Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?
    Dear members maira aap say sawal hai kay expert aur senior traders ki taraf say new aur junior traders ki taraf say aksar ye mashwara dia jata hai kay aik waqt mai aik trade open kerni chaiye. Aap sub kay khayal mai ye baat kaha tak theek hai aur aik waqt mai aik trade open kernay ka kia faida hai? Tafseeli jawaab say samjhain??
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

    Forex mein humain aik waqt mein aik hi trade kerni chahyea aur aik sae zayada trades kabhi bhi na lagain jub aap ki woh trade profit mein close ho jaye tou phir aap ko forex mein doosri trade lagani chahyea aur iss ko aap apni trading ki aadaat mein shamil ker lain tou aap ko iss ka bahut zayada faida ho ga
    Jub aap aik trade open kertay hain tou aap ki equity kabhi zayada down nahin hoti aur aap ki equity ko kabhi bhi aap kay balance sae 50 percent sae down nahin jana chahyea agar aap equity ko control ker letay hain tou yeh aap ki forex mein kamyabi hai aik trade sae aap ka account balance hamesha safe rehta hai kabhi aap ka account wash nahin hota aap ko kabhi bhi trade mein margin call nahin aati aur aap ko shayed hi kabhi trade mein loss ho warna aap ko hamesha trading mein profit hi hota hai lehaza aap ko chahyea kay aap aik waqt aik hi trade ki strategy per kaam kya kerain
    • #3 Collapse

      Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

      Assalamu Alaikum dear forest member ji han bhai aapane bahut hi acchi baat ki hai main aapki baat se Ittefaq karta hun ji Hamen Ek Waqt Ne ek hi trade Lagani chahie Agar ham Do Ya Do Se Jyada trades akahati laga dein Ge To Hamara mind stress Mein a Jaega Kyunki work Jyada Hoga aur workload ki vajah se mind stress Laga Ho Jata Hai Jiski vajah se Hamen samajh Nahin Aata ki Hamen kaun si trade kahan per Lagani Hai To is vajah se Kai bar bahut jyada loss uthana pad Jata Hai Is vajah Se vah Kam Karen Jo Ham simple aur aasani se kar sakte hain isliye Ek Waqt Mein Ek Hi trade lagaen aur acche se dekh kar trade lagaen kabhi bhi jaldbaji Mein Dekhe bagair soche samjhe bagair trade mat lagaen jisse aapka nuksan ho sakta hai isliye bahut hi jyada Soch samajhkar aur jab aapko ful confirm ho tab hi Lagani chahie tha Agar aapko loss ka Samna Na Karna Pade aur aapko Achcha profit ho jaaye
      • #4 Collapse

        Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

        Ek waqt mein 1 trade lagani chahie ya nahin. hame decision leny ke liye sabse pahle apna account balance check karna hoga agar hamare pass balance bahut zada hai too hum se zyada trade Saath Saath b kar sakty hyn . Its all depends on your account balance.
        • #5 Collapse

          Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

          Aik time per aik trade karna kafi logon kay liye best rehta hai . jitna ziada traders ke trades ke tadad increase ho rahi hoti hai iss hisab say traders kay liye market mai risk increase b ho raha hota hai. ziada tadad mai trades open karna traders kay liye kafi confusion ka sabab b ban jata hai .
          Ziada tadad mai trades ager risky nah b hon aur profit mai chal rahi hon tu phir b trades ko inko manage karna b kafi time per dishwar b hosakta hai .
          iss lye traders ke liye ziada suitable yahi hai ke woh jas had tak mumkin ho apni open trades ke tadad ko kam say kam rakhin , iss trah trading mai risk b ziada nai ho ga aur trading ko manage karna b inkay liye asan rahy ga.
          • #6 Collapse

            Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

            dear apka sawal acha hay umeed hay is main agar ham sab achay tareekay say discuss kraingay to ham sabko acha faida milay ga,dear yeh wahi baat hay ham jo markeet k baray main kehtay hain k hamko kam say kam risk say agar lose bhi hota hay to wo bhi hamko lose feel nai hoga q k ham jitna ziada risk laingay hamko account wash ka utna he kam say kam khtara hay aur agar ham jitna barray account say kam say kam risk say kaam lautay hain to hamko aisa mouka kabhi bhi nai milay ga k ham markeet sat say out hojayen isi liye he mairaay freind nay yeh post share ki hay k agar ham aik he trades say kaam laingay to hamko us say ziada faida bhi hay ham aisi khaas trades laingay jis say hamko zaida confirmations ho aur achi earning milay agar ham ziada risk say kaam laitay hain to ham jo kuch earn krtay hain us say bhi ham kuch hasil krnay say satisfied nai rahaingay aur haamko honewla aik lose hamari sari earning aur mehnat pay pani phairnay wali baat hay .
            • #7 Collapse

              Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

              Forex mein aik waqt mein aik hi trade laganay kay bahut zayada faiday hotay hain aap ko forex mein woh kaam kernay chayeain jin sae aap ko koi loss na ho aap ko kamyabian milain iss lye tou aap forex mein kaam kertay hain
              Aik trade sae aap ko profit tou kam hota hai lakin loss kay chances kam hotay hain
              Agar aap ko poss hota bhi hai tou uss loss ko recover kerna bhi easy hota hai kyun kay woh loss zayada bara nahin hota
              Aik trade ko aap profit mein close ker kay profit withdraw ker saktay hain
              Aik trade sae aap ki equity kabhi kam nahin hoti jis sae account wash ka koi khatra nahin hota
              Aik trade ko handle kerna aur control kerna bahut aasaan hota hai
              Iss lye mera tou aap tamam dostoun ko yehi mashwara haikay aap ko forex mein aik hi trade lagani chahyea aur kabhi bhi forex mein jaldi mein bhi aisa kaam na kerain jis sae aap ko loss ho sakta ho
              • #8 Collapse

                Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                Mere bhai ek waqt mein ek trade vahi karta hai jo apne account ki money management karta hai kyunki use pata hai ki Forex trading 1 lifetime business hai to jaldbaji karke a apna account watch kyon karvan isliye vah ek trade lagata hai aur jab tak uska stop loss yah take profit hit nahin ho jata han tab tak Ho dusre trade nahin lagata
                • #9 Collapse

                  Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                  Salaam alaikum dosto ek waqt mein ek trade open karna professional trader ki nishani hai kyunki aisa trader Jo apne account ki money management karta hai vah hi kar sakta hai hi jo Forex trading ka knowledge nahin rakhta vah ek trade per kabhi bhi sabar nahin karega aur jyada se jyada pet lagaega aur apna account wash karva Lega
                  • #10 Collapse

                    Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                    Dear members Forex trading mein Ek Waqt Mein Ek trade Lagane ke liye is liye Kaha jata hai ki aap ka trading account safe Rahe Agar aap ne ek se zyada trade place kar din aur galti se aapane same type ki trade place kar den misal ke Taur per aap ne USD/CAD, USd/Jpy, USD /Euro place kar di Hain aur US dollar ki price up down Hona Shuru Ho Jaati Hai Kisi fundamental news ki vajah se to aap ki Tamam trade loss Mein a Jaen ge. Fundamental news ke bad market ki movement bahut fast Ho Jaati Hai Agar aap ki ek trade Ho gi to aap ko nuksan 1/3 ho ga aur Agar aap ki 3 trades at time Lagi Hogi to aap ko 3 Guna zyada nuksan ho ga jis se bahut chance hai ki aap ka account bhi wash ho jaaye is liye koshish karen Ek Waqt Mein Ek Aur achi trade lagaen Taki aapko fayda Ho.
                    • #11 Collapse

                      Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                      Ji ap nay bil kul thek sawal kia hay Forex trading main bohat say aisay traders hotay hain jin ko Forex main bohat ziada experience hota hay aor woh bohat time say trading kar rahay hotay hain aor Forex trading main bohat ziada expert bhi hotay hain un traders kay liay aik say ziada trade open karna kuch mushkil nahi hota kun k woh apnay account aor trades ko mange kar sakta hay aor aik hi time main kai trades say kamyabi hasil kar kay profit earn kar sakta hay jab k new traders kay liay aik say ziada trades open karna khatray say khali nahi hay kun k aik to un kay pas ziada experience nahi hota dosra un ka account balance bhi kam hota hay en donon wajohat ki bina par new traders aik say ziada trade ko manege nahi kar sakta aor account kam honay ki wajah say loss ko pardashat karnay ki gunjaysh bhi kam hoti hay es wajah say account kay wash honay kay chances bhi ziada hotay hain lehaza new traders ko aik tume main aik hi trade open karni chahiay.
                      • #12 Collapse

                        Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                        Dear agar dekkha jaye to ap ais market mai aik time mai zayda trades bhi laga sakty hai magar aus k liay ap k pass aik to account bara hona chaye aus k baad ap ko ais market mai jo trade lagani hoti hai wo atni zayda na ho kun k agar ap ne aik time mai bahot zayda trades lagani ho to aus mai ap ko lot size kam rakhna parta hai ta k ap ais market mai trades lagaty hai aor lot size ka khyal ni rakhty to aus mai ap ka account ho sakta hai k account wash ho jaye kun k ais market mai ap ko apny account k hisab se trades lagani chaye agar ap ka account chota hai to aus mai aik trade hi lagye aus mai ap ka account safe rahy ga agar risk ley gay to ap ka account phans sakta hai magar aus k liay ap ko phly plan k hisab se trade lagani chaye.
                        • #13 Collapse

                          Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                          1 time me agar 1 hi trade open kia jaye to es key 2 faidy hoty hey, din me agar ham 1 trade open karen gey to zeyda risk leny se ham bach sakty hey aur 1 trade open ho to traders profit be jald earn kar sakta hay, agar bahot zeyda trades same time me open key jaye to risk ko manage karny ka masla hota hay aur sath me hamy ye be conform nahi hota key hamy ketna zeyda loss ya profit ho sakta hay, 1 trade agar open kia jaye to risk ko manage karny me asani key sath profit target be ham apni marzi ka rak kar faida hasil kar sakty hey.
                          • #14 Collapse

                            Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: anwaarz پيغام ديکھيے
                            Dear members maira aap say sawal hai kay expert aur senior traders ki taraf say new aur junior traders ki taraf say aksar ye mashwara dia jata hai kay aik waqt mai aik trade open kerni chaiye. Aap sub kay khayal mai ye baat kaha tak theek hai aur aik waqt mai aik trade open kernay ka kia faida hai? Tafseeli jawaab say samjhain??
                            Asalam o alikum dear ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main successful hony k liay humy aik waqat main trade open karni chae ha is sy ap ka account safe rahey ga or ap ko loss ni ho ga agr trade loss main bi ho to AP wait kar sakeny gy us k return hony ka q k ap ka bara ho ga or ap loss bardast kar saken gy or is ko easily recover bi kar saken gy aik time main agr ap ziada trade open karny gy to us at ap ko loss ho sakta ha ziada trade open karny sy ya phr bari trade open karny gy ap ko margin call bi aa sakti ha jis ki waja sy ap ka account main jo bari trade ho ge wo auto pe close ho jay ge or ap both ziada loss ho jay ga is ley humy safe trading karny k ley aik trade open karny ya small lots ki trade open karny 2 sy 3
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Aik waqt mai aik trade ka kia faida hai?

                              Forex may trade ek waqt may huMsha ek hi lagni chahye iska faida yah hai Kay humra balance save rahta hai or hum easily apni trade ko profits may close karta hai forex may kamyab hone Kay liye humsha traders ko chahye Kay ek waqt may ek trade order laga Kay profit ka wait kiya jiye ta Kay achi earning kamai jiye bohat sy Traders lalach may akar ek say ziyda trade lagty hain or Phir trade loss may close ho jati hai balance kam hone ki waha say balance zero ho jata hai apne balance ko save karne ko ziyda sy ziyda earning Kay liye ek waqt ki trade lagna zarori hai humsha patience say kam lyNa chahye or profit ka wait karNa chahye shukria..

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X