Gold trading ka experience share krin?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gold trading ka experience share krin?
    Dear member gold aik risky per hai Jin trader's ne gold pay earning hasil ki hai apna experience share Karen Taki dusre ka fayda ho.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Gold trading ka experience share krin?

    Dear ap ko gold par agar trade karni hai to aik baat mind mai rakh ley k ais mai lot ka khas khyal rakhna hai kun k agar ap k pass account chota hai aor aus par lot bari use kary gay to ap ko ais mai kafi zayda loss ho sakta hai magar ap k pass account bara hai aor aus par ap normal lot use karty hai to aus mai ap ko ye pata ho ga k ais mai jo market ki moment hoti hai wo aisy hoti hai k market aik level se moment start karti hai aor 2 din baad ausi level par phir aa jati hai agar ap ais market mai trade hold rakh lety hai to ap ki trade aram se nikal jati hai ais mai ap ko moka mil jata hai k ap zayda loss wali trade ko nikal ley bas ap ko apny account k hisab se lot lagani hai tab hi ap ko faida ho ga ais pair mai.
    • #3 Collapse

      Re: Gold trading ka experience share krin?

      Forex trading business may ager humain gold ki trade lagni hai tu humain bohat ahtiyat ki zarort hoti hai humain apne balance ko dikhty hoe trade lagni hoti hai or gold ki trade may sab say ziyda humain apne lot size ko sab say chOta rkhna hota hai kyu Kay gold ki trade bohat ziyda risky hoti hai humain chahye Kay agr tu hum new trader hain tu kabi bhi risk nahi lyNa chahye demo account pay practices karna bohat lazmi hai warna loss ka samna karNa parhta hai or sara balance bhi waste ho jata hai is liye koshish karain Kay ziyda sy ziyda practices pay focus rkhain or ager ap waky e gold ki trade lagna chahty ho tw humian apna balance ziyda high or lot size sab say kam rkhy or sath sath over trade nahi lagna chahye
      • #4 Collapse

        Re: Gold trading ka experience share krin?

        aoa dear ap ne bahut acha sawal uthaya hai jo k gold ki trading k hawaly sy hai to bhai jan es trading ko leny se pehly yeh jaan len keh gold ki trading ap ko profit aur loss dono ek jaisi speed men dy sakti hai es ley ap ny small lot py trade leni hai aur jo ahm bat hai woh hai ap ka account size agar account ka size bara bhi hai to bhi ap risk se door raheen aur save lot hi len jo ap ko profit to kam di gi leken loss k emkan ni hon gy es ley tukky se parheez karen aur apni sense ko use kar k profit kamain.shukriah
        • #5 Collapse

          Re: Gold trading ka experience share krin?

          Gold per trading karnay ka experience gain karny ke baad traders ko yeh learning zaroor ho jate ha ke trading mai Gold ke market trading karny ke lie kafi msuhkil aur bohot he ziada risky markets mai say aik hai .
          Gold mai trading karny ke liye traders kay pass thori ziada capital majood ho tu woh ziada munaisb rahy ga aur iss kay sath gold mai trading wohi log Karin jan ka trading ka acha experience majood ho kion ke Gold ke market mai ager nai traders kam Karin tu imkan yahi hota hai ke woh Gold ke trading mai bohot ziada confuse ho jain gaay aur trading mai kafi msuhkilaat kaa samna karna parh jiye ga. Gold ke market ke trading kafi samnbal kar he karna chaiye.
          • #6 Collapse

            Re: Gold trading ka experience share krin?

            Dear me ne 5 years gold me trading ki hay magar koshish karny key bawajod be me gold ki market ko samjny me kamyab nahi howa hon aur gold ki jaga ab me kamyabi key sath crude oil me trading kar raha hon, agar gold me mera trading ka expernice acha hota aur mujy information hoti key gold ko kesy understand kia jaye to me zaror gold key bary me useful information members key sath share karta, gold me kamyab trading key ley zarori hay key app gold ki market ko har condition me samjny aur observe karny ki koshish karo.
            • #7 Collapse

              Re: Gold trading ka experience share krin?

              Gold Risky he ya nahin:

              Agar dekha jaye to hum agar apne knowledge & experience ke hisab se gold ko dekhen to yeh hamare liye bilkul risky nahin hey aur iski market bhi same usy trha se hi chalti he aur iske bhi candles and pattern same usy trha se hi bantey hein jo keh baqi currencies ke bantey hein aur mein samjhta hun keh yeh bilkul achey traders keliye koi risky nahin hey aur mein sochta hun keh pata nahin traders isko kioun itna risky kehtey hein halankeh iske bhi bilkul same Candlestick hotey hein aur bilkul same usy trha se hi iska trend chal raha hota hey aur is par bhi hum achey knoweldge & experience ke sath acha profit hasil karne mein kamiyab ho saktey hein agar hum mehnat karen to is mein bih koi mushkil nahin hey kam karne mein.
              https://t.me/pump_upp
              • #8 Collapse

                Re: Gold trading ka experience share krin?

                Forex trading business mai gold aik aisi commodity hai jiss mai trading ka apna he maza hai. Gold ki prices bohat high hoti hai aur ye prices aik ounce ki hoti hain. Gold pay trading kernay kay liye aik market chain ko samajhna bohat zaruri hai. Jab us dollar strong ya weak hota hai uss ka impact gold pay parta hai. Gold ki prices ka asar her mulk ki currency pay parta hai kiyu kay kisi bhi mulk ki currency gold reserves pay he base kerti hai. Ab gold ki price up down ho tou currencies bhi up down hoti hain phir issi ki wajah say crude oil aur degar currencies ki prices bhi up down ho jaati hain. Ab Agar iss chain ko samajh lia jaey tou gold pay trading risky kehnay aur likhnay waalo ki baat samajh aajati hai. Kiyu kay gold say sirf gold nahi puri market he juri hui hoti hai.

                Gold mai trading kay liye account balance strong ho, aik waqt mai sirf aik trade honi chaiye, lot size hamesha minimum hona chaiye, trade open kertay huay stop loss aur take profit ko laazmi use kerna chaiye. Aik average munasib profit milnay kay baad trade ko close ker lia jaey aur ziada profit ka laalach na kia jaey. Inn sub baato aur nukaat ko maddenazar rakh kay gold ki trading ki jaey tou kabhi bhi risky trading nahi ho sakti aur na he risk ban sakti hai
                • #9 Collapse

                  Re: Gold trading ka experience share krin?

                  gold ky bary main mera yeh experience hai ky gold ko aik trend ki tarf follow karna chaheay gold main ager ap aik trend ko follow karty hain tu yeh a ko aik achi movement day sakta hai aur ap ko daily chart ky tredn ko folow karna chahey kyon ky gold main aksar ju daily chart main trend banta hai us ki side trade karny say ziada faida milta hai aur dosra ap ko doller ki movement ka pata hona zrori hai kyon ky gold doller ky against movement karta hai jiss say ap gold ko mazeed behter triky say samjh skaty hain doller ager weak hota hai tu gold stong hota hai aur ager doller strong hota hai tu fori impact gold main parta ha aur gold weak ho jata hai es lea jab ap aik trend ko follow kar ky aur doller ko dekh kar kam karain gay tab ap ko gold ki move asani ky stah smajh main asakti hai.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    اصل پيغام ارسال کردہ از: sajidzaman پيغام ديکھيے
                    Dear member gold aik risky per hai Jin trader's ne gold pay earning hasil ki hai apna experience share Karen Taki dusre ka fayda ho.
                    Janab Gold ki khas bat yeh hai kay es mai aik tu ap ka experience acha hona cheye or 2nd ap kay pas aik acha capital hona cheye. Ager ap Gold kay sath kisi or currency main trade na karain. or na he kisi or commodity main. Es leye koshish krain kay jab be ap trade karain es mai ap kudh es kay analysis karain or analysis ki base pay ap api trade ko open karain gy or risk management ap ki achi honi cheye. Es tarha ap gold mai kuch pips be kama kar aik achi earning kar sakty hain. Es mai ap koshish karain short term he trade karain. jis sy ap kuch pips sy achi earning kar sakty hain.

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X