Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Bitcoin aik aisi digital currency hai jiss nay bohat ziada utaar charhaoo daikhay hai aur ye also digital currency hai jiss ki wajah say pooray world mai laakhoo traders aur individuals ameer huay hain aur bay tahasha ameer huay hain laikin phir iss currency nay shadeed down fall bhi daikha hai. Us dollar kay saath bitcoin ka relation hai kiyu kay jitna pressure us dollar pay aata hai uss ka utna he impact bitcoin pay bhi ata hai. Pichlay kuch dinoo say USA aur Iran ki tensions, China aur USA ki trade war, UK ka election aur brexit waghaira sub aisi political situations thi jiss ki wajah say world economics kaafi pressure mai rahi hai. Bitcoin ki prices kaafi ziada down aanay kay baad ab bitcoin ki prices 8000$ say uper jaa chuki hai. Bitcoin ki usd kay saath trading pair mai bhi taqreebun 60$ ki up movement aa chuki hai. Forex traders ko bitcoin ki usd kay saath currency exchange pair mai bhi trading kerni chaiye. Laikin uska spread 2$ hai aur iss baat khayaal bhi rakhna chaiye kay strong account balance aur minimum lot size rakh kay trading ki jaey
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим