ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?
    friends main nay aik senior trader ko dekha hai ju forex main kafi acha capital rakhta hai mager wo stop loss use nahi karta hai kia asa ho sakta ha ky ager hamry pas big investment ho tu kia ham bhi bgair stop loss ky sath kam kar sakty hain?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

    Asalam o alikum dear friend ap ny bot acha question kea hy forex trading aik behad difficult business hy is m hamy stop loss or take profit k tools ko lazmi use karna chaey ap jin senior traders ko janty han k wo acha capital rakhny k bwjod stop loss use ni karty to wo musalsal market ko wach krty hon gy or market sy gar hazir ni hoty hon gy is liay stop loss use ni karty hon gy ni to forex trading risky business hony ki wja sy hamy us m stop loss ka istamal krna zrori hota hy ham agr apni trading m stop loss use karty han or jb market ko wach ni kr ry hoty or market sy gaib hoty han to stop loss hamy kisi b bary loss sy hamy bachany m madad dyta hy
    • #3 Collapse

      Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

      yes,dear forex markeet itni big markeet hay k aap is baat ka andaza bhi nai laga saktay hain is markeet main aik din main aik haftay main kitni moovemnt hoty hay aur is main kitnay dollers ka business hota hay jo markeet itni big hay us k badlay main hamari nvest ziada say ziada kitni ziada ho sakty hay is liye hamko aisay business main kabhi bhi aisa risk nai laina chaye jo hamaray total capital k liye khatra ban jaye is liye maiaray khyal k mutabik hamaray pass jitna bhi big capital hay hmain us main har haal main risk managmnt say he kaam laina aur business ko business samjh kr kaam krna sab say ziada better hay aur aik professional traders honay ka proof hay jis say agar hamko lose bhi hota hay to usay recover krna koi mushkil kaam nai lagay ga aur ham successful trader ban jayengay.
      • #4 Collapse

        Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

        Mere bahi aaghr ap pass big capital hai tu apko stop loss is lye nhi Lagana chahiye aghr apko umeed ho ke apki trade apko bahot zaida profit de skti hai aghr apny account ke capital ko safe rkhnaa chahty hian tu apko stop loss lazmi use krna Chahiye aghr ap stop loss aur take profit apni trading mein nhi use krty tu apki trades zaida tar bahot zaida loss mein ly jati aur zaida profit bhi nhi milta aapko proper knowledge ho aur apko pta ho ke market pehly down Jaye gi phr up jany ke Chance tu apko take profit lazmi use krna chahiye mere bahi trading mein forex trading market ka koi brohsa nhi jab upper Chalo Jaye kab down chaly so take profit aur stop loss lazmi use krein
        • #5 Collapse

          Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

          Agar aap ke trading account mein capital zyada maujud hai to aap koshish karen ke 30 percent of your capital ki trade active rakhe is se hota yah hai ki aapki Money manage Ho jaati Hai aur aap ko Bara loss Nahin aata aur na hi aapka account washout ho sakta hai isliye agar aap stop loss na be lagana chahe to Nahin laga sakte. Stop loss ek bahut achcha tool Hai lekin usko waqat bahut ziada Muhliq ban jata Hai Jab aap is ko opening price se bahut ziada kareeb place kar dete Hain kyunki yah forex market hai aur is mein up aur down donon taraf move karna hai isliye hamesha koshish karenge agar aapke pass capital achcha hai to aap stop loss ki manage karke itna dur lagaen ki vah aasani se hit na ho sake. Trade ko hamesha uska Tak open rakhna chahie jab tak trend aapka sath de raha hai Jab trend aapka sath Na de to aap apni active date ko koshish karen close kar din.
          • #6 Collapse

            Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

            Dear ji aapane bahut hi Achcha Sawal Kiya Hai Forex bahut hi difficult business hai Agar aapki trading account makeup capital jyada maujood hai to aapko koshish Karni chahie ki tees percent capital ki trade ko open Rakhe isase Hota yah Hai Ki aap ki Mani manage Ho Jaati Hai aur aapko loss bhi nahin Hota trading Mein Forex trading market Ka Koi Bharosa Nahin Hota ki kab Upar chale Jaaye aur kab loss Ho Jaaye isliye Hamen Subah Samajh Kar trade open Karni chahie Ek professional traders hone ka proof hai jisse jisse Hamen loss bhi hota hai to use recover karna Koi Mushkil Kam Nahin ismein Achcha Aur Dil lagakar kam karne se Ham acche aur beta trader Ban sakte hain
            • #7 Collapse

              Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

              Her open ki jany wali trade main hamain profit hasil nehi hota kuch trades main hamain trade start hoty hi loss hona shoru ho jata hai agar ham loss ko small level main close nehi ker sakty tou hamara loss increase hoty hoty account wash bhi ho jata hai lekin jab hamara capital big amount main ho tab bhi hamain trade open kerty waqat stop loss zarur use kerna chahiay ky jab hamain aik hi open trade main bahot bara loss ho jata hai tou loss ko recover kerny ky liay ham jab ham dobara open trade kerty hain tou hamain loss bhi dobara hota hai so agar ham her trade ko small loss main close ker lety hain tou hamain small loss ko recover kerny main mushkil nehi hoti ham Bari asani sy next trades main profit hasil ker ky loss ko recover bhi ker lety hain aur kuch profit bhi hasil jo jata hai

              Jab ham baghair stop loss ky trade open ker ky continue kerty hain baghair achy analysis ky aur agar hamari open trade main koi news effect hony sy bari movement ho jati hai tou agar tou hamari open trade main stop loss use Kia hua hota hai tou small loss main hamari trade close ho jati hai ham bary loss sy ya account wash sy bhi bach jaty hain so hamain koi bhi trade stop loss ky baghair open nehi kerni chahiay ky hamain bara loss na ho saky jis ko recover kerna mushkil ho
              • #8 Collapse

                Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                wslam forex trading main stop loss r take profit aksar wo trader use krte hn jo forex main long trading yani daily ,weekly ya monthly wale trader r jo trader 5,15,30,1 wale trader hote hn wo take profit ya stop loss tool use nahi krte kiun k long trading main ye tool lazmi use krne chahn r mukhtasir trading main en tools ko use krna zarori nahi hai
                • #9 Collapse

                  Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                  G han agar capital small ho per to stop loss lagany ki zarorat hi nahi hoti magar jab account balance zeyada ho to es ley stop loss order lagana zarori ho jata hay key kesi be trade me zeyada loss na ho saky jab loss ho jata hay to traders ko ye recover be karna hota hay es loss ko recovery se bachny key ley traders ko zaror stop loss place karna ho ga, maqsad ye nahi hota key account wash na ho jaye stop loss ka faida ye be hota hay key account negative me chala jaye, agar stop loss big capital par na lagaya jaye to ye traders ki mistake hoti hay aur jetna be trading me stop loss key baghir orders me hota hay es ki recovery be zarori ho jati hay.
                  • #10 Collapse

                    Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                    G ap ny sahi kaha hai me ap ki baat sy puri tarha agree karta hu agar ap k pas capital big hai yani ap k pas balance zeyada hai to b ap ko trading k doran ehteyat karni chahiye ta k ap ka bonus mehfoz rahy yani ap ko trading k doran stop loss or take profit ko zroor use krna chahiye.
                    Q k agar ham trading k doran ehteyaat kary gy to hamar account safe rahy ga or agar market move kar jaye ap k against to ap easily us ko cover kar pao gy or ap bary nuqsaan sy bach jao gy is liye ap ko trading k doran stop loss ko use karna chahiye or ye bohat hi achi option hai trading k liye.
                    Agar ap pas nahi hai computer k ya ap k mobile me internet nahi hai to ap ko trading me nuqsaan hony sy baca leti hai ye option is liye agar ap k pas sahulat hai to us ko zroor use kia kary ap.
                    • #11 Collapse

                      Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                      Ji han bilkul Agar aapke pass acchi investment bhi hai tab bhi aapko chahie ki aap stop loss ke sath trading Karen Kyunki Forex trading ke rules ko agar aap acchi Tarah Se follow karte hain tabhi aap acchi earning kar sakte hain isliye Hamesha Forex trading ke rules ko follow Karen Taki aapko Kisi bhi Mushkil ka Samna Na Karna Pade to isliye hard worker mehnat Karen aur Forex trade me Hamesha take profit aur stop loss ke sath kam Karen Kyunki yah donon Aise to hai jo aapko accha profit de sakte hain aur Jyada loss se bacha sakte hain
                      • #12 Collapse

                        Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                        Stop loss ka taaluq as such big account balance ya investment say nahi banta. Stop loss tou aik aisa tool ya option hai jo kay trader apany loss ko apni marzi ka rakhnay kay liye use kerta hai ya ker sakta hai. Stop. Loss ko ziada ter 2 sooratoo mai use kia Jata hai. Pehli soorat tou yeh hoti hai kay trader ko apni trade open kernay kay baad usay watch kernay aur khud he close kernay ka time available nahi ho aur trader chahta ho kay jab aik mujhsoos limit tak Agar loss hoto trade khud say close ho jaey. Iss tarah traders apany account ko safe kertay hain. Dusri soorat yeh hai kay Agar account balance small ho aur trader apnay account balance ko trade open ker kay binaik safe point tak rakhna chahta ho.

                        Ziada account balance saath bhi Agar stop loss ko trader use kerna chahay tou ker skatay hain iss mai koi mizaiqa nahi hai aur agar nahi bhi kia jaey tou trader ko trade profit mai Janey ka confirm hona chaiye
                        • #13 Collapse

                          Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                          bahot hi acha sawal poch hai ap ney agar hamry pass ik bari investment hai to kiya phir bhe ham stop loss ka use kary ya na kary ?
                          hamri jitni bhe bari investment ho chahy lakho main ho ya cror main SL (stop loss) ka istamal ham ko lazmi karna chahi hai bhai jaan yeah ap ki account ki safty hai ik kisam jo k ap k account ko kabhe bhe khali nahi honey deti hai . chalo farza kar lo ap ka 1000$ ka account hai ap ney crude oil key oper 0.50 ki lot size laga le hai or jab ap ney order leya tha os waqat crude oil 55.00 par tha . (isa serf farz karna hai smjha rha hun) os waqat entery point thaa 55.00 equity ap ki 1000$ hai ap lot size 0.50 laga kar order buy par laga dety hain tp or SL ka use nahi karty hain or ap so jaty hain jab kal subha uth kar dekhty hain to crude oil oper jany ki bajyai 400 pip nichy chali jati hai jo k posibble condtion hain main khud dekh choka hun to SL na laganey ki waja sey ap ko kitna loss hoaa culculte karna koch bacha bhe hai yaa wash ho geya .to bhai ise condition ham par na ay ise sey bachney k lia ham SL(stop loss) ka istamal karty hai u understand .
                          information for Beginners
                          Complete Forex Knowledge
                          • #14 Collapse

                            Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                            Agar ham log market Mein stop loss istemal Nahin Karte Hain To Ham Logon Ko iska bahut hi jyada nuksan hota hai agar ham log isko istemal Karte Hain To Ham log Achcha nuksan se Bach sakte hain Ham Logon Ko iska bahut hi jyada fayda Hota Hai Is per Amal karna Zaroori Hota Hai
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: ager hamry pas big capital hai tab bhe ham ko stop loss lgany ko zrorat hai?

                              forex mai chahy ap achi investment ky sath kam krain ya ap big invest ky sath kam karain tu ap ko stop los lazmi use karna chaheay kyon ky market baaz dafa crush bhi ho sakti hai aur jiss ka big capital hota hai wo usi lehaz say phur lot size bhi big he rakhta hai jiss ki waja say us ko zorri hai ky wo hi stop loss ka use kary kyon ky stop loss aik asa method hai jiss say app ka account safe rehta hai aur ap ko ager forex main loss bhi hota hai tu bohut he kam hota ha ju ap ad main recover bhi kar sakty hain aur ager ap ka account he wash ho jay tu ap kabhi bhi recovery nahi kar sakty hain es lea ap ko forex main stop loss must use karna he chaheay chhay ap ka account jitna bhi large ho trade lgany ky bad foran he stop loss daina chaheay.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X