kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?
    friends jab bhi ap ko foex market main acha profit milta hai tu hamry mind main yeh bhi khyal ata ha ky ham nay ager 100 doller earn kar lia hai tu mazeed karny ky lea ham ager apny 50 doller ka risk bhi lain gay tu ham ko aur zida profit mil sakta hai kia asa karna chaheay ya ham ko trade he nahi karni chaheay kyon ky ager loss bhi ho jay ga tu ap ky pas phir bhe 50 doller ka profit bach jay ga aur phir bhi over all profit main he hon gay mere es plan ky ky barey main ap ka kia mashwra hai zror share karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

    Jab ham forex market main trade kuch earning ky liay kerty hain tou hamain koshish zarur kerni chahiay ky jab bhi hamain forex market main trade open kerny ka acha chance nazar aa raha ho tou hamary pas phir jitna bhi remaining margin ho hamaim trade open kerni chahiay ky achy chance per trade open kerna zaruri hai taky hamain forex trading main kuch profit hasil ho saky but agar ham acha chance hota huey bhi risk nehi lety tou phir ham forex market main trading zarur kerain gy lekin profitable trading kerna hamary liay bahot mushkil hota ky ham jab risk hi nehi lain gy tou profit kahan sy hasil hoga hamain apny balance ky half tak risk zarur lena chahiay ky aesa bhi ho sakta hai bahot jald hamara balance double ho jaey lekin total balance ky half tak risk lena chahiay is sy zyada jab ham risk lety hain tou aesa bhi ho jata hai ky hamara account hi wash ho jaey tou hamain new investment kerni pery ky ham forex market main dobara trade continue ker sakain
    • #3 Collapse

      Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

      Forex mai jab aik trade mai acha profit ho Jaey tou usay withdraw kerwana he sub behtar rehta hai. Aik baar profit withdraw kerwa kay dobara apnay balance pay he trade kerni chaiye. Market ki movements change hoti rehti hain iss liye kisi kisam ka risk profit pay nahi laina chaiye. Profit pay tou kabhi bhi risk nahi laina chaiye. Traders ki big mistakes mai say aik mistake ye bhi hai kay wo aisay risk laitay hain jinn ki trading kay Doraan bilkul bhi zarurat he nahi hoti.

      Jab pak forex forum say members monthly posting ka bonus lay kay uss say trading kertay hain tou unhain 2 Tarah ki strategies banaai hoti hain aik wo trader hain jo profit bhi Janma ker kay account balance ziada kertay hain takay balance acha ho aur trading achi ho sakey Dusri strategy ye hai kay balance with draw hota rahey aur sirf bonus her month jama kia Jata rahey. Mairay nazdeek Dusri strategy waley trader aur forum members ziada successful hotay hain iss liye monthly bonus ko jama kerna chaiye aur profit ko saath saath withdraw kerwa tey reh a chaiye uss pay risk nahi laina chaiye
      • #4 Collapse

        Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

        Nahe dear aisy ni karna chaye jab hum ais market mai trade lagaty hai to aus time hum ko apny account k hisab se trade lagani hoti hai aor aus trade par hum jo stop loss aor take profit lagaty hai aus ko atna rakhna chaye k humra agar stop loss hit ho jaye to aus mai hum ko 2,3% loss ho ais tarha hum kafi time tak ais market mai apna account servive kar sakty hai aor ais market mai trading kar sakty hai agar hum ko profit ho to aus mai hum jab risk reward ratio use karty hai to aus par hum ko profit zayda hota hai ais tarha hum asani se acha profit bana sakty hai agar hum ais market mai analysis kar k trading kary gay to hum ais market mai kamyab ho sakty hai ais market mai jitni mehnat karty hai atna hi profit bana sakty hain.
        • #5 Collapse

          Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

          dear pehli bat tu yeh hai ky ap ko forex main aik apna target bnaa kar kam karna chaheay ager ap target bana kar kam karty hain aur wo apna target ko pora kar laity hain tu ap ko phir again risk nahi laina chaheay kyon ky log asa kar ky nuksan kar laity hain ager wo daily 200 doller earn karty hain tu ye soch main mind main rakh kar kam karty hain ky ager loss bhi ho jay ga tu kon sa apni jaib say jay ga profit he hamra loss ho ga mager un ko yeh samjhni chhaeay ky forex main wohi pesa apna hota ha ju ap ki jaib mainn hota hai es lea ap ko ju proit mil jay us ko use kar laina chaheay aur us ko withdraw karwa ky next time phir say kopi asi trade karni chaheya jiss main ziada risk na ho phir he ap ko forex main earn kia hoa pesa kam asakta hai.
          • #6 Collapse

            Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

            Dear forex aik bahut zayada risky business hai aur beghair risk kay iss mein koi bhi bari kamyabi hasil kerna bhi mushkil hai iss lye forex mein risk tou lena hi perta hai chayea woh aap kam risk lain ya phir zayada risk lain aap ko forex mein kamyabi tab hi milti hai jub aap kuch na kuch risk lae ker kaam kerain gaye behtar tou yehi hai kay aap forex mein calculated risk lain apnay balance kay hisab sae hi apna risk dekhain jub aap forex mein apnay balance kay hisab sae risk ko calculate ker kay trade open kerain gay tou aap ki trade hamesha kamyab ho gi aur aap ka balance bhi mehfooz rahay ga aur aap ko trade mein profit bhi acha ho ga iss lye jub bhi trade kernay lagain tou uss kay lye aap achay sae planning kerain aur apni trade ko kamyab bananay kay lye mehnat kerain
            • #7 Collapse

              Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

              اصل پيغام ارسال کردہ از: Umairforex پيغام ديکھيے
              kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?<br />friends jab bhi ap ko foex market main acha profit milta hai tu hamry mind main yeh bhi khyal ata ha ky ham nay ager 100 doller earn kar lia hai tu mazeed karny ky lea ham ager apny 50 doller ka risk bhi lain gay tu ham ko aur zida profit mil sakta hai kia asa karna chaheay ya ham ko trade he nahi karni chaheay kyon ky ager loss bhi ho jay ga tu ap ky pas phir bhe 50 doller ka profit bach jay ga aur phir bhi over all profit main he hon gay mere es plan ky ky barey main ap ka kia mashwra hai zror share karain.
              Ji ap nay bohat achi bat ki hay aor aik acha sawal bhi kia hay lakin es baray main ap yeh bat yad rakh lain k Forex trading aik risky business bhi hay jes main loss kay chances profit ki nisbat ziada hotay hain kahi aisa na ho k ap ka profit adha wast ho jay bar hal loss ho ya profit risk to laina parta hay. Forex main agar ap ko aik bar profit ho gia hay to aap chahtay hain k mazeed es main say half profit dobara trading main invest kar kay acha profit earn kia jay to yeh bat bil kul hay aisa kia jay to es main koi harj nahi hay lakin es kay liay half profit ko pehlay withdraw kar laina chahiay kun k agar yeh profit account kay andar raha to loss ki soorat main sara ka sara wast ho sakta hay es liay pehlay apnay profit ko safe kia jay aor bad main trading ki jay. Agar ap withdraw nahi laina chahtay to phir har hal main trading kay doran stop loss ko use kia jay aor usay us hisab say ki set kia jay k loss ki sorat main ap ka half profit loss na ho aor trade pehlay ki close ho jay lehaza es kay liay soch samajh kar trading karni chahiay.
              • #8 Collapse

                Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                Ji dear aapane a bahut accha question Kiya Forex trading main main jab trading karte Hain tu to loss aur profit donon ke chances hote Hain isliye Ham hamesha koshsh karte Hain ki apni trade fundamental aur money management aur Market trend ko dekhte hue Karen ta ky loss se badshah ke.
                Too dear apne profit ka half zaroor trade per lagana chahie kyunki Forex trading main main risk liya Bina kuchh bhi hasal nahin Kiya ja sakta.
                Market trend aapko samajh mein a raha hai aur aap expert ke opinions aur economic news sa Kamal taur per agah hn aur aap mukamal confident hai ki aapki trade profit mein jayegi to jarur trading karni chahie Baki loss yah profit business ka hissa hai aur risk Lea Bina aap profit bhi hasil nahin kar sakte so mere khyal mein risk jarur Lena chahie magar market conditions ko dekhte hue jaldbaji nahin karni chahie ta ke loss bacha ja sake
                الحمد لله رب العالمين

                • #9 Collapse

                  Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                  bhai jan yah hmar apni marzi par depend hota hai q k jub tak hum risk ko manage karny ki baility gain nahi kar lety hamain apni trdaing main kam risk ko bhi affodrd nahi kar skty hain es liye mera khyal haii k aghr hum achy trador hain tu hmain apny profit par risk nahi lena chahye q k forex main los bhi ho jata hai tu hmain jo profit milta hai wo tu atleast hmain wasol kar lena cahahye jis se hmain loss hny par zyda afos nahi ho q k hum ny profit bhi tu earn kiya he hota hai tu hmain apni trading main risk otna lena chahye jitna um afford or manage kar skaen q k loss jub humain tab he hota hai jub hum risk ko afford nahi kar paty or lalach main kar trading kar dety hain apni trading ko batr karen aghr kamayb hona chahty hain tu
                  • #10 Collapse

                    Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                    Half Risk:

                    I think hamen is business mein aik rules and regulations ke ander reh kar hi work karna chahiye aur hamen kabhi bhi agar acha profit ho jaye to uska half risk lene ka nahin sochna chaiye is trha se agar aap kartey hein aur apko us mein loss ho jata hey to phir apka jo confidence level hota hey woh bohot hi ziada disturb ho jata hey aur phir aap jis smooth tarike se ja rahey hotey hein us trha se phir aap nahin ja saktey hein aur is mein apke loss karne ke chances ziada bantey hein aur apke emotions bhi is mein barhtey jatey hein isliye ham jis tarike se ja kar acha profit kar rahey ya kam kar rahey they hamen usy tarikey ko hi continue rakhna chahiye aur kabhi bhi high risk ka nahin sochna chahiye jab hum Smooth tarikey se chalte jate hein to hum is mein asani ke sath successful hotey jatey hein.
                    https://t.me/pump_upp
                    • #11 Collapse

                      Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                      forex mai hum pasai invest kar ky acha profit kama sakty hain forex aik wasee business haian hum is mai raat mai be kam kar skaty hain hum is mai din mai be kam kaer sakty hain hum isy apna life time career be bana sakty hain hum is mai mahnet sy kam kary gy to hamy kamaybe hasial ho jy ge forex aik acha business hain hum is mai night mai be kam kari sakty hain hum is mai day mai be kam kar sakty hain hum is mai mahnet kary gy to he hum agy bar saky gy forex aik wasee business hain hum is mai part time be kam kar sakty hain hum is mai full time be kam kar sakty hain forex pakistan mai legal ban cuka hain hum is mai apny boss kud ap he hoty hain
                      • #12 Collapse

                        Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                        Ji han friend ap ny bot acha question kea hy hamy apny 50 percent hasil kiay gy profit py dobara trading karni chaiy agr ham kamyab trader han ham trading ka acha knowledge or experience rakhty han demo account ham my km az km do sal tk practice mukmal ki hoe ho achi learning ki hy or ham kamyab trading kr skty han to hamy lazmi trading karni chaiy jb tk ham risk ni lan gy ghbraty rahan gy to ham kbi b acha profit hasil ni kr skty ham bagar dary apny profit py risk ly kr trading karan gy to kuch hasil kr pain gy hamy forex m rules k sath kam krna chaiy q k ham rules k khlaf ja kr kbi b koi kam ni kr skty rules k khlaf ja kr kam krna hamary liay nuqsan dy hota hy
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Re: kia hamainn apny profit ka half risk lay kar mazeed trading kar laini chahea?

                          Dear friend apni investment ya profit py risk lyna hi kamyabi hy hamy jb profit hota hy to hum us k 50 percent py risk ly kr trading kar sakty han agr ham loss sy ghbraty han to ye hmari bot bari bewqofi hy hamy apny profit py risk ly kr trading karni ho gi tbi ham trading main kuch kr pain gy is tra hmary samny target hota hy k ham ny is m acha kam kar k profit hasil karna hy or ye target ham ny pora b krna hy ye profit ham mehnat kar k hasil karty han is py ham agr risk ly kr acha kam karty han to agr humy is m loss ho b jata hy to hmary pas 50 percent already mojod hota hy is leay hamy loss sy ghbrana ni chaey balky is sy sekh kr trading karni chaey ham thory risk py jo trading karty han wo hamy hmasha profit hi dyti hy is leay humy high risk sy bach kr trading karni chaey

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X