Cross Forex Pair se kia murad hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cross Forex Pair se kia murad hay?
    Dear members Forex trading ko samajhne ke liye Hamen currency per samajhne Hon ge, zyada tar traders major currency pair per kam Karte Hain. Aaj Mera Sawal yeh hai ke cross Forex pairs Se Kya Murad hai?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

    Ji ap nay bohat acha sawal kia hay. Yahan par ham first of all currency pair ki bat karan gay ta k cross currency pair ko understand karna easy ho jay.
    Currency Pair
    Forex market main Forex trading currency pairs ki soorat main hoti hay jes main aik hi time main aik currency ko buy kia jata hay aor dosri currency ko sell kia jata hay example kay tor par EUR/USD, EUR/GBP, USD/HKD waghaira. Currency pairs ki aam tor par three types hain.
    1: Major Currency Pair
    2: Cross Currency Pair
    3: Exotic Currency Pair
    yahan ham bat karain gay cross currency pair ki'
    Cross Currency Pair
    Aam tor par trading main jo currency pairs use hotay hain un main aisay currency pairs ki tadad ziada hay jen main aik currency USD hoti hay aisay currency pair ko major currency pair kehtay hain lakin jes currency pair main koi bhi currency USD na ho usay cross currency pair kehtay hain example kay tor par CAD/JPY, EUR/GBP, NZD/JPY, AUD/NZD and EUR/JPY waghaira waghaira. Cross currency pairs main major currency pair ki nisbat spredd ziada hota hay.
    • #3 Collapse

      Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

      G han dear jahn tak mai samjhta hun kay cross pair wo hotye hain jo kay aik dusrye kay opotive side pay move kartye hain yani kay ap daikh lain jaisye gold hai aur cl matlab kay ager gold ki momnet sell mai ho gaye tu cl tu auto pay he up jaye ga esi tarha ager gold buy mai jata hai tu cl sell mai jata hai autio pay tu esye khaitye hain cross pair mainye tu sirf ye masail di hai aur bhi kafi sarye aisye pair hain jo kay cross kam kartye hain sara kamal asal mi doller ka he hota hai kiyu kay wo jub jub up down hota hai tu har cheez ko faraq parta hai waisye cross pair ka pata ho tu es mai kafi had tak kamyabi hasil kar li jatye hai cross pair ko seekhnye kay aur bhi kafi sarye fawaid hain na tu us pay bhi amal kar saktye hain aur kamyabi hamsik kar saktye hain tu humain un pay bhi amal karna cjye aur kamyabi haisil karnue chye
      • #4 Collapse

        Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

        Cross pairs sy murad hai ky agar aik pair main eurusd hai tou other pair main usdjpy Ho tou jab dollar main move hoti ky dollar ka index down hoga ya up jaey ga tou in main sy aik pair main up move hogi tou dusry main down movement hogi hamain yeh zarur check ker lena chahiay ky agar aik pair main bahot bari movement ho chuki hai tou usky cross pair main agar movement abhi nehi hui tou hamain same movement jo aik pair main ho chuki hai usky reverse order main other pair main trade open ker leni chahiay ky ab ho sakta hai bahot jald other pair main previous pair ky against reverse order main bhi itni hi movement ho tou ham same cross pairs main isi terha trade ker ky bahot achi earning ker sakty hain hamain chahiay ky pehly ham cross pairs ki trading platform main is terha setting ker lain ky ham dono ko easily judge ker sakain
        • #5 Collapse

          Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

          Cross forex pair say Murad asi currency Kay pair ko select karna jo Kay bilkol positive hota ha jase ek pair USD hai or dOsra pair EUR tu is say dollar ki movement bohat highly effect karti hai or indicator show karta hai Kay ek pair Kay change hone say dOsre pair ki movement may bhi change ata hai sometimes yah change positive hota hai or sometimes yah change negative movements ko dikhty hoe humain humain asa pair select karna chahye jis say humain ziyda profit mily or loss say bacha jiye forex may mostly cross pair may hi Trade order lgya jata hai.. forex may trade karne Kay liye humain forex trading ki techniques ko samjty lyNa chahye kyu Kay begaar samjy hum kabi b faida nai utha sakty complete knowledge hona bohat zarori hai jis ki help say hum easily pair select kar skty hain indicator ko analysis kar sakty hain
          • #6 Collapse

            Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

            Assalam walekum Pyare bhaijaan Forex trading mein cross currency correlated pairs eurusd gbpusd gold cross correlated pair hai usdjpy ka jub ke eurjpy aor gbpjpy bhi cross correlation rakhty hain gold sy aisy he crude oil ka correlated hona usdcad sy apko maloom hai dear forex members bahot sary pairs correlation rakhty haun koi positive to koi negative correlation rakhta hai is leay apko in baton ka khas kheyal rakhna hota hai tb jub news releases hoti hain tb crossed correlation waly pairs py ap asani sy trade sly skty hain aor asani sy kam kr skty haun lehaza trading ma knowledge aor experience apko general bhi hona chye aor economic bhi aor technical analysis ka bhi acha hona chye apko
            • #7 Collapse

              Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

              Forex market me cross pair wo hoty hey jes me US dollar include nahi hota, agar market market me pairs ko deka jaye to bahot sey currencies key pairs hamy trading key mil jaty hey, EUR/USD, GBP/USD esy pairs me US dollar include hota hay es ko major currency pairs ka name dia jata hay jab key GBP/EUR, GBP/JPY ye cross currency pairs hey jes me US dollar include nahi hota hay, agar ham major currency pairs me trading karty hey to hamy US dollar ki market ka be jaiza lena ho ga aur agar ham cross pairs me trading karen to jes currencies par ham trading kar rahy hoty hey en ki market aur economic position ka hi jaiza lena chaye.
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Cross Forex Pair se kia murad hay?

                Dear ais market mai agar ap ne kaam karna hai to ap ko pata ho ga k ais market mai currency k diffrent pairs hoty hai jin par ap trade kar sakty hai ain mai kuch major pairs hai jin par ap trade kar sakty hai aor kuch minor pairs hai jin ko cross pairs bhi kehty hai, usd k sath mil k jitni currencies pair banati hai wo sab major pairs mai aa jati hai aor ais mai jo currencies baqi hai jo apas mai mil k pairs banati hai wo minor pairs hai ap jis par chaye kaam kar sakty hai magar major pairs par zayda log kaam karty hai to aun par aik to spread kam hota hai aor aun ki moment ko banda asani se samjh jata hai agar ap ne ais market mai acha profit banana hai to ap ko ais mai cross pairs ki moment ka pata ho tab entry lagani chaye.

                اب آن لائن

                Working...
                X