kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?
    friends main forex main aik new trader houn main ap say yeh swal pochna chata hun kuy mujhy kuch friends ny kaha ky k jab tk ap forex market main chart par aik aik candle ko read nahi karty hain wo market ka chart reading karna nahi ayy ga tu ham wo candle ki details kahan say hasil kar sakty hain jiss say ham ko yeh pata chal jay ky har candle ka forex market main kia role hai aur har candle ky pechy forex market ki ju movement hai uss ky pchy prices kesy chalti hain kon ky yeh batin basic samajhna bohut zrori hain phir he ap ko forex market ki movement samaj main aa saky gee please apna apna knowlede zror share karain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

    Dear ap ko candle stick k bary mai agar pharna hai to aus mai kuch pattern hai jo bahot hi zayda use hoty hai aor aus par agar ap kaam karty hai to ap ko bahot hi zayda faida ho sakta hai kun k ais market mai agar ap dekhy to ais mai jo resisatnace aor support level par candle stick pattern banty hai aun par hum ko agar trade karni hai to aus mai hum ko aisi candle stick pattern par nazar rakhni chaye jin ko market zayda follow karti hai aor ain par jab hum kaam karty hai to ais mai hum ko confirmation k baad entry leni hai aor aus k baad hum ko ais mai thora stop loss lagana hota hai aor take profit kafi zayda hota hai ais market mai hum agar achi entry par trade lagye to hum ko ais mai profit ho sakta hai.
    • #3 Collapse

      Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

      G han bilkul app agar market me chart ki reading candles key madad se karna chahty ho to app ko candles stick chart pattern ka complete knowledge hona zarori hay aur app ko har candle ki maloomat hona be zarori hay, jo be candle market me banta hay ye small candle ho ya big, bullish candle ho ya bearish ya doji es ka koi na koi reason zaror hota hay, har candle hi next candle ki movement me help deta hay aur app ko ye achi tarha se maloom hona chaye key candles se kesy market ki future ki movement ka andaza lagaya ja sakta hay.
      • #4 Collapse

        Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

        Dear friend forex trading candle chart sab sy best ha is sy hum forex market ko samj sakty han candle chart main different pattern banty han jin ko samj k hum ache trading kar sakty han candles chart main different strategy or planning sy hum forex trading main behtar trading kar sakty han
        Forex trading main jtni ache strategy or planning ache ho ge hum utni ziada behtar trading kar k ache earning kar sakeny gy behtar planning or strategy hum demo account main apply kar k seek sakty han or ziada sy ziada knowledge or experience sy hum maximum trading kar k ache earning kar sakty han
        Forex trading main candle chart main pin bar or doji candle or both sary pattern banty han jin sy hum ache trading kar sakty han in ko seekena both zarori ha
        • #5 Collapse

          Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

          Pyare doston Forex trading mein candle pattern chart bahut helpful hote Hain aur ziadatar traders candle pattern chart ki madad se Hi trading karte Hain. candle chart different time frame ke hisab se Ham read kar sakte hain, agar aap chahte Hain ki candle chahat ki madad se aap exact prediction len to uske liye aap ko 1hr candle chart, 4 hr candle chart and 1day chart ko read karna ho ga. Kyun ki agar aap kam timeframe ki chart kareng e to unki movement itni fast hoti hai kya aap ko achi judgement nahin mile gi. Bahut se trader candle pattern chart ki madad se trading trend nikaalte hain aur earning bhi hasil karte Hain.
          • #6 Collapse

            Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

            Aik Aik Candles ko read karna:

            Apko jis dost ne bhi kaha he keh aap aik aik candles ko read karen usne apko bilkul sahi kaha hey aur woh apka sahi dost hey aap waqai aik aik candles ko jab is business mein learn kartey hein to aap is business ko bohot hi jaldi pick kar saktey hein aur is mein achi trha se successful ho saktey hein . Forex ki market totally Fundamental analysis ke bad Candles par hi chal rahi hoti hey aur jab hum candles ko achi trha se learn karne mein kamiyab ho jatye hein to phir hum is mein achi trha se earning kar saktey hein aur is mein kamiyab ho saktey hein forex ki market bohot hi asan he agar hum iske basics candles ko achi trha se samajh jayen to hum yahan se bohot sara faida utha saktey hein aur candlestick ke bohot sarey benefits hein jin ko hum achi trha se istamal mein lakar aik bohot hi bara profit kama saktey hein aur bohot barey traders ban saktey hein.

            Click image for larger version

Name:	forex candles.jpg
Views:	6
Size:	98.0 کلوبائٹ
ID:	12325266
            https://t.me/pump_upp
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: kia hmain aik aik candle ko read karny say market ki samaj ayy ge?

              nahi dear ap ko forex main har aik candle ko nahi sekhna parta hai ap ko forex main kuch khas candle hoti hai jin ko zrori dekhna hota hai sab sy pehly aik candle pin bar hoti hai ju bouht he important hoti hai jiss ka market main acha asar parta hai aur ye aksar kisi strong support aur strong resistance pat banti hai aur rejection candle ky tor par banti hai jis say ham trade bhi laa sakty hain aur us ky bad doji candle hai phir hammer hai bear aur aik do asi candle hai jin ka impact say ham market main achi earning kar sakty hain forex business main jitna bhi ap candle ko samjh kar kam karain aur chart ko samjh kar kam karain gay utna he ap ko forex main ziada faida ho ga es lea forex business main candle stick ko samjhna boht ziada zrori hai.

              اب آن لائن

              Working...
              X