Assalam o alaikum dear members and tarders. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Online businesses bohat ziada mojud hain. Jin mai bohat si types kay businesses bhi shamil hain. Forex trading business unn sub say alag aur bohat ooncha maqaam rakhta hai. Forex ko sub online businesses pay foqiat kay bohat say reasons aur batain hain. Agar hum sirf Ponzi schemes ki baat karain tou aik taqabali jaiza dono kay differences ka lia jaa sakta hai jiss say forex ki ehmiat ka ponzi ki bad diyaanti ka asaani say pata chal sakta hai:-
Forex Trading Business
Forex trading business mai foriegn currencies ki exchange ka business hota hai. Traders aik currency buy kertay hai aur uss kay badlay dusri currency sell ker daitay hain. Currency,gold,silver,crude oil jo bhi cheez hai wo aik haqeeqat hai. Aur apna haqeeqi wajud rakhti hain. iss liye trading pay ziada trust kia jata hai. Traders baghair kisi shak o shuba aur kisi bhi darr aur khof kay iss business mai bohat saa paisa invest ker laitay hain
Ponzi Schemes
Ponzi schemes unn ko kaha jata hai jin mai koi haqeeqat nahi hoti hai. Ye MLM aur kisi bhi fraudlent scheme ko mila kay kaamkerti hain. Iss mai na tou koi physical cheez hoti hai aur na he koi aisi product ya service hoti hai jo day kay ya lay kay profit dia jaa raha ho. Ponzi schemes mai members say paisa invest kerwaya jata hai phir puranay members ko new members ka paisa diya jata hai. iss tarah members dusray loogo ko investment ki taraf maael kertay hain. Aur pasia barhta jata hai. Jab ponzi schemes bananay aur chalanay waley apni marzi ka aur apni khawhish kay mutabiq paisa jama ker laitay hain tou wo ghaib hojatey hain.
yehi faraq hai jiss ki wajah say forex trading saal haa saal say chal raha hai aur laakhoo ponzi schemes aai aur chali jin ka ab koi nishaan bhi nahi hai

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим