Hedging kia hai?
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Hedging kia hai?
    Dear members maira aap say sawaal hai kay Hedging kia hai? aur forex trading mai iss ko kiyu use kia jata hai? Kia ye koi strategy hai ya phir trading terminal ka tool hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Hedging kia hai?

    Dear hedging trading strategy hay jes ko app profit earn karny key ley be use kar sakty ho aur specially loss ko recover karny me be hedging trading strategy ko best samji jati hay, hedging trading strategy key bary me new traders ko lazmi information honi chaye, agar app ne 1 buy order place kia hay aur ye trade loss me ja raha ho app agar market ko analysis kar key ye idea lagaty ho key market mazeed bearish movement kar sakti hay to app sell order me same lot size ka open kar sakty ho aur lot size me apni marzi ka ezafa be kar sakty ho magar hedging trading key ley zarori hay key app ka buy order close na ho ye be open hona zarori hay.
    • #3 Collapse

      Re: Hedging kia hai?

      Hedging aik trading technique hai ky ham aesy time per kab market support aur resistance ky darmian move ker rehi ho tou same lot size sy sell aur buy dono trades open ker lety hain jab market support ya resistance tak ponchti hai tou ham aik trade jis main profit ho chuka hota hai close ker lety hain aur loss wali ko continue kerty hain ky kab woh bhi profit main aa jati hai tou ham trade close ker ky acha profit bana lety hain lekin yeh zaruri nehi ky jab ham aik trade profit main close kerain tou dusri bhi profit main hi close honi chahiay jab aik trade achy profit main close ho jaey tou dusri trade ham thora loss hony per bhi close ker sakty hain ky hamain aik trade zyada profit aur dusri thory loss main close kerny ki waja sy bhi acha profit hasil ho jata hai jis ko ham withdraw kerwaty hain hamain her trade main hedging nehi kerni chahiay ky jesy market one direction main bari move ker jaey tou aesy time per phir hedging ka koi faida nehi hota hedging ka faida sirf aesy time per hota hai jab market sideways trend main move ker rehi ho
      • #4 Collapse

        Re: Hedging kia hai?

        Hedging stretigy sy jub ham trade kerty hein tou ham akatha sell bi aor buy bi laga dety hein kuch time trade chalti rehti hai tab ham aik trade jo profit mein chal rehi hoti hai usko close kerty hein dusri jo loss mein chal rehi hoti hai jub tak woh zero loss mein nehi chali jati ham usko jari rakhty hein tou jab zero loss ho jata hai tou hamein pehli close trade mein hasil ho chuka profit save ho jata hai lekin hedging her koi istemal nehi ker sakta ky hedging ky liey bhi trading expert hona bahout zaruri hota hai nehi tou ham hedging kerty huey jub aik trade profit mein close ker lety hein tou dusri jis mein loss hota hai iska loss barhta hi rehta hai phir aesa bi hota hai ky hamara account hi wash ho jaey hamein hedging bi soch samajh ker lagani hoti hai ky aesa na ho ky loss wali mein loss berhta hi chala jaey aor profit wali h pehly hi close ker chuky hon tou profit ka bi faida na ho aor hamara account bi wash ho jaey hedging kerty huey lot nisbatan kuch bari rakhi jati hai jo bara risk bi hota hai
        • #5 Collapse

          Re: Hedging kia hai?

          Hedging strategy.
          Dear members hedging strategy se Murad yah hai hai ki Jab ham live trading kar rahe hote Hain aur hamari trades loss mein ja rahi hoti hai. Agar hamara 70% capital ya us se zyada loss mein ja raha hai to Ham washout se a darne lagte Hain. Aisi situation ke liye kuch brokers ne hedging strategy authorised ki Hui Hai is mein jitna capital aap ka loss mein hota Hai us ki lot size ke barabar mein ham reverce trade place karte Hain is ka fayda yah hota Hai ki aap ka nuqsan ruk jata by mazeed barhny we. Is method ko trading term mein hedging strategy kaha jata hai lekin hamen Puri koshish Karni chahie ki hedging strategy se Bach sakin.
          • #6 Collapse

            Re: Hedging kia hai?

            Hedging forex trading mai common use hony wali trading ke aik technique hai , kuch traders Hedging ko as a trading strategy b use karty hain aur apni sari trading Hedging ke base per kar rahy hoty hain. Lakin Hedging karna ho tu phir trders kay pass trading ka acha experience hona kafi behtar rehta hai.

            Hedging mai traders aik he time per market mai same pair per buy aur sell dono ke trade laga lain tu yeh Hedging hoti hai. ziada tar traders ko jab aik trade mai loss ho raha hota hai tu woh loss ko cover karny ke liye Hedging ke technique use karty hain. iss kay elawa kafi traders Hedging ke madad say he trading karty hain aur buying aur selling dono at a time kar kay profit earning kar kay dosri trade ko kisi khas time per b close kar daite hain.

            • #7 Collapse

              Re: Hedging kia hai?

              dear forex markeet main hedging aik wo amal hay jis say na kisi traders ko kuch milta hay aur na kisi brokers ko kuch milta hay ,for example ham kisi curriencie main usay sell krtay hain to sath he ham usay same volume say buy bhi kr daitay hain to wo hedging ho jaty hay phir jab jitna hamko lose hota jata hay utna he hamko profit bhi milta jata hay ham jub tak is amal say out nai hotay hain hamari earning aur lose kuch bhi nai hota hay jubk markeet apni moove jaari rakhty hay is liye better yahi hay k hamko is amal say door rehnay main he haamra faida hay q k aisa krnay say ham sirf time he waist kr saktay hain aur kuch bhi nai.
              • #8 Collapse

                Re: Hedging kia hai?

                Forex trading market main traders profit earn karnay kay liay bohat say tareqay use kartay hain aor apni trade ko kamyab bananay kay liay kai strategies tiar kartay hain aor kai tools use kartay hain en main say aik hedging bhi hay jes kay baray main ham yahan details say bat karain gay.
                Hedging kia hay?
                First of all yeh janana bohat zarori hay k hedging kia hay hedging Forex market ki aik famous and important term aor tool hay es ko ham insurance policy bhi keh saktay hain kun k jab ham kisi bhi trade ko hedge kartay hain to ham big loss say mehfooz reh saktay hain es ka matlab yeh nahi hay k ham ko bil kul loss nahi ho sakta albata yeh ham ko big loss say bacha sakti hay hedging ko traders aik strategy kay tor par bhi bhi use kartay hain. Aam tor par hedge us time kartay hain jab ham loss main hotay hain aor es loss ki wajah say kisi mushkil main hotay hain. Trading start karnay say pehlay ham ko poori taran hedging kay baray main information honi chahiay aor es ki bohat ziada practice bhi honi chahiay kun k es say ham ko har hal main wasta parh sakta hay chahay ham small trader hon ya big.
                Hedge kaisay kartay hain?
                Example kay tor par ham nay EUR/USD ko 1.1235 par buy kia lakin market down move kar gai aor EUR/USD ka rate up janay ki bajay 1.1190 par aa gia aor ab ham es trade ko close bhi nahi karna chahtay aor mzeed loss say bhi bachna chahtay hain ya ham ko analysis ki bina par yeh information hoti hay k EUR/USD ka rate zoada say ziada 1.1100 tak down jay ga aor phir wapis up ho jay ga to yahan par ham es trade ko hedge karain gay yehni EUR/USD ki aik aor new sell ki trade open karain gay es taran current rate 1.1190 par ham nay EUR ko bach dia ab hamaray pas EUR ki do trades ho gain aik Buy ki aor dosri Sell ki. Es say yeh ho ga kjab market mazeed down move kar kay 1.1100 kay rate par jay gi to hamari buy wali trade to loss main ho gi lakin sell wali trade profit main ho gi ab ham others information ka mushahda karain gay k ab market up move karay gi yahan par ham sell wali trade ko close kar dain gay es say market oper aatay hi ham ko loss kam say kam ho ga ya phir profit hasil ho ga aor yoon ham hedging ki wajah say loss say bach jayin gay.
                Click image for larger version

Name:	Hedging-Strategy-2-2.png
Views:	2
Size:	28.3 کلوبائٹ
ID:	12323455
                Click image for larger version

Name:	Forex-Hedging-Dual-Grid-Strategy-Trade-Example-2.png
Views:	2
Size:	111.2 کلوبائٹ
ID:	12323456
                Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	1
Size:	65.4 کلوبائٹ
ID:	12323457
                Hedging karna ziada easy nahi hota aor na hi yeh koi game hay yeh technical method say lagai jati hay aor close ki jati hay leahaza esay poori taran understand kar kay aor achi taran soch kar sar anjam daini chahiay aor es ki ziada say ziada practice ki jay aor esay bila wajah kabhi bhi n na lagain.
                • #9 Collapse

                  Re: Hedging kia hai?

                  Dear jaisy ap ne baat ki hai hedging ki to ais mai ap ko market mai apny analysis k hisab se aik trade laga deni hoti hai aor aus k sath ap ne ais mai pending order lagana hota hai agar market ap ki favour mai aati hai to ap ka take profit hit kar jati hai magar market ap k oppostie jati hai to aus time ap ne jo pending order lagya hota hai wo active ho jata hai aor ap ko aus trade par profit ho jata hai kun aus mai ap jo lot use karty hai wo bari hoti hai aor market thora sa move karti hai to ap ka jo loss chal raha hota hai wo khatam ho jata hai aor aus trade par ap ko acha profit ho jata hai aisy hi pending orders lagaty rehty hai aor loss ko khatam karty rehty hai ais k liay ap k pass account bara hona chaye tab zayda faida hota hai.

                  Click image for larger version

Name:	Hedging.jpg
Views:	6
Size:	31.8 کلوبائٹ
ID:	12323461
                  • #10 Collapse

                    Re: Hedging kia hai?

                    Ji aapane bilkul theek baat ki hai main aapki baat se bilkul FB karta hun Agar ham log Is Tarah Se Kam Karte Hain To Ham Logon Ko Kafi Achcha profit mil sakta hai isliye Ham Logon Ko Jyada Se Jyada hard working karte hue Chopra ft Hassan karna chahie aur ham logon ko bhi mil sakti hai
                    • #11 Collapse

                      Re: Hedging kia hai?

                      Forex trading men hedging ek strategy hai k jab apki ek trade kafi zyada loss men chali jaaye aur account wash honay ka khatra ho to us k ulat utni he lot ki dusri trade open Kar d Jaye ta k account safe ho Jaye aur wash honay se bach Jaye. Is strategy ko hedging kehta Hain......
                      • #12 Collapse

                        Re: Hedging kia hai?

                        Hedging Ek strategy Hai Jisko Ham Apne loss ko recover karne ke liye istemal Karte Hain hedging ka use karna bahut jaruri hai Jab Hamen bahut jyada loss ho raha ho bahut se senior traders prefer Karte Hain Hedging strategy se apne profit ko earn Kare aur loss ko recover karte hue trading Karen yah Ek unique strategy Hai Jiska knowledge Hona heart ke liye bahut jaruri hai knowledge ke sath sath behtarin use karna bhi bahut jaruri hai iski madad Se Jyada Se Jyada mehnat karta hai aur koshish karta hai ki Achcha profit generate kiya jaaye han trader ko chahie key wo strategies develop Kare Aur Is per Jyada Se Jyada mehnat Karte hoge trading lagaen Taki acche profit ke sath sath loss ko bhi recover Kiya Ja sake Shukriya
                        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                        • #13 Collapse

                          Re: Hedging kia hai?

                          Hedging:

                          Forex business mein Hedging bohot hi ziada traders kartey hein aur hedging ki difference kisam ki types hoti hein Asal mein jo hedge ka matlab hey woh kisi bhi trade ko lock karna htoa hey bohot sarey traders jab loss mein jatey hein aur unhen pata hota he keh Market bhi mazeed bhi unke against jane wali hey toh woh apne loss ko wahin par hi lock kar dete hein aur phir kisi bhi achey point ka wait kartey hein jahan se woh apne hedge ko tor dete hein aur phir sey unki jo trade hoti hey woh loss se profit mein ajati hey jese hi woh market reverse marti hey is trha se many traders many types ki heding kar rahey hotey hein aur is mein work kar rahey hotey hein. hedging ki kuch techniques mein apko picuture mein dikha raha hun aap isko dekh aur samajh saktey hein.

                          Click image for larger version

Name:	heding sell.jpg
Views:	1
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12325242
                          https://t.me/pump_upp

                          اب آن لائن

                          Working...
                          X