha say total jpy pairs ko bhi down ana chaye unki bhi economy down ani chaye ab same positions honay ki wjha say total markeet aik range main moove kar rahi hay to jiski wajha say ham daikh rahay hain k akailay doler ko down ham nai daikh saktay hain mairay khayal say yahi wajha hay jisk liye doller alone moove down nai kar raha hay aur na kar sakta hay.
          • #6 Collapse

            Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

            USA mai Corona virus ki wajah say halaat kaafi kharab ho chukay hain. Corona virus pandemic ka iss waqt center USA bann chuka hai. USA ki economy pay iss ka bohat ziada negative impact aa chuka hai aur mazeed araha hai. USA ki economy kay down anay kay bawajud bhi us dollar kay weak na honay ki 2 wajuhaat hain. Jinn mai say aik wajah USA ki economy ka world ki strongest economy hona hai. USA nay 2.2 trillion dollars ka bail out package Dia hai jiss say economy ko support tou mili hai laikin USA kay halaat mazeed kharaab honay kay saath saath dollar weak ho raha hai. Iss waqt bhi Agar trading market ko daikha jaey tou us dollar bohat weak Hua hai jiss ka pehla direct impact gold ki prices pay nazar bhi araha hai iss kay elawa bhi dollar iss waqt bohat si currencies say weak ho chuka hai. Usa ka job data bhi aa chuka hai jiss ki wajah say inflation mazeed barh rahi hai. Iss Tarah dollar ab mazeed weak ho raha hai
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: USA main sab sy ziada virus ki waja say nuksan ha mager doller ki value kam kun n

              dear is me koi shak nehi ha corona virus ki waja se usa ko boht zeyda nuksan ho raha ha par zeyda nuksan hone ke bawajood bhi us dollars ki price increase is liey ho rehi ha ke usa ki economy strong hone ki waja se usa ne apni economy ko stable karne ke liey 2 trillions dollars ka package dea takay wo apni economy ko jo corona virus ki waja se nuksan howa ha os ko pora kar sakain or wo is me kafi had tak kamyab bhi rehay hain baki countries usa ki tarah strong economy wali nehi hain ke wo apni economy ko stable karne ke liey itna bara economy package de sakain trillions dollars me
              dusri taraf jub bhi aisi koi World me pandemic situation hoti ha tu wo us dollars ko safe currency samjte hain reserve ke liey jis se us dollars ki buying zeyda hone se bhi us dollars ki price increase hoti ha

              اب آن لائن

              Working...
              X