Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss
    Assalam o alaikum dear traders and members. Umeed hai aap sub bohat achay hongay. Forex trading mai traders profit aur loss ki baat kertay rehtay hain aur account wash honay ka bohat kaha jata hai. Profit aur loss ko agar overall daikha jaey tou ziada asaani ho jaati hai. isay samajhnay kay liye aik misaal daina chahunga. Agar account balance 100$ tha aur 2 weeks ki trading say 50$ profit hogaya aur isi doraan mai 20$ ki trades loss mai close hui thi. Phir profit waali trades 20 $ mai close ki gai thi to account ka over all profit 50$ banta hai jo kay account balance ka 50% ban gaya. Loss kay 20$ aur profit kay 20$ barabar hogaey thay.Tou account overall profit mai raha issi tarah agar account kisi agli trade mai wash bhi hogaya tou account profit mai he close hua tha.

    Traders ko waqti profit aur loss ki bajaey overall profit aur loss ko daikhna chaiye iss tarah ziada relax ho saktay hain. Profit ko bhool kay sirf loss ki batain kernay say disappointment ya maayusi kay elawa kuch nahi milta hai. Apnay faisloo ko musbat undaaz mai daikhna seekh laina chaiye
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

    Traders key ley zarori hay key wo monthly base par apni overall trading ka jaiza len aur profit key sath loss waly trades me apny mistakes ko find karny ki koshish karen, agar ham apni overall trading ka jaiza har week ya monthly base par len gey to hamy achi trading karny me bahot asani ho sakti hay es ka faida ye be hota hay key jo be ham mistakes karty hey ye control ho jaty hey aur mistakes na karny ki waja se hamari trading performance me be behtari ati hay, koshish karni chaye key agar weekly base par ham apni trading ka jaiza na len to monthly base par zaror apni trading ka jaiza lena chaye.
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

      Mere khayal main to hamin overall profit ya loss ko dekhana chahiye aksar ham sirf ek trade open kar kay us kay profit ain jaye ka wait karte hein hamin chahiye kay choti lots kay sath ziyada trades open karin aur overall loss ya profit check karin is tarha ham kam time main achi profit hasil kar sakte hein nai to hamin ek trade kay liye boht sa wait karna parta hay kiun kay agar hamre pass balance low ho to ham us se acha profit kama nai sakte is liye hamin apna banace ziyada rakhana chahiye ta kay ham ziyda trades laga kar acha profit earn kar skain..
      THKS
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

        g han bhai jan yah ap ny boht achi bat ki hai or main apki es bat se sehamt krta hon aghr tu hum over all loss or profit ko dekhen tu hmain kbhi bhi loss ko zyda dil par nahi lagna parhta hai q k mostly tradors loss se boht he afsorda ho jaty hain jis se wo trdaing ko bhi bura bhla kahny lag jaty hain es k ilwa forex ko bhi blame karny lag jaty hain es liye hmain aghr forex main apni trdaing ko over all report main rakhen os k bad loss or profit ki ratio dekhen or jis ki majority zyda hoti hai osi se he hmain andza hota hai k hmari trdaing main loss zyda hota hai k profit zyda hota hai phr osi k hisab se hum apni trdaing ko mazeed bahtr se bahtr kar skty hain or achi eraning kar skty hain
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

          Dear members foreign currency trading Main profit and loss donon Sath Sath Chalte Hain. Isliye aapko loss se Pareshan Nahin hona hai balke apni woh trade jin mein aap ko loss huwa Hai, Un se learning Hasil karni hai Taki aap yah mistake Dobara repeat na Karen. Har trader yah Chahta Hai ki woh zyada Se zyada profit Hasil Kary, aur jo trader yah karne mein Kamyab ho jata hai Vahi successful trader kahlata hai ki weekly basis per Aap Jo Bhi trade karte hain us mein aap ka loss profit se kam Hona chahiey. Aap ko chahiey ki aap apni trades ka review daily ya weekly basis per Karen Taki aap ko exact figure Mein idea ho ke aap ne is session Mein Kitna kamaya Hai.
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

            ap ny bilkul thek kaha hamynforex trading zayada sy zayada profit hasil karna chahty han to overall profit oe overall loss ka jayiza lia jay.agr hum overall profit ya overall loss dykhyn to hum kamyab nai ho skty . forex trading main loss ki waja sy log kam chor dyty han.or forex trding ko blame karty han .jab hamyn loss hota hy to hamyn chahya k hum apni mistake ko control karyn or forex k tools ko achi tarhan read karna chahya or na to hamyn overall profit dykhna or na overall loss dykhna chahya is waja sy hum forex main kam yab ho sakty han.
            • #7 Collapse

              Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

              bhai jan ap ny boht achi explination di hain hmain main apki bat se agree krta hun q k boht se tradors nahi say trador he apni trdaing main loss or profit ki ratio ayse he karty hain jub k wo over all trdaing main loss or profit ko nahi dekhty hain tu hmaisha apni trdaing ko over all judge kar k trdaing karen jis se ap apni trading ko achi kar skty hain or faida bhi otha skty hain tu ayse hmain yah bhi janny main asani hoti hai k hmain profit zyda howa hai k loss or jub loss ho jata hai tu wo apni trdaing main mazeed mahant karty hain ta k kamyb ho kar apni trdaing ko mazeed bahtr se bahtr karen ayse hum apni trdaing ko over all kar k apni trdaing ki ability ko starong kar skty hain or achi eraning kar skty hain
              • #8 Collapse

                Re: Jaiza: Overall Profit Aur Overall loss

                Dear jab hum ne ais market mai kaam karna hai to hum ko ais market mai aik plan bana lena chaye aus k baad hi hum ko ais market mai kaam karna chaye kun k agar hum ais market mai dekhy to hum ais mai aik target set karty hai aor ais market mai sochty hai k hum ne ais market mai kaam kaisy karna hai aor ais mai hum ne kitna profit lena hai aisy hi hum agar ais market mai trade karty hai aor kuch trade par hum ko profit hota hai aor kuch trades par hum ko loss hota hai to hum ais market mai apna hi loss karty hai kun k ais market mai ap ne dekha ho ga k ais mai jab hum risk reward ratio use ni kary gay to humra account growth ni kary ga agar hum apni trades k sath risk reward ratio use karty hai to hum ais market mai se paisa nikal sakty hain.
                • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                • #9 Collapse

                  Forex trading mein overall profit ya loss ka taluq trader ki strategy aur market ke samajh se hota hai. Agar trader acha analysis kare aur risk ko manage kare, to time ke sath profit kama sakta hai. Lekin agar over-leverage ya emotional decisions liye jayein, to nuksan ka chance barh jata hai. Market ki direction ko samajhna aur sahi waqt par trade karna kaamyabi ka aham hissa hai. Is liye patience aur calculated decisions bohot zaruri hain.

                  اب آن لائن

                  Working...
                  X