Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Corona virus aur crude oil war ka aik saath waar trading Markets pay bohat Ziada impact ker chuka hai. Aisa lagg raha hai kay aik month pehlay honay waalo OPEC meeting mai Russia ki statement jiss mai kaha gaya Tha kay Corona ziada arsa nahi chalay ga aur na he iss kay world economy pay ziada asraat hongay jiss ki wajah say crude oil ki supply Kamm kernay ki zarurat parey gi ab ghalat saabit ho chuki hai. Aur Saudia ki yeh statement jo kay aik month pehlay ki meeting mai di gai thi kay crude oil. Ki demand Kamm honay ki wajah say supply ko cut kerna chaiye ab sahi saabit ho rahi hai. Russia kay inkaar ki wajah say Saudia aur UAE nay production pehlay say ziada ker kay world ko crude oil mai flood kernay kay threats diye aur phir crude oil ki prices 19.65$ per barrel tak bhi agai thi.
Kall president Trump ki madakhalat pay OPEC ki emergency meeting ka next week ka schedule aagaya hai jiss ka impact USA kay last session mai bhi nazar Aya hai. Ab next week Agar Russia aur Saudia production Kamm kernay ka elaan kertay hain tou crude oil prices demand aur supply ka balance honay pay dobara 40 $ per barrel tak janay kay roshan imkanaat bann chukay hain. Iss liye Agar crude oil ko iss waqt buy ker Lia jaey tou bohat acha business kia jaa sakta hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим