Trading markets pooray world Mai mojud hain. Her taraqqi yaafta mulk mai mojud market mai poori duniya say investors aur companies kaam kerti hain. New York stock exchange ho ya London stock exchange ho. Tokyo ho ya phir singapur ki market ho. Ye sub aisi markets hain jaha taqreebun pooray world ka business ho raha hota hai. Ye aisi markets hain jinn mai honay wala business kisi bhi mulk ki local stock markets pay bhi direct assar andaaz hota hai. Kiyu kay her barri company jo oori duniya mai products supply kerti hai ya services daiti hain wo inhi markets mai business kerti hain.
Jab koi international political issue banta hai tou inn markets pay bhi unka direct asar hota hai. Ab Agar us dollar pay koi effect aey tou bhi her market pay uss ka asar hota hai kiyu kay us dollar international business ki currency hai her exchange aur trade dollars mai hai hoti hai. Issi liye USA IRAN ka jaghra ho, China USA ki trade war ho, OPEC ya Arab countries mai koi masla ho ya Brexit ka issue ho. Inn sub ka direct impact international markets pay hota hai aur saath saath he local markets pay bhi asar hota hain. Big companies ho ya individual traders ho sub ko political effect hota hai.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим