Assalam o alaikum dear members and traders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Forex trading business mai kaam kernay waley tamaam traders 2 Tarah kay hotay hain. Aik woh jo ziada learning nahi kertay aur thori learning kay saath saath luck ko bhi saath rahktay hain Matlab learning aur luck dono pay he depend ker rahey hotay hain aur kisi kisi waqt sirf luck pay he kaam ker laitay hain jiss mai kaamyabi kay tanasyb say nakaami ka tanasub ziada bhi hojata hai. Forex trading mai traders ko luck say ziada techniques pay depend kerna chaiye kiyu kay forex totally calculations aur economics ki game hai iss liye Agar daikha jaey tou learning ki ehmiat luck say ziada honi chaiye.
Jo traders learning aur knowledge pay ziada depend kertay hain unhain kaamyabi luck pay depend kernay waalo say jaldi mill jati hai. Learning aur luck kay muqabalay mai learning he jeeteti hain kiyu kay learning ki wajah say traders her trade aik mukammal plan kay saath open kertay hain laikin luck pay dependent traders luck aur tukko pay trading ker rahey hotay hain jiss ki wajah say her waqt unkay accounts risk pay chal rahey hotay hain. Is liye traders ko luck kay muqabalay mai learnings ko he prefer kerna chaiye

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим