Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?
X
• وقت
• دکھائیں
Clear All
new posts
• #1 Collapse

Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?
Dear Members :

Mein yahan par dekh raha hun keh agar yahan par koi bhi member hamse technical question karta hey to uske just 3 ya 5 se ziada answer nahin hotey hein ya phir 1 ya 2 hi ziada tar dekhne ko miltey hein.
Kiya members mehnat nahin karna chahtey aur woh chahtey hein keh bas koi asan see bat ho aur hum par 3 ya 4 lines likh kar submit kar den lekin agar koi bhi technical thread ajaye to usko taqriban sab avoid karne lag jatey hein bas Chand hi members hein jo puri mehnat ke sath uska jawab dete hein baqi sab view karke chor dete hein..

Meri sab se advice he keh yahan par log seekhne keliye atey hein aur agar koi bhi technical thread post karey to hamen mehnat karke thora bohot internet par search karke us thread ka bhi zaroor answer dena chahiye is se forum ki reputation mein kafi ziada azafa hota hey.

SHUKRIYA
https://t.me/pump_upp
• InstaForex
• #2 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

Yes dear ye to ap ne sahe kaha hai k ais contest mai agar hum koi thread lagaty hai jo technical k releted ho to aus par hum ko answer kam milty hai aor aisi forum par hum jab koi normal thread lagaty hai to aus par zayda log posts karty hai ais ki asal waja ye hai k hum log jab ais forum par kaam karty hai to hum log try karty hai k ais mai aisy thread par answer dy jo asan ho aor ais forum par zayda log new hai jin ko atna zayda ni pata wo ais mai technical par atna zayda ilam ni hai aor wo ais liay aus par answer ni dety kun k aun ko ais k bary mai pata ni hai aor wo ais mai jab kaam karty hai to genrel types k threads par posts karty hai ta k un k posts delete na ho aor aun ko kaam karny k badly bonus mil jaye.
• #3 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

g han bhai jan ap ny bilkul sahi bat ki hai main bhi es bat pa agree karta hun q k main ny bhi yah bat note ki hai jub k aysa hona chaye k jub koi threads echnical ho tu hmain un par zyda behas karni chahye jub aik he technical bat par aik he osi k according jawabat aaa ai tu bakiun ko so se kafi help mil ski hai aik tu wp apny knowledge ko gain kar skta hai stah main wo achi informaion bhi haisl kar skta hai es liye hmain sub ko chaye k technical thredas ko select kar k bat karen jitna hum apni posting main technical behas karengy otna he hmain apni posting main thanks zyda milty hain or hmain apni trdaing ko bahtr karny ka moka bhi zyda milta hai q k yaan par hum jitna chahen otna he apni trading ka knolwedge gain kra skty hain jis bat ka jis point ka hmain ilm nahi hoga hmain os k bary main bhi malomat mil skti hai tu es main apny kam ko bahtr or miyrai bna kar karen or acha bonus gain karen
• #4 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

Technical threads bohat Kamm hotay hain aur jab members posts kertay hain tou jo new threads saa nay hotay hain unn pay he posts ker laitay hain. Her member mukhtalif time tables Bana kay posting kerta Hai. Jab wo posts kerta Hai tou usay ko thread milta hai jiss pay uss nay pehlay say post nahi ki hoti uss pay post ker laita hai. Iss Tarah Agar daikha jaey tou aik page pay 15 say ziada threads he show hotay hain sarey threads show nahi hotay. Member apnay hisaab say 8 say 10 posts aik waqt mai kertay hain. Forum pay kuch he members aisay hain Jon ki posts 3 ghantay tak lagataar arahi hoti hain aur iss Tarah baaqi members time nahi daitay buljay wo time to time he posts kertay hain.

Technical threads pay posts kernay kay liye knowledge bhi acha hona chaiye takay ko bhi jawaab Dia jaey wo bilkul correct aur solid trusted information wala he ho. Ye acha hai kay Agar members ko unkay barey mai knowledge nahi hota tou wo jawab bhi ahi daitay. Kiyu kay aaey baey shaey jawaab day kay 30 posts aik saans mai kernay say behtar hai kay achi information waley jawaab day kay 20 posts he ker li jain
• #5 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

Threads me agar ham 1 technical kesi topic ka jaiza lety hey ya ham ko be Forex business se related technical question karty hey to members bahot hi ka es par reply karty hey es ki waja ye hoti hay jo members hamary technical question ya jaiza ka jawab nahi de sakta aur na us ko es key bary me koi information ho to esy members bilkul be kesi mushkil topic par apni post ko send nahi karta esy traders ko b achi tarha se maloom hota hay key kesi technical thread par agar ghalat jawab send ho jaye to account banned hony key sath bonus limit me be kami a sakti hay.
• #6 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

dear forum main jitny bhi log kam ka rahy hain wo ziiada tar new trader hain ya phir ju kam kar rahy hain wo loss kar ky real main phir forum main aty hain es leaa ager un ko technical ka pata ho to wo forex main success kyon na ho jain es lea kcuh log technical bat ko janty he nahi hoty hain jiss ki waja say reply nahi daity hain yahn par khud log knowlegde hasil akrny ky lea aty hain aur bonus bnanay ky lea aty hain jiss say wo yahn say bonus lay akr apni trade karty hain es lea log kam he technical bat ka jwab daity hain ky un ko pata he nahi hota hai forum pay ham ko chaheay ky ham ko jwab dena chaheay aur ziada jwab mushkil post pay diana chaheay kyon ky sba ko es forum say acha knowledge mil saky.
• #7 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

Dear technical post per km jawabat ki bahut si wajohat han.
Sabse pahle to to zyada tar log aise Hain Jo Forex ke bare mein knowledge nahin rakhte Hain jinko members ne apne referrals ke taur per add to kar lete hain magar proper training Na Dene ki vajah se aur knowledge share na karne ki vajah se vah members technical post ka jawab Dene ke kabil nahin hote isiliye technical post per zyada jawab nahin aate.
Isiliye members ko chahie ke Jin referrals ko add Karen unki proper training bhi Karen.
Iske elava bahut sare log jo forum per kam to kar rahe hain magar un ke pass proper knowledge nahin hota aur wo technical post per jawab dainy ca katraty hn.
Aisy members Jo technical post per jawab dainy ca katraty hn wo kabi b achy trader ni BN skty es Lea eny koshsh krni chahea k search karny aur apny knowledge ki barhayn Taky wo bonus aur profit dono hasil krny k kabil ho saky .
الحمد لله رب العالمين

• InstaForex
• #8 Collapse

Re: Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?

اصل پيغام ارسال کردہ از: waqas11 پيغام ديکھيے
Technical bat puchne par bohot kam jawab miltey hein aisa q hey?
Dear Members :

Mein yahan par dekh raha hun keh agar yahan par koi bhi member hamse technical question karta hey to uske just 3 ya 5 se ziada answer nahin hotey hein ya phir 1 ya 2 hi ziada tar dekhne ko miltey hein.
Kiya members mehnat nahin karna chahtey aur woh chahtey hein keh bas koi asan see bat ho aur hum par 3 ya 4 lines likh kar submit kar den lekin agar koi bhi technical thread ajaye to usko taqriban sab avoid karne lag jatey hein bas Chand hi members hein jo puri mehnat ke sath uska jawab dete hein baqi sab view karke chor dete hein..

Meri sab se advice he keh yahan par log seekhne keliye atey hein aur agar koi bhi technical thread post karey to hamen mehnat karke thora bohot internet par search karke us thread ka bhi zaroor answer dena chahiye is se forum ki reputation mein kafi ziada azafa hota hey.

SHUKRIYA
Ji ap nay bohat important question kia hay. Yeh bat bil kul sach hay k aksar members technical threads pay reply nahi kartay aor na hi achi bat share kartay hain aksar dekhnay main aia hay k aik member technical topic pay threads start kar daita hay to dekha yeh jata hay k us pay chand aik members nay reply kia hota hay aor woh bhi koi khas knowledge post nahi hota koi aik adh member aisa hota hay jo authentic knowledge post karta hay es ki kai wajohat hain.
1: Aj kal ziada tar members Forum ko just bonus kay liay hi join kartay hain un ka maqsad Forex ki learning kam aor bonus ziada hota hay es liay woh ziada say ziada post ki quantity ki tarf tawajoh daitay hain aor aam say threads pay reply kartay hain jen pay ziada time nahi lagta.
2: Bohat say new members Forum ko to join kar laitay hain lakin Forum kay rules nahi read kartay aor na hi un ko understand kartay hain es liay un ko posting karnay ka koi pata nahi hota aor es liay bhi woh thek taran say posting nahi kartay aor technical threads ko skip kar jatay hain.
3: New members kay pas Forex ka koi ziada knowledge nahi hota es wajah say bhi woh technical threads ko reply nahi kartay aor na hi koi technical threads start kartay hain.

Advice For posting
Mara all Forum members ko yahi mashwara hay k ham Forum kay maqasad ko mad-e-nazar rakhtay howay rules and regulation kay hisab say posting karain aor Forex ka knowledge gain karain aor apni learning complete karain ziada bonus kay lalach ki bajay Forex ka knowledge gain karnay ki taraf tawajoh dain aor hamesha koshish karain k technical threads ko reply karain aor mehnat kar kay technical knowledge jawab main post karain ta k es say ap ko bhi faida hasil ho aor others members ko bhi faida ho es taran knowledge kay sath sath ap ki posts ki quality best honay ki wajah say ap ko big bonus bhi milay ga lehaza posts ki quantity ki bajay posts ki quality ki taraf ziada tawajoh dain aor technical threads start karain aor technical posting karain thanks for all Forum members.

اب آن لائن

Working...
X