dear friends forex main risk aur reward level ko bohut he aam samjha jata hai aur isy ignore kar dia jata hai jiss waja say bohut say trader los karty hain aj main ap ko iss ki power btata hun ky ager ap risk aur reward level ko dekh kar trade karty hain aur kam say kam ap 1:2 risk reward rakh kar kam karty hain tu ko loss hony ky bad bhi profit main he closing ho gee ap ju bhi trade karain uss ka ager sl 30 pip ho tu uska tp 60 pip hona chaheay iss ka faida yeh ho ga ager ap totle aik din main 5 trade karty hain aur ager 3 k sl hit bhi ho jain tu ap ko 90 pip ka loss ho ga aur ager 2 bhi profit main hon tu app ko 120 pip phir bhi mil jain gay aur ap phir bhi 30 pips profit main hon gay yeh power risk aur reward ki hai ager ap ki ziada trade bhi loss main houn tu tab bhi ap profit main closing karty hain iss lea risk aur reward ko daikh kar kam karain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим