Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Forex trading business aik world wide business hai jiss mai pooray world say laakhoo traders kaam kertay hain. Bohat say traders iss business mai roz kaamyab hotay hain aur roz nakaam bhi hotay hain. Iss business mai kaamyabi aur nakaami dono ki he alag alag wajuhaat hoti hain. Kaamyab traders ki strategies ko daikha jaey aur parha jaey tou aik baat jo samajh aati hai jo kay nakaam traders kay nataeej daikhnay aur analysis kernay kay baad samajh aati hai woh market ki movement ko samajhna hai. Forex trading mai kaamyabi unhi traders ko milti hai jo markets ki movements ko samajh laitay hain aur sahi waqt pay sahi positions open ker laitay hain aur phir unhain close bhi sahi waqt pay he ker laitay hain.
Forex trading business mai forex market ki movements ko samajhna koi science nahi hai aur na he iss mai koi complex baat hai. Forex trading Kertay huay market ki movements ko samajhnay kay liye trading terminal pay charts ki reading, time frames ka use, trends aur analysis kernay kay tareeka kaar he kaafi hotay hain. Jab takk markets ki movements ko na samjha jaey uss waqt takk kaamyabi haasil kerna mumkin nahi hai aur jo trading market ki movement ko samajh laitay hain woh kaamyab traders bann bhi jatey hain aur kehlatay bhi hain

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим