Assalam o alaikum dear members aur traders.Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Forex trading business mai traders her waqt trading strategies kay barey mai sochtay hain.planning kertay hain aur usay discuss kertay rehtay hain. her trader apnay halaat aur account ki value ko daikhtay huay apnay liye aik achi strategy bananay ki koshish mai laga hota hai. Agar best trading strategy ki baat ki jaey tou uss kay liye kuch terms and conditions hoti hain aur agar wo poori ker li jain tou best trading strategy bann jati hai. Traders ko strategy banatay waqt apnay balance ka sub say pehlay hisaab rakhna chaiye. Uss kay baad jiss pair pay trade kerni hai uss kay spreads aur movements ka pata hona chaiye kiyu kay spread ka pata hoga tou tarders ko trade place ekrnay say pehlay he apnay free balance ka use pata chal sakta hai aur equity ka bhi knowledge rahey ga. Uss kay baar trends ko big time frames mai daikh laina chaiye takay analysis haqeeqat kay ziada qareeb ter hoo sakain.
Iss tarah aik achi sttategy develop ho sakti hai jo execution kay baad achay profits mai tabdeel ho sakti hai. Agar her trader apna order place ekrnay say pehlay thora sa time inn sub cheezoo ko dey tou baad mai usay kisi qisam ki pareshaani nahi hogi. aur uss ki strategy best trading strategy ho jaey gi

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим