Pending orders ka kia faida ho sakta hay?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pending orders ka kia faida ho sakta hay?
    main ye pochan chahta hun kay pending orders ka kia faida ho sakta hay?
    THKS
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

    MT4 trading terminal traders ko bohat ziada support kerta hai. MT4 terminal pay bohat ziada tools hain jo traders ko market mai trade open kernay aur close kernay say lay kay apnay profits/loss aur trade ka time tak select kernay aur apni pasand ki prices tak pay trading unhi tools kay saath ker saktay hain.

    MT4 trading terminal pay traders 2 tarah kay order place ker saktay hain jo kay kisi bhi currency ya commodity pay click ker kay order window mai show ho jatey hain. Unn mai say aik type tou instant execution kehlaati hai jiss ka matlab yehi hai kay jo bhi sell ya buy ka order place karengay wo usi waqt place ho jaey ga. Dusri type pending order kehlaati hai.

    Pending order ka matlab hai kay hum apna order aik makhsoos price pay open kernay kay liye place ker kay usay pending ker laitay hain jab selected pair ya commodity apni uss price pay jaati hai tou hamara order bhi active ho kay execute ho jata hai. Ye tareeka signals aur news pay use hota hai jab pata ho kay kiss price mai hum trade open ker kay profit lay saktay hain. Pending order ka faida bohat hai magar uss waqt hota hai jab news aur signals ya hamarey analysis bohat he authenticated hotay hain
    • #3 Collapse

      Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

      Pending order.
      Dear members Forex trading me do qisam ke orders use hote Hain aik Hain instant execution order aur dusra Hai pending order, donon hi apni jagah per ehmiat me hamil Hain Magar zyadatar traders instant order pay Hi Kam karte Hain. Pending order se Murad hoti hai ki Jab bhi aap kisi khas limit per kisi bhi currency ya stock ko sell yah buy karna chahty hain to aisi Surat mein main pending order place Kiya jata hai. Pending order mazeed do qism ke hote Hain agar aap chahte Hain ki ek khas price per currency pahunche to main usko sell karna chahunga to aisi Surat mein limit sell order place Kiya jata hai aur agar ek khas limit per market pahunche to main aisi Surat main bi karna chahun ga to is ko limit buy order kaha jata hai. Is ka fayda yah hota Hai ki eoh trader Jo desktop ke samne nahin baithe hote aur vah chahte Hain ki agar market yahan pahunche to main apna order execute karunga to aisi Surat mein vah pending order place kar dete Hain.
      • #4 Collapse

        Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

        Dear pending orders me app other kesi be type key orders se zeyda profit be earn kar sakty ho, pending order me hi app without loss key trading karny me kamyab ho sakty ho, other type key orders agar app place karo gey to es me risk zaror involve ho ga magar pending orders me app ko advantage ye hasil hota hay key app apni marzi key kesi be point se market me orders place kar sakty ho aur esy orders me loss ka chance be khatam ho jata hay, app ko market ki movement ka pata hota hay pending orders me app kabi be ye nahi chahty key ye orders esy points se place ho jaye key es me loss ka chance baki reh jaye.
        • #5 Collapse

          Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

          Bhai pending order srf un traders ke liye hi faidemand sabit hota hai jin ka market analysis kafi strong ho, agar ap bager market ko samjhe pending order laga denge to ap ko nuksan hone ke chances ziyada hota hai, qk jab ap ko pura yaken ho ke market ek makhsos price tak jake wapis aae gi aur ap ko lage ke market ki tez movement ki wajha se ap us point pe trade nhi laga sake ge to ap advance mein us price pe pending order place kardete hai. Phr jab market us price ko hit kare gi to ap ka order execute ho jae ga.
          • #6 Collapse

            Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

            dear har banday ka forex amrkeet main kaam krnay ka apna tareeka hota hay kisi ko scalping bahut achi lagty hay wo is main aisi skills rakhta hay jis say wo daily basic pay achi earning ko possible bana sakta hay aur kisi ko markeet main long term main achi earning milty hay laikin jo experts traders hotay hain wo markeet main ziada say ziada pending orders lagatay hain q k unko pata hota hay k markeet kahan say return ho sakty hay uski kon c support aur kon c resistance hay is liye jub tak unko is baat ki confirmations nai mil jaty hay k markeet yahan say retracemnt krnay aa sakty hay wo usi jagha pay apnay pending orders laga daitay hain jaisay he markeet us point ko touch krty hay unka order execute ho jata hay aur jo earning pending orders say milty hay wo dusray traders ko achi nai milty hay q k unka experience acha hota hay jiski wajha say wo ziada tar pending orders say kaam krtay hain mairay khayal say yahi sab say barra faida hota hay pending orders ka.
            • #7 Collapse

              Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

              importance of pending orders.
              dear friends forex market main pending order ka use karna ap ko bohut ziada fiada day sakta hai pending orders ap ko false breakout say bacha laity hain uss ki example main main ap ko day daita hun jab bhi koi market main breakout hota hai tu ap ko foran say ager trade lay laity hain tu wo trade main risk 50/50 ho jata hai ager wo he trade ap pending order ko use kar ky laity hain tu ap ka risk sirf 20 say 30 percent reh jata hai jiss sy stop loss lagny ky kam he chanses hoty hain es lea ap ko pending order ko use karna chaheay aur jitna ap apne risk level ko kam rkahain gay utna he forex main ziada gain karain gay aur kam loss karain gay forex market main hamesha aik acha planner he success hota hai es lea asa plan pehly say ready rakhain phir he ap ko kamyabi milti hai.
              • #8 Collapse

                Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

                Dear jab ap ais market mai analysis karty hai to aus time pa ko ais market mai kai dafa market aus level par ni milti jaha se ap ki trade ka entry point ban raha hota hai agar ap ais market mai her time online ni reh sakty to ap aus trade ko achi jaga se lagany k liay pending order use kar sakty hai ais mai ap k pass option hota hai k agar ap ne aik dafa pending order laga dia hai aus ko change karna ho ya aus ko delete karna ho ye sab ap kar sakty hai kun k kai dafa market ap k analysis k hisab se moment ni karti aor ap ko wo trade lagnay ka faida ni hota ais liay ap aus pending order ko delete kar sakty hai aor loss se bach sakty hai aor achy point se entry par ap ka stop loss bhi kam hota hai aor take profit zayda bnata hai.
                • #9 Collapse

                  Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

                  Pending order Mein trading karte hue ham log Kafi Achcha proper banaa sakte hain isliye Ham Logon Ko pending automatic feeding Kitni chahie tha ki ham log Kafi Achcha project Banane Mein kamyabi Hasil kar sake aur ham Logon Ko fayda Ho
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Pending orders ka kia faida ho sakta hay?

                    Pending order ka Faida:

                    Forex business mein pending order ka bohot hi ziada importance hey aur jesa keh forex business 24 hour tak open hi rehta hey aur is mein hum kabhi bhi 24 hour tak musalsal nahin beth saktey hein isliye hamen chahiye keh hum is mein kisi bih achey point par Support & Resistance ke sath achi trha se analysis kar lete hein aur jo point bhi hamen acha milta hey hum us par Sell ya buy mein pending orders laga dete hein aur is se hum is mein achi trha se kamiyab ho saktey hein aur pending order forex business mein kafi importance rakhna hey aur phir market jese hi us point par ati hey hamari trade Automatically open ho jati hey aur hamara jo profit ya loss hota hey woh bhi automatic off ho jata hey aur hum achi trha se kamiyab ho jatey hein.
                    https://t.me/pump_upp

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X