US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?
    US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

    USD USA ki currency ha jab Euro UK ki currency ha is main koi connection ni ha balky EURUSD aik pair ha forex trading main jahaz in donu currencies ka apis main muqabila hota ha aik time aik strong hoti ha or usi time dosri currency weak ho rehe hoti ha in directly koi khas connection ni ha forex trading main sab countries ka apis main is tahra pairs bany hoty han or jin main aik dosry sy muqabila chal raha hota ha kabi aik currency strong hoti ha or kabi dosri strong hoti ha is tahra hum log in k strong ya weak hony sy fayda hasil karty han in ki isi up down movement sy trading kar k ache earning karny ki koshish karty han
    • #3 Collapse

      Re: US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

      us dollars usa ki currency ha jis ki economy 20 trillion se above ha or euro European Union ki currency ha jis ki economy bhi 20 trillion se above ha purchasing power ke hisab se isi waja se dono taraf strong economy hone ki waja se apas me eurusd ka boht acha mukabla hot ha os eurusd me market ki movement baki pairs ki nisbat easy or trending hoti ha jis ki waja se forex me eurusd ka pairs sub se zeyda trade hone wala pair ha isi waja se forex market me eurusd sub se famous pair ha euro European Union or usa me export import bhi kafi had tak ha jis ki waja se eurusd ko aik reliable pair samja jata ha trading karne ke liey yehi euro or US dollars me big economy hone ki waja se connection ha
      • #4 Collapse

        Re: US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

        USD aur Euro mai kisi kisam ka koi connection nahi hai. Forex trading business mai kisi bhi currency ka Dusri currency say itna he connection hai kay dono pairs mai aik dusray kay saath ho sakti hai aur aik base aur Dusri quote currency hoti hai. Euro USD dono he strong currencies hain aur inn dono kay he Dusri currencies kay saath bohat ziada pairs hain. Iss kay elawa us dollar ka market ki total base currency hai. Jab bhi us dollar pay kisi bhi qisam ka pressure ata hai tou sub say pehlay us Ska effect gold pay parta hai aur phir poori market pay he pressure ajata hai. Expert traders hamehsa yehi advice kertay hain kay sirf us dollar ki movement ko daikh kay bhi market mai bohat achi trading ki jaa sakti hai. Gold mai trading kay liye bhi us dollar pay focus kerna bohat zaruri hota hai
        • #5 Collapse

          Re: US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

          Dear ap ne dekha hai k ais market mai jitni bhi currencies hai aun k pair bany hoye hai aor ap ne agar trade lagani ho to aus mai ap ko koi pair select karna parta hai aisy hi ais market mai sab se zayda jis pair par trade hoti hai wo EURUSD hai aor ais mai sab se achi baat ye hai k ais mai aik to spread kafi zayda kam hai aor dosra ais mai ap agar trade karty hai to aus mai moment bhi aik hisab se hoti hai ais mai ap acha profit bana skaty hai ais market mai ap ko ye dekhna hota hai k ap agar ais market mai planing kar lety hai to ais market mai ap ko acha profit ho jata hai kun k ais market mai jis pair ka trend ap ko samjh aa jaye aus par ap acha profit bana skaty hai aor aus se ap ko faida ho jata hai.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: US dollar or Euro Main Kya connection hota Hai?

            kisi bhi currency pair per jab aap trading karte ho to aapko maloom hai ki Forex trading market mein currencies cross pair mein trading ki ja sakti hai misal ke taur per agar aap ek major currency pair per trade open karte ho to iska matlab hai aap ek waqt mein do currency score trade kar rahe ho first currency ko base currency kaha jata hai 2nd currency ko term currency kaha jata hai iska matlab yah hua ki aapko ek currency pair per trading karne ke liye two different countries ke economic situation economic fundamental elements and trading related risk and news ke current update kamal hona jaruri hai tab aap forex market mein successful trading experience kar sakte ho aur acchi profit earning ke liye aapke pass chances increase ho sakte hain

            اب آن لائن

            Working...
            X