Free margin kia hota hy?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Free margin kia hota hy?
    Free margin kia hota hy?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Free margin kia hota hy?

    Trading market mein free margin aapka remaining capital hota hai jab aap koi trade open karte hain to uske bad jo aapki amount new trade open karne ke liye rah jaati hai usko free margin kaha jata hai lkn apko market ma aisi risky trading nhi krni chue jis ma apky pas koi new trade open krny ka option he na ho blky apko trade open krny sy pehly market ky lehaz sy analysis krna ho ga aor market ma indicators ko use krty huy lot size aor trading market ma koi bhi open trade close krny ky leay apko uski modification ko set krna chye aor loss aisa aor itna stoploss set kro jitna recover ho saky apko maloom hai ky forex market ma apko aik bar chance zaroor milta hai ua ko avail krna sekhen aor trade usi trah kren jesy professional krty hain
    • #3 Collapse

      Re: Free margin kia hota hy?

      Forex trading mai jab account mai deposit kiye jatey hain tou woh 4 types mai show hotay hain. Account balance, equity, margins, free margins mai show ho rahey hotay hain. Account balance tou woh total amount hoti hai jo balance mai mojud hoti hai. Equity woh amount hoti hai jo kay profit ya loss ko add ker kay ya subtract ker kay show ho rahi hoti hai. Margin woh amount limit hoti hai jo trades mai use ho rahi hoti hai aur free margin woh amount hoti hai jo free margin ko equity say minus ker kay show hoti hai kiyu kay jab aik trade open ki jaati hai tou account ki leverage kay mutabiq uss ki percentage bann rahi hoti hai. Trade profit mai Janey say woh percentage barh rahi hoti hai aur trade kay Loss mai janay say woh percentage Kamm ho rahi hoti hai. Free margin ka Matlab yeh hota hai kay abhi account ki capicity new trade kay liye mojud hai ya nahi hai.
      • #4 Collapse

        Re: Free margin kia hota hy?

        Free trading margin kia hay?

        Free trading margin account key leverage size key base par brokers key taraf se provide kia jata hay es free margin ka use trading me kia jata hay aur low investment ko ye free trading margin loan ka kam deta hay, Forex market me pairs aur stocks key buying aur selling rates ka agar jaiza leya jaye to ye mumken hi nahi key kam investment key base par es me trading ho saky magar leverage size key help se jo free trading margin hamy mil jata hay ye impossible ko possible me change kar deta hay aur ham apni marzi key lot size se es pair me buying selling orders place karny key position me ajaty hey.
        • #5 Collapse

          Re: Free margin kia hota hy?

          Dear ap ais market mai jab trade lagaty hai to aus time ap k account mai se kuch margin use ho jata hai aus k baad ap k account mia jo balance hota hai aus k hisab se ap k account mai free margin hota hai jab market ap k opposite jati hai to wo ap ka free margin kam hota rehta hai ap ais market mai tab hi trade laga skaty hai jab ap k pass free margin ho ais market mai ap agar trade karna chaty hai to ap ko ais market mai trade karni ho to ap ais market mai free margin ko maintian kara chaye mean ap ais market mai jab lot choti lagaty hai to ais se ap ka bahot hi thora margin use hota hai aor aus par ap k pass option hota hai k ap account par mazeed trades laga skaty hain.
          • #6 Collapse

            Re: Free margin kia hota hy?

            Assalamu Alaikum dear friend Forex trading Mein Jab account mein deposit kiye Jaate Hain to vah four types Mein show hote hain account balance equity margin free margin Mein show ho rahe hote hain account balance to vah total amount Hoti Hai Jo balance Mein maujud hoti hai equity vo Maut Hoti Hai joke profit and loss ko add Karke ya subtract Karke show ho rahi hoti hai margin vah amount limit hoti hai jo trades main use ho rahi hoti hai aur free mein amount hoti hai jo free margin ko equity se - Karke show Hoti Hai Kyunki Jab ektrit open ki Jaati Hai To account ki leverage ke mutabik uski percentage ban rahi Hoti Hai trade profit Mein jaane se vah percentage badh Rahi hoti hai aur trade ke loss Mein jaane se vah percentage kam ho rahi Hoti Hai free margin ka matlab yah hota hai ki abhi account ki capacity newtrade ke liye maujud hai ya nahin market Mein Jab trade Lagate Hain to use time aapka account mein se Kuchh Marzi news ho jata hai uske bad aapka account mein jo balance Hota Hai Uske hisab se aapke account mein free marking Hota Hai Jab market aapko opposite Jaati Hai to vah Aapka free margin kam hota rahata hai aap is market Mein Jab Bhi trade Laga sakte hain Jab aapke pass free marking hoas market mein aap Agar trade karna chahte hain to aapko is market Mein trade karni ho to aap is Marg Mein free margin ko maintain Karachi chahie mean aap is market Mein Jab load Chhoti Lagate Hain To isase aapko bahut hi thoda mark in use hota hai aur use per aapke pass Option hota hai ki aap account per mazeed sakte hain
            • #7 Collapse

              Re: Free margin kia hota hy?

              Trading account mein Jab aapke pass total balance hota Hai hi usko utilise karte hue aap ek tradeplace karte Hain, aap ki total capital mein se Kush hissa aapka active trade mein use ho jata hai aur jo Baki ki balance bacha hai usko free margin kaha jata hai. Free margin active trade ke profit and loss ke sath increase or decrease hota rahata Hai. Free margin ap ja remaining balance bhe khelata hy aur isi ke oper app next trade place kar saktay Hain. Jab app trading Main new hote Hain to hamen chahie ki aik waqat Main ek hi trade place Karen aur jab tak aap usko close nahin kar dete tab tak aap dusri trade ko place na Karen. Iske alawa aapko capital ki money management karne ka mukammal tariqa kar pata Hona chahie aur aap hamesha apni tamam trades mein isko consider karke tradeplace Kiya Karen.
              • #8 Collapse

                Re: Free margin kia hota hy?

                forex trading main free margin wo amount hoti hai jo hmari durning trade shho who rahi hoti ha osk matalb yah hota hai k apki trading main jo bhi resuilt ho osk bad apka free margin itna hoga or wo apka capital hoga es liye hmai apni trading main capital ko dekhny k liye free margin ko achi trha se dekhna chahye qk hum yahan se he dekh skty hain k hmari trade main loss ho raha hai k profit ho raha hai jub humain loss hota hai forex main tu humain kam loss k sath apni trade ko close kar den achahye q k hum free margin se dekh skty hain k hum bad main os los sko recover kar skty hain k nahi es liye hmain apni rading main free margin k hisab se bad main loss ko recover karny main asani hoti hai forex main aghr ap loss ko recover karny k liye free margin chahty hain tu ap apni trade main smal lot k sath apni trade karen ta k ap apni trading ko acha or miyari bana ksaen
                • #9 Collapse

                  Re: Free margin kia hota hy?

                  Dear free margin apka wo remaing balance hota hai jis p apko aur trades lagany ki access di gai hoti hai agar apki koi trades open hai aur apko un trades mein profit ho raha hoga tu apka free margin bhi zayada hota jaye ga aur ap ko trade lagany ki access bhi barhti jaye gi aur agar apki trades loss mein chal rahi hon gi tu ap ko loss hony ki waja se apka free marging kam hota jaye ga aur even k minus mein bhi chalta rahy ga aur free margin jab kam hota hai ya ni hota tu ap aur trade open ni kar sakty aur apko agar is market mein kam kar k profit kamana hai tu ap money mangenent k sath kam karyn aur lot choti lagayn jab ap lot bari lagayn gy aur apka account balance kam hoga tu apka free margin kam hota jaye ga aur loss bhi barhta jaye ga aur apko loss zyada hony ki waja se a count bhi wash ho jaye ga
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Free margin kia hota hy?

                    jub ap ke pass 100$ ka capital hota ha or ap ne koi trade open nehi ki hoti ha tu ap ke 100$ ka free margin 100$ ka balance or 100$ ki equity hoti ha or free margin ka use trade open karne ke liey hota ha agr ap ke pass free margin ho ga tub hi ap trade open kar sakte hain agr ap ke pass free margin kam ya negative me ha tu ap next koi or trade open nehi kar sakte hain

                    example:
                    ap ke pass 100$ ka free margin ha or ap ne aik trade open ki jis me 10$ ka margin use ho gaya tu ap ke pass 90$ free margin reh jaye ga or yaha par agr ap ko profit ho raha tu ap ka free margin increase hota rehay ga agr ap ko loss ho raha ho tu ap ka free margin kam hota rehay ga free margin ka use ap ki leverages par depend karta ha trade open karte wakt agr ap ki leverages zeyda ho gi margin kam use ho ga agr leverages kam ho gi tu margin zeyda use ho ga

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X