jaiza : take profit ko use karny ky faidy hain
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #16 Collapse

    Re: jaiza : take profit ko use karny ky faidy hain

    Forex trading me ap ko bohat sy benefits milty hai jis ki madad sy ap trading karty hai or ap ko un ki waja sy trading karny me asani hoti hai or trading ki smjh b ajati hai un me sy ek hai take profit ye option kafi achi hai jesa k agar ap ny analysis kiye hai ap ko pata hai k market ki movement waha tak ho gi to ap trade ko open kar dety hai or wait karty hai k us point par aye to close kary.
    Or agar waha par ja kar net off ho jaye ya phir ap ko koi zroori kaam ajaye or ap ko trade chor k jana pary to ap trade open hi chor dy gy us sy ya to ap ko profit km ho ga ya phir ap ko loss hi ho jaye is liye ye option di hai market ny k ap take profit set kar dy us sy ye hoga k ap k analysis k mutabiq agar market waha par pohanch jaye gi to ap pas ho ya na ho trade khud ba khud hi close ho jaye gi. Is liye ye option bohat use ful hai ap ko trading k doran is ko zroor use karna chahiye is ka nuqsaan nahi ho ga ap ko.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #17 Collapse

      Re: jaiza : take profit ko use karny ky faidy hain

      G han dear take profit ka be faida hay jes tarha se trading me stop loss hamy faida deta hay same esi tarha take profit ka be faida hota hay, market me trading ki jaye to loss aur profit ka control traders key hath me hona chaye es key ley yahi 2 tools use karny ki zarorat hoti hay, 1 take profit aur 2nd stop loss,

      na to app take profit use key baghir koi khas profit earn kar sakty hey na stop loss use key baghir loss se account ki protection ya safety karny me kamyab ho sakty hey, money management key ley take profit be etna hi ehmeyat rakta hay jetna key stop loss ehmeyat rakta hay, take profit app key trade me profit ki management karta hay aur stop loss risk ko minimize karny key kam ata hay.
      • #18 Collapse

        Re: jaiza : take profit ko use karny ky faidy hain

        dear forex trading main stop loss or take profit do trading tool main se aik hain jin ko hum apni trading main use karty hain or en tools k bgair hum kbhi bhi achi trading nahi kar skty hain es liye aghr hum chahty hain k humain hmari trading main itna profit chahye tu hum market ko dekh kar os ko set kar dety hain basically jo profit set kiya jata hai wo poinrs main hota hai or aik point barhny par hmain aik doolr profit main mil jata hai jub k esi trha hm calculation kar k apni trading main take profit ko set karty hain es liye aghr hum apni tradng main take profit ko set karty hain tu hmain market k hisab se or kam point par take profit set krna chahye laalch nahi karni chahye q k jub hum bari t.p set kar dengy tu mushkil hai k market hmary os level tak pohnch saky
        • #19 Collapse

          Re: jaiza : take profit ko use karny ky faidy hain

          g bilkul ap nay thek kaha hai forex market main ham ko take profit use karna chahea aur khas kar aj kal ky jesy halat chal rahy hain ap ko take profit ky bgair kam nahi karna chaheay kyon ky market main jab news ati hai tu ap ko jaldi main trade manual close karna bohut he mushkil hota hai jis say app ka profit zyaa hota rehta hai aur ap foran say trade close nahi kar sakty hain es lea ager ap ka take profit laga hota ha tu ap ki khud he trade us price par aa ker close ho jati hai es lea forex main ap ko trade gany ky bad foran he take profit laga daina chaheay phir he ap ki trade main ziada say ziada profit ho sakta hai aur news ky time khud he ap ki trade close ho kar ap ko aik acha profit mil sakta hai.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #20 Collapse

            Forex trading main jab ap meta trader mai trade karty hain tu us mai jaha ap ko kafi tools milty hain waha ap ko Take Profit ka tool be milta hai. kuch traders es ka use karty hain or kuch ttrader es ka use nahi karty hain or jo karty hain woh un mai sy kafi eska use nahi theek sy karty hain. woh apny guess kay mutabiq aik price take profit ki lay kar laga laity hain or jo kay theek price nahi hoti hai or bad mai un ko loss ka samna karna parta hai. Jab ap yeh price apny analysis ki support or resistnace sy ly gy tu ap ko take profit ki price acha faida dy sakti hai.

            اب آن لائن

            Working...
            X