Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay
    Jab tak ham loss ko minimize kar key trades open nahi karen gey zeyda profit hamy trading me nahi ho saky ga, loss ko minimize karny aur reduce karny se hi ham profit ko grow ya increase karny me kamyab ho sakty hey,

    koi be esa order place na karen jes me risk factor ko kam karny ki planing ya strategy use na ki gai ho, jes trades me loss ko kam karny ki planing ki hoti hay esy trades me zeyda profit earn karny key chances be zeyda hi ho sakty hey, mostly ham risky trading karny par hi depend karty hey aur samjty hey key es waja se profit be hamy zeyda ho sakta hay ye traders ki mistake hi hoti hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

    Assalamu alaikum dear Forex trading members Forex trading mein knowledge and experience bahut important hai Forex trading mein loss ko minimise karne ke liye sabse important step aapki management hai agar aapki management fail ho jayegi to aapko trading mein loss se koi nahin bacha skta
    so dear Forex trading members aapko support and resistance market ka technical analysis tools and indicators ke uses se Forex trading mein apni planning ko strong banane mein help mil sakti hai loss ko minimise karne ke liye aapke pass multiple sources maujud hote hain Forex trading mein expert analysis review karte hue aapko trading market mein update leni chahie aapko technical analysis chat par trend ko mark out karna chahie
    • #3 Collapse

      Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

      bhai jab hume lose hota ha tu hume lose ko fallow krna chaiye hume monthly apne lose ko count krna chaiye is main hume dekhna chaiye k hum is main lose zada krte hein ya phr profit bohat se ese dost hein tu apne bonas ka 50% be profit hasil nai kr sakte hein hume is main agr kam krna hai tu os k liye is main daily menat krni chaiye analysis ko fallow krna chaiye chart indicotor ko dekhna lazmi ha galti hoti rehti hein lekin asal trader wohi hota ha jo apni mistake ko fallow krna hai hume is business main sab se zada knowledge apne lose se hi milta ha gr hum lose ko fallow krein tu hume kahi ur jane ki zahrorat hi nai hai hum mistake ko fallow kr k agy ja sakte hein
      :1f60d: hard work :1f60d:
      • #4 Collapse

        Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

        Dear traders and forum friends market ma trading krna asan kam nhi hai trading ky leay hikmat e amli bna ky acha aghaz krna he aik achy trader ki nishani hai forex trading ma professional approach rakhna hamari bonus bachny ki achi methodology hai
        Trading ky leat apko tricks aor techniques kp use krnq chye market ma qpko manipulation ky sath analysis krnq chye
        Loss ko minimize krny ky leay apko tolos aor instruments ka istemal krna chye agr kisi bhi kisam ki market ma uncertainty create hoti hai to us py apko apni strategy aor planning hanger krni chye forex ma apko fresh mind ky sath aor schedule targeted gaols bna ky kam krna chye
        • #5 Collapse

          Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

          G hum loss ko Kam kar k hi profit ko ziada kar saktay han aur loss Kam ho ga tu hi profit ho ga aur loss ko Kam karne k liye sab se zaroori hy money management aur agr hum apne account ki achy tareeke se money management kartay han tu is se hum apne loss ko Kam kar saktay han kiok money management se hum risk aur profit ko manage kar k hi trade open kartay han aur is k elawa greed aur emotional trading aur jald bazi ki trading se bhi bachna ho ga aur ziada risky trading nhi karni cahaiye kiok agr ziada risky trading karain gay tu is se profit jaldi hota hy tu agr loss ho tu wo bhi jaldi hi hota hy aur account wash ho jata hy
          • #6 Collapse

            Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

            Forex trading ma successful trading ka matlab hai keh aap apne loss ko kam karo aur profit ko increase krty jao dear Pakistan Forex forum members aapko trading market mein bahut he samajhdari sy trading plan banakar apni trade open karni chahie
            Forex trading market main technical analysis ke liye tool use karna jismein trend lines moving averages indicator aur oscillators ko istemal karna chahie
            Metatrader 4 terminal mein oscillator bahut acchi trading market ki output dete hain jiska accuracy level near about 80 plus hai
            Fibonacci retracement indicator aur bollinger band indicator ko aapko achi trah sy use karna aana chahie
            Acha kaam achy daam
            • #7 Collapse

              Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

              Dear members Forex trading mein aap koshish kar sakte hain ki aap ka loss kam ho aur profit zyada gain Ho, isi maqsad ko Hasil karne ke liye Ham Jo plan banaty hain usko strategy Kaha jata hai. Har trader Chahta Hai ke us ki trades mein loss kam ho aur profit zyada mile Magar sometime market fast move karti hai aur woh aapki soch se reverse Ho Jaati Hai to is Surat-e-haal ke liye aap ko money management focus per Rakhna ho ga Kyun ki agar aap is ko ignore Karen ge to aap ko bary nuqsaan ka Samna karna parga. Ache trader ki pahchan yah hai woh Hamesha profit and loss donon ko Samne rakh kar kam karta hai is liye aap bhi is Baat Ka Khyal rakhen.
              • #8 Collapse

                Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                Trading me agar loss ko minimize kia jaye to hi chances ho sakty hey key traders long time tak market me trading kar sakty hey aur acha profit esi condition me earn kia ja sakta hay key jald account wash na ho, long time tak agar account ko safe raka jaye to bahot zeyda profit earn karna bahot hi asaan hota hay, agar risk ko trading me minimize na kia jaye to ye be possible hay key account teezi key sath aur bahot kam time me wash ho jaye, aur agar ham risk ko reduce karny ki strategy key base par trading karen gey to etni jaldi zeyda loss na hony ki waja se bahot se chances hamy market me profit earn karny key ley mil sakty hey.
                • #9 Collapse

                  Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                  Business mai hamesha aisa he hota hai. Agar loss ho raha ho tou sub say pehlay loss ko kamm kernay kay liye planning ki jaati hai. Jiss kay mukhtalif tareekay apnaey jaa saktay hain. Forex trading business mai bhi loss ko minimize ker kay he prit ko barhaya jaa sakta hai. Traders ko bhi loss ko minimize kernay kay liye mukhtalif tareekay apnanay chaiye takey loss kamm ho jaey aur profit ki taraf account ko ley jaya jaey. Forex trading mai loss honay ki barri wajah ghair zaroori jald baazi aur phir jald baazi mai kiye gaey faislay hotay hain. Risk lay kay account ko bhi loss mai ker laina traders kay low experience ko zahir kerta hai.

                  Forex trading mai loss ko kamm kernay kay liye achi planning darust faislay aur sahi waqt ka intezaar kerna sub say behtar rehta hai
                  • #10 Collapse

                    Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                    Gee forex mein agar hum loss ko control lerain gay tou humara profit grow keray ga iss lye hum koi bhi aisa order place na kerain jis mein risk factor ko kam kernay ki planning ya strategy use na ki gae ho aur jis trade mein loss ko kam kernay ki planning ki hoti hai aise trades mein zayada profit earn kernay kay chances bhi zayada hi ho saktay hain zayada ter hum risky trading kernay per hi bharosa kertay hain aur samajhtay hain kay iss wajah sae profit bhi humain zayada ho sakta hai ye traders ki mistake hi hoti hai forex mein loss ko minimize ker kay hi profit earn kya ja sakta hai aur her trader ko chahyea kay loss ko minimize kernay kay lye mukhtalif tareeqoun sae kaam keray ta kay loss kam sae kam ho aur profit ki taraf account zayada jaye forex mein loss honay ki sub sae bari wajah jald bazi aur humari apni ghaltian hain aur hum ghalt faislay kertay hain risk lae kay account ko bhi loss mein ker lena traders ki ghalti hai
                    • #11 Collapse

                      Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                      Yes dear ye to ap ne sahe kaha hai k hum agar ais market mai kaam acha karty hai to hum ais market mai tab hi acha profit le sakty hai jab hum ais mai loss ko kam karty hai ais mai hum ko apni her trade k sath stop loss lagana parta hai aus k baad hum ko ais mai atni hi lot use karni chaye jitni humry account k liay behtar ho gi agar hum ais mai lot bari use kar lety hai to hum ais mai apna hi loss karty hai agar hum ais market mai account k hisab se dekhna chaty hai k lot kitni use karni chaye to hum ko trade k stop loss se pata chal jata hai k humra stop loss kitna ho ga aor aus k hisab se jo lot bany gi wo kitni ho ga hum ko apny account par 2% risk lena chaye ais se hum safe trading kar sakty hain.
                      • #12 Collapse

                        Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                        اصل پيغام ارسال کردہ از: irfankhan786 پيغام ديکھيے
                        Jab tak ham loss ko minimize kar key trades open nahi karen gey zeyda profit hamy trading me nahi ho saky ga, loss ko minimize karny aur reduce karny se hi ham profit ko grow ya increase karny me kamyab ho sakty hey,

                        koi be esa order place na karen jes me risk factor ko kam karny ki planing ya strategy use na ki gai ho, jes trades me loss ko kam karny ki planing ki hoti hay esy trades me zeyda profit earn karny key chances be zeyda hi ho sakty hey, mostly ham risky trading karny par hi depend karty hey aur samjty hey key es waja se profit be hamy zeyda ho sakta hay ye traders ki mistake hi hoti hay.
                        Asalam o alikum dear ap ny bilkal tek kaha ha forex trading main loss ko jab tak hum minimum ni karny gy tab tak hum log profit gain ni kar sakty han is k ley humy proper money management or risk management k sath trading karni chae ha apny account k mutabiq trade open karni chae ha aik time main aik he pair main aik he trade open karny jtna account ho us k mutabiq trade open karny agr small account ha to humy small lot use karni chae ha or bara account ho to us k mutabiq trade open karny over trading bilkal bi na karny itna risk lan jtna ap bardast kar sakty han jtna kam risk lan gy utna kam loss k chance hon gy or jtna ziada risk lan gy utna ziada loss ho sakta ha
                        • #13 Collapse

                          Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                          Agar Ham Logon Ko loss ko decrease karna hai to aur profit ko increase karna hai to iske liye Ham Sab Logon Ko Jyada Se Jyada hardworking Karni Hogi jitni Jyada ham log hardworking Karenge itna hi jyada Ham Logon Ko iska fayda Hoga aur ham Logon Ko Itni hi jyada kamyabi milegi
                          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                          • #14 Collapse

                            Re: Loss ko minimize kar key hi profit ko grow kia ja sakta hay

                            g han brother bilkul thek kaha hai ap ney apny loss ko kam sy kam rakhain aur apni trade ka jab bhi stop loss lgain ziada door na lagin jiss say stop loss kafi door ho uss say avoid karna behter hota hai kyon ky ager ziada pips ka stop loss hit ho jay tu ap ko los bhi ziada hota hai hamesha wo trade karain jiss ka loss minimum ho aur take profit 2 say 3 guna ho ta ky jab ap ko kabhi loss ho jay tu ap ka 2 say 3 guna profit ap ky los ko cover kar dain iss ko ham forex main risk mangement ka name daity hain aur jab tak ap forex main risk ko mange kar nahi karain kam karain gay ap ka loss ap ky profit say ziada ho ga esi leay kehty hain ky ju bhi trade karain ap ka riosk ap k reward say kam hona chaheay ta ky jab profit ho tu double ho aur jab loss ho tu uss ky adha ho asi chezain aik acha plan bana kar he ki sakti hai es lea pehly apna plan tayar karain phir uss par amal karain.

                            اب آن لائن

                            Working...
                            X