Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?
    Forex trading business mai mukhtalif tareekoo say trading ki jaati hai. Jinn mai SCALPING bhi trading ki aik mashoor aur popular type hai. Tamaam traders mukhtalif time frames mai scalping kertay rehtay hain. Aap kay khayaal mai scalping ka bahtreen time frame kon sa hai?

    Expert aur senior traders scalping kay liye M1,M5 aur M15 ko he prefer kertay hain. Aur un mai bhi 70 percent ki raey M1 aur M5 kay haq mai hai. Mai khud bhi scalping kay liye M1 aur M5 ko he tarjeeh daita hu kiyu kay short term trading mai ye sub say best aur reliable time frames hain.

    Aap kiss time frame ko scalping kay liye best aur reliable samajhtay hain?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

    Dear paheli baat tou yeh hai kay forex mein scalping kernay kay lye humaray pas bahut zayada experiance hona chahyea forex ka knowledge zayada hona chahyea agar humaray pas forex.ka.onowlexge hai tou phir humain demo mein trading ki zayada practice kerni chahyea aur jitni zayada practice hum forex trading ki kerain gay tou humara forex ka experiance bhi zayada ho ga aur humain forex sae achi income ho gi kyun kay humari trading achi ho gi aur jub humain trading.ka experiance ho jaye tou phir hum scalping bhi ker saktay hain aur scalping kay lye sub sae best time frame H1 hota hai jis mein hum scalping ker kay bahut achi income hasil ker saktay hain aur scalping kay dauraan humain bari bari lot ki trades nahin laganai chahyeain balkay small lots ki trading kya kerain
    • #3 Collapse

      Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

      Scalping mai jis trah say traders kay knowledge mai hai ke short time ke trading hoti hai aur trades ko jaldi open kar kay jaldi close b karna hota hai . Scalping kay liye best Time Frame ka decision tu traders ko apni trading ke strategy kay hisab say he decide karna chaiye . lakin ager amm toor per daikin tu phir scalping kay liye aam toor per 1 min , 5 min aur 15 min ka time frame use ho rahy hoty hain. traders ko session kay hisab sy scalping kay liye time frame select karna chaiye .

      ager US ke market mai scalping karna ho ya phir UK ke market mai tu phir traders ko 1 min ya 5 min mai scalping karna chaiey kion ke inn session mai market ke movement b achi hoti hai , aur ager Asian session mai trading kar rahy hon tu phir 15 min time frame b acha sabit ho sakta hai.
      • #4 Collapse

        Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

        Scalping trading short format ki trading hoti hay jes key ley app ko market short time key base par analysis karna hoti hay aur short time frame hi app ko use karni hoti hay, mery khayal me scalping trading key ley sab se best time frame jo ho sakta hay wo hay 5 mint ka time frame, es se kam time frame 1 mint ka time frame hota hay jes me ham market ki movement ko understand nahi kar sakty hey, 5 mints ya 15 mints ka time frame analysis karny key ley best samjy jaty hey app agar scalping trading key ley be large time frame use karo gey to ye ghalti app ki apni hoti hay es me app ko loss ho sakta hay.
        • #5 Collapse

          Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

          Jub ham less than five minute trade close nehi ker sakty tou hamein scalping ky liey short time frame sy trade kerni hoti hai ham fifteen minute time frame ky sath bi achi scalping ker sakty hein aur h1 time frame ky sath bi achi scalping ho sakti hai hamein kam sy kam time frame mein scalping kerni hoti hai jub market thorey sy profit mein aa jaey tab hamein trade close kerni hoti hai phir ham bar bar aesa kerty rehty hein tou bar bar hamari trade jub profit mein hi close hoti rehti hai tab hamara profit achi amount mein ban jata hai tou scalping hamein short time frame ky sath hi feda deti hai per less than five minuts ky liey hamein wait kerna perta hai nehi tou hamein hasil hony wala profit bi zaya ho sakta hai kyun ky scalping hoti hi short time ky liey hai tou hamein short time frame ky sath hi kerni hoti hai phir hi ham scalping sy acha profit bana sakty hein
          • #6 Collapse

            Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

            best time of scalping
            brother scalping ky lea best time frame m30 aur h1 hai es sa kam time frame pay kam karna bohut risky hota hai aur ap ko confuse bhi kar daita hai aksar jitny bhi main nay pro trader aur expert dekhy hain wo pehly bat tu scalping karty nahi hai aur ager karty bhi hain tu m30 pay ya phir h1 main karty hain scalping trade risk hoti hai aur ap ko bar bar apni trade ko dekhna parta hai aur scalping trade karny ky lea ap ky ko ziada dair market main bethna parta sath ap koi or kam anhi kar skaty hain es lea meri ap ko yeh request hai ky scalping trade karny ki bjay ap long term trade karain uss main risk bhi kam hota hai trade win bhi ziada hoti hai es lea ap ko long term trade aur big tiem frame use karna chahea.
            • #7 Collapse

              Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

              Dear members scalping strategy si murad yeh hoti hai ki Jab ham active trading karte Hain to hamari trade bahut short time ke liye hoti hain, is mein profit aur loss ki sharha bhe kam hoti hai. Magar thora thora profit ki sorat main Ham ek accha profit gain kar lete hain. Day trading and scalping strategy mein Fark yeh hota hai ki Jab ek trader din mein trading karta hai aur kuch ghanton ke bad yah din ke bad apni trade close karta hai Magar ek scalper trader us ek ghante ke dauran kitni trade start and stop kar chuka hota Hai. Agar scalper ki prediction right hai tu thore se waqt mein acha profit Le sakta hai. Magar is ke liye bhi bahut zyada learning ki zarurat hoti hai to sab se pahle apna focus learning per rakhen Taki aap ko market ki movement ki samajh a jaaye. Scalping strategy main hamesha chart 1 minute 5 minut ya 10 minut ka use Kiya jata hai. Sab se fast movement US session mein hoti hai is liye koshish karen ke trading aap us session mein karen ge to fayda ziada ho ga.
              • #8 Collapse

                Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

                Dear scalping mai ap ko jo trade lagani hoti hai aus mai time frame chota use karna hota hai aor aus par ko lot bari lagani hoti hai kun k agar market ap ki favour mai thora sa move karti hai to aus par ap trade ko close kar dety hai aor profit le k side par ho jaty hai agar ap ais mai bara time frame use karty hai to aus mai ap ki trade kafi zayda loss mai ja sakti hai aisi liay scalping k liay best time frame M15 best hai ais mai ap ko jo trade milti hai wo thori se dair mai profit mai aa jati hai aor aus k baad jab ap ais market mai lot bari lagaty hai to ap ko choty time frame mai latest trend ka bhi pata chal jata hai aor ap ais mai achi trade laga k profit bana sakty hai aor account growth kar sakty hain apni trading se.
                • #9 Collapse

                  Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

                  Scalping karne ke liye sabse accha time USA station ka hai Jisme Agar ham log trading Karte Hain To Ham log Kafi Achcha profit banaa sakte hain is session mein Ham Logon Ko trading karte hue chakroad Banane Mein kamyabi Hasil ho sakti hai aur ham log Kafi Achcha profit banaa sakte hain
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Scalping kay liye best Time Frame kon saa hai?

                    Best Scalping Time Frame:

                    Mein bhi apki hi bat se agree karta hun aur meri nazar mein bhi jo scalping ka best time frame hey woh yehi hein jo apne bataye hein M1 M5 and M15 aur bohot hi ziada traders aisey hein jo keh scalping kartey hein aur mein samjhta hun keh scalping agar hum aik Had mein reh kar kartey hein aur fully money management ke sath hum scalping kartey hein to phir hum is business mein achi trha se succcessful ho saktey hein aur scalping ke through hum bohot hi shot time mein bohot hi ziada agey ja saktey hein isliye scalping ko bohot hi ziada log tarjih detey hein aur is mein work kartey hein aur hum is mein jitna ziada work kartey hein utna hi experience hasil hota hey aur is mein utna hi ziada achi trha se kamiyab ho saktey hein.

                    Click image for larger version

Name:	scalping time frame.jpg
Views:	1
Size:	104.8 کلوبائٹ
ID:	12325253
                    https://t.me/pump_upp

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X