Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?
    Forex trading business mai trading kernay say bohat achi inome haasil ki jaa sakti hai. achi income ussi soorat mai milti hai jab trading soch samajh kay ki jaey aur kisi qisamkay risk nahi liye jain. Traders aksar over trading kay barey mai baat kertay hain. Forex mai over trading say kia muraad hai? Over trading ka kia nuqsaan hota hai? Kia over trading trading account ko itna loss day sakti hai kay account wash ho jaey?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

    Over Trading Kiya hey?

    Apne bohot hi acha topic discuss kiya hey waqai agar hum over trading kartey hein to hum always is mein fail hotey hein aur hum kabhi bhi is business mein kamiyab nahin ho saktey hain, Ab mein apko kuch Reasons batata hun jo over trading ke hawale se logon ke mind mein hoti hein keh yeh Over trading kiya hey.
    Actually bohot sarey aisey traders hotey hein jinke pas account balance bohot hi kam hota hey aur woh trades bohot hi high lagatey hein isko bhi hum over trading hi kahengey, Yeni keh balance kam aur trades bari bari, iske ilawa bohot sarey traders aisey hotey hein jinki agar kuch trades loss mein chali bhi gai hein to woh Bardasht karne ki bajaye bar bar trades lagana shuru kar dete hein aur woh chahtey hein keh abhi abhi hamara loss recover ho jaye jab keh aisa nahin ho sakta hey, Aisey bohot sarey reasons hein jinko hum over trading keh saktey hein Jesa keh Stop Loss ko use na karna bhi over trading mein hi ata hey, isliye hamen always aisy koi bhi options jo Forex rules ke against hon nahin dohraney chahiye warna hum is business mein totally loss hi kartey hein So becarefull and always do Safe trading.

    Shukriya.
    https://t.me/pump_upp
    • #3 Collapse

      Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

      Forex mein humara sub sae zayada nuqsaan over trading ki wajah sae hota hai iss ki misal aise hi hai jaisay agar aap over eating ker lain tou aap ka pait kharab ho jata hai tou agar aap overtrading kerain gay tou aap ka bonus bahut jaldi khatam ho jaye ga aur aap ko phir sae forum per zayada mehnat kerna peray gi aur ho sakta hai kay aap ko jitna zayada bonus mila ho woh dobara aap ko na mil sakay tou iss lye aap ko chahyea kay aap forex.mein over trading kernay sae perhaiz kerain aur hamesha small lot kay sath trading kerain aur aik waqt mein aik hi trade kerain iss sae yeh ho ga kay aap ko profit kam hasil ho ga lakin aap ka loss nahin ho ga aur aap bonus sae long term tak trading ker saktay hain aur aap ko uss sae thori thori income sae hi zayada income ho jaye gi
      • #4 Collapse

        Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

        Over trading es ley ki jati hay key zeyda profit zeyda risk key base par earn kia jaye es me app ko kamyabi be mil sakti hay aur app ka account be wash ho sakta hay, magar es tareeqy ki trading ko acha nahi samja jata hay, achi trading wo hoti hay key profit be earn kia jaye aur risk be kam leya jaye, kam risk leny se kam loss ka samna hota hay aur yahi perfect strategy hamari be honi chaye, over trading ki waja se agar market app key open trade key mukhalif direction me move karna start kar de to app afsoos karny key elawa koch be nahi kar sakty hey.
        • #5 Collapse

          Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

          Dear ais market mai hum ko money management k hisab se kaam karna hota hai agar hum ais market mai aisy hi trades lagaty jaty hai to aus par hum ko loss jab hota hai to kafi zayda hota hai ais liay hum ko ais market mai jo bhi trade lagani ho aus mai hum ko ye dekhna hai k hum ais market mai agar koi trade lagaty hai to aus k sath stop loss lagye aor aik time mai aik hi trade open kary agar hum bahot zayda trades open kar lety hai to aus se hum ko ais market mai loss ho sakta hai agar ap ne ais market mai account safe rakh k kaam karna hai to ap ko ais market mai bahot sari trades aik sath account par ni lagani chaye aor ais market mai ap trades par atna hi risk ley jitna ap ka account bardast kar ley.
          • #6 Collapse

            Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

            forex market main over trading ky nuksanat he hain jab bhi ap ky mind main lalch ata hai tab he ap over trading karty hain over trading karna aik tu ap ky pas plan na hony ki nishani ha aur aik target na hony ki nishani hai es lea sab sy pehly apna aik plan tyar karain jiss main ap ye deside akrain ky ap nay risk aur reward kitna rakhna hai aur ap ka target kia ho ga aur target hit hony ky bad yeh bhi plan karain ky ap nay aur risk nahi laina jab app asa karain gay tu ap over trading say bach sakain gay jiss ki bad ap ko loss hona band ho jay ga es lea ap ko ager over trade ko control main rakhna hai tu aik plan bana kar kam karna ho ga aur aur plan ky bgair kam nahi karna chaheay phir he ap ka loss minimize ho kar ap ko profit mil saky ga.
            • #7 Collapse

              Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

              Over trading ke nuksan.
              Dear friend aap ne ek achcha question pocha hai ki Jab bhi Ham trading karte Hain aur is field main new hote Hain to bahut zyada chances hain ki ham log over trading karte Hain jis ki wajah se hamen profit se ziada loss ho jata hai. Hamen chahie ek ke din mein selective trade Karen Magar creative hun jin ko humne technically aur fundamentally analyse kiya ho. Agar Ham overtrading karte rahenge to us mein yah hota hai ki kuch trade mein profit aata hai aur kuch mein nuksan ho jata hai to is Surat mein add the end result vahi hota hai ki Jab aap din mein ek ya do trade laga aur un mein se aap ko acha profit mil jaaye. Aap koshish karen aur trading se apne aap ko bachayen.
              • #8 Collapse

                Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                JI ap nay bohat acha sawal kia hay k over trading ka kia nuqsan hota hay? JI bhai jan sab say pehlay to hamain yeh jana zarori hay k over trading hay kia ta k ham over trading kay nuqsanat ko easily understand kar sakain aor phir over trading say bachnay ki koshish kar sakain.
                Over Trading
                Jab bhi koi trader apnay knowledge, learning and experience say barh kar big profit kay lalach main big trade open karay ga ya aik say ziada trades open karay ga to usay over trading kahain gay. Ziada tar new traders jen ko Forex ka poori taran knowledge nahi hota ya phir un ki learning complete nahi hoti aor woh Forex trading main ziada expert nahi hotay big profit kay lalach main small account balance kay sath big lot size say big trade open kar datay hain jo k us waqat aik over trade hoti hay jes ko control karna trader kay bas main nahi hota aor woh poori taran usay understand bhi nahi kar sakta over trading kay kai nuqsanat hain.
                Losses of over Trading
                Sab say big loss over trading ka yeh hay k jab trader ka account balance small yehni kam ho aor woh big profit earn kar kay jaldi ameer bananay kay lalach kay sath big lot size say trade open kar daita hay jes say hota yeh hay k agar market ki movement mukhalif direction main ho gai to loss etna tezi say ho ga k trader ko trade close karnay ka bhi moqa yehni chance nahi milay ga aor big loss ki wajah say us ka account wash ho jay ga sath hi trade bhi close ho jay gi. Aisay loss ko jes main account hi wash ho jay recover bhi nahi kia ja sakta. Jab yeh soorat-e-hal pash aati hay to traders main bohat say bad emotions bhi janam lay latay hain jen ki wajah say trade par bura asar parta hay. Agar trader nay aik say ziada trades oppen ki howi hon gi to es soorat main bhi us ko trades ko control karnay main mushkil ho gi aor woh bohat ziada mistakes karay ga jes say loss ho ga es liay trader ko chahiay k woh us time tak over trading say avid karay jab tak woh Forex trading main bohat ziada expert na ho jay.
                • #9 Collapse

                  Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                  g han bhai jan forex trdaing main over trdaing k boht se nuksanat hoty hain jis se hmara ccount bhi wsh ho jata hai es liye main over trdaing se avoide krna chahye q k jub hum tradors zyda profit k chkron main parh jaty hain or yah sochty hain k hum boht sara paisa aik he trade se yah bar bar trade open kar k kar skty hain tu yah sub se galat method hota hai un ka q k jub hum ayse lalach kar k kam karty hain tu hum kbhi bhi achi or miyari trdaing nahi kar skty hain tu acount ko save rakh kar kam karny main he sub ka faida hota hai q k jub account save hoga tab he hmain faida hoga or hum kamyb bhi tab he ho skty hain tu hmaisha apni trdaing ayse karen jis se risk bhi kam se kam ho or ap apni trdaing se loss ki bjay acha profit gain karen forex main kamyb wohi hoty hain jo mahant katyy hain or planning k sath trdaing karty hain planning se ap apni trading ko bohat bahtr kar skty hain
                  • #10 Collapse

                    Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                    Asalam o alikum dear ap ny bot acha question kea hy forex waqai m aik real online profitable business hy isy hr koi join kr k acha profit hasil Kar skta hy mgr forex aik difficult business b hy is m hamy bot ahtiyat sy kam krna prta hy hamy risk management or rules k sath is m agy bahrna chaiy ham agr soch smj kr trading krty han to hamy kamyabi milti hy friend over trading forex m hmary liay bot zyada nuqsan dyti hy over trading krny sy ham kbi kuch hasil ni kr paty over trading ka mtlb hy bari lot size trade open krna jis m zyada pasa kmany k chkr m ham zyada sy zyada loss kr lyty han ya over trading ye b hy k ham br br or aik sy ziada trades open krty han jb k hamy phly aik trade open kr k us sy profit hasil krna chaiy aksar ye b hota hy k hmari investment km hoti hy or hmari trades zyada open hoti rahti han jis sy ham zyada tr loss m jaty jaty apna account wash kr dyty han
                    • #11 Collapse

                      Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                      dear ap nay bhi daikha hay aur aaj tak maine bhi yahi sunna hay k kisi traders ko overtrading say koi khaas earning nai mili hay balk lose ka samna he krna parra hay is liye jo traders forex markeet main aik had main reh kr kaam krtay hain unko markeet zarur kuch daity hay jub k is main apnay aap ko ziada clever samjhnay walonko is man ziada tar lose hota hay,over trading main ham aik haftay main jitna earn krtay hain same he hamko lose ho jata hay laikin is main hamari ghalty nai hoty hay aisa kaam wahi traders krtay hain jinko is markeet main experience kam hota hay aur wo risk ziada laitay hain agara ham lalach kam say kam krtay hain to hamko markeet main overtrading jaisi bimari say chutkara mil sakta hay laikin usk liye bhi hamaray andar sabar ka hona bahut lazmi hay.
                      • #12 Collapse

                        Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                        Ham Logon Ko overtrading Nahin Karni chahie balki Ham Logon Ko Jyada Se Jyada hard work karna chahie Taki ham log forex market Se Achcha profit hassil kar sake aur ham Logon Ko kamyabi Mil sake isliye Ham Logon Ko Jyada Se Jyada hard working Karni Hogi tabhi ham log Kafi Achcha banaa sake
                        • #13 Collapse

                          Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                          forex main jitna bhi nuksan hota hai wo over trading ki waja say he hota hai es lea ky over trade karnay say ap nay ju bhi profit kia hota hai wo bhi zayaa ho jata hai aur over trading tab hoti hai jab ap forex main lalch main aty hain aur ager ap ko din main 100 doller bhi mil jay tu tab bhi ap ko yeh lalch hota ha ky iss say or earn karain aur phir ap wohi trade main apna loss krwaty hain account bhi wash karwaty hain aur apna profit bhi zaya karwaty hain es lea over trading say bachny ky lea ap ko aik target bana kar kam karna chaheay ager ap target ky sath kam akrain gay tu target hit hony ky bad ap ko forex market ko dekhna bhi nahi chaheay ky forex market main koi signal bhi mil rhaa ha ya nahi next day ap ko market ko watch karna chaheay asy he ap over trading say bach sakty hain.
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            Re: Over Trading ka kia nuqsaan hota hai?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: anwaarz پيغام ديکھيے
                            Forex trading business mai trading kernay say bohat achi inome haasil ki jaa sakti hai. achi income ussi soorat mai milti hai jab trading soch samajh kay ki jaey aur kisi qisamkay risk nahi liye jain. Traders aksar over trading kay barey mai baat kertay hain. Forex mai over trading say kia muraad hai? Over trading ka kia nuqsaan hota hai? Kia over trading trading account ko itna loss day sakti hai kay account wash ho jaey?
                            Forex trading main jab bi ap over trading karny gy to ap apna account wash karwa dan gy is ley humy over trading sy bachena chae ha or jtna ho proper money management or risk management sy trading karni chae ha jtna ziada ho humy proper learning or practice sy apna knowledge or experience hasil karna chae ha
                            Forex trading main jab ap over trading karty han to both tazi sy ap ka account loss main jata ha or tazi sy khatam ho jata ha is ley humy proper lots size sy trade open karni chae ha apny account k mutabiq ta k humy loss na ho or hum juldi sy acha profit hasil kar sakeny jab k over trading sy profit ko bhul jany or apna account safe karny ki fikar lag jati ha is ley humy pehly he asa kam ni karna chae or proper risk management sy trading karni chae ha or ziada sy ziada earning karni chae ha

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X