aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?
    dear maira aap sab say yeh aik knowledge wala question hay k for example ham markeet main greedy ho kr bhi kaam krtay hain to jub jub ham kisi achi confirmations say markeet main big lots say kaam krtay hain to aksar ziada tar hamari trades lose main he q jaty hain aisa q hay halanka hona to aisa chaye k haamri koi na koi trades to achay profit main close honi chaye jo haamray prevoius lose ko recover main change krday agar kisi k pass is baat ka solutions hay to kindly usay yahan pay share karay k aisa har baar q hota hay?
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

    Ji ap nay bohat hi important question kia hay. yeh bat am ho chuki hay k aksar traders ko Forex main honay wala loss big lot size ki hi wajah say hi hota jis ki maray khial main jo reason samnay aati hay woh yeh hay k aksar new traders ko Forex trading ka ziada experience nahi hota aor abhi un ki learning main bhi kuch kami hoti hay aor investment kay liay bhi un kay account main ziada amount nahi hoti yehni un kay pas trading account main bohat kam balance hota hay is liay jab woh ziada profit kay lalach main lot size ziada set kar datay hain to un ka account loss honay ki wajah say wabohat jald wash ho jata hay lot size dar asal trade kay volume ko kehtay hain jis main yoon hota hay k agar ham 1 lot set kartay hain to us main profit and loss hamain 1$ ki soorat main hota hay jab k trading kay doran market bohat tezi say move karti hay jis main agar hamaray account main balance ziada ho ga to hamara account loss ko kafi time tak bardashat kar sakay aor hamari trade continue rahay gi aor jab market oper ko move karay gi to ham profit hasil kar sakay gay aor loss bhi recover ho jay ga aor agar aisa howa k hamaray account main balance kam hay aor market nichay ki taraf move karti hay to hamara account ziada loss honay ki wajah say bohat jald wash ho jay ga aor hamari trade close ho jay gi jab k lot size small set karnay say hamain profit and loss chand points main ho ga aor kam balance kay bawjood hamara account loss honay ki soorat main loss ko kafi had tak bardashat karay ga aor wash nahi ho ga aor market ki movement kay change honay par profit hasil kar sakay gay kam lot size say profit bhi kam hota hay lakin profit honay kay chances bohat hi ziada hotay hain kam lot size main hamari trade close nahi ho gi aor continue rahay gi is liay behtar hay k ham lot size 0.01 tak rakhain is say ziada na rakhain ta k ham kamyab trading kartay howay profit earn kar sakan. Darj zail charts say lot size ko understand kia ja skta hay.
    Click image for larger version

Name:	Lot.jpg
Views:	2
Size:	210.8 کلوبائٹ
ID:	12322860Click image for larger version

Name:	different-lot-types-babypips.png
Views:	8
Size:	105.3 کلوبائٹ
ID:	12322861
    • #3 Collapse

      Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

      Gee haan hamesha trading mein loss humain bari hi lot sae hota hai aur aisa kyun hota hai kyun kay hum mein sae chand log hi aisay hoon gay jo investment per kaam kertay hoon gay hum mqein sae zyada ter log tou bonus per kaam kertay hain aur agar aap bonus per kaam kertay hain tou phir aap kay pas itna zayada bonus tou hota nahin hai aur aap bari lot laga detay hain aur jaisay hi aap bari lot ki trade lagatay hain tou aap ki teade loss mein chali jati hai kyun kay hum mein sae akser logoun kay analysis bhi bahut weak hotay hainaur jub trade loss mein jati hai tou tou jald hi aap ka account wash ho jata hai aur phir aap poora meheena bonus ka intezaar kertay hain iss lye aap ko chahyea kay aap log kabhi bhi bari lot sae trading na kerain hamesha choti trades kerain minimum lot size ko use ker kay thora profit ho ga lakin aap ko loss tou nahin ho ga
      • #4 Collapse

        Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

        Forex ki market ki movement me be kesi time teezi a sakti hay ye important news par depend karta hay agar traders ka big lot size key sath trade be open ho to esy trade me bahot hi zeyda loss ho sakta hay, big lot size laga kar ham trade ko mazeed risky bana lety hey hamari strategy ye honi chaye key jetna be ho saky ham risk ko minimize kar key hi trading karen aur es key ley hamy lot size me kami karni chaye ta key agar market me kesi reason ki waja se teezi ajaye to hamary trade me hamy zeyda loss na ho saky, lot size ko agar ham planing key sath es ko agar increase ya decrease kia karen gey to es ka result be acha mil sakta hay.
        • #5 Collapse

          Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

          bhai jan hmaisha he big lot ks ath loss hony ki sub se bari wjah koi khas tu nahi hoti hai bus yah hota hai k ap bari lot tab he lga dety hain jub apki trdaing main risk hota hai or ap khud loss hony k chaces bhi barha dety hain tu kbhi bhi bari lot ks ath trdaing na karen small lot ka yah faida hota hai k ap apni trdaing main small lot k sath loss ko bhi kam se kam face karty hain or apko tab he acha profit milta hai jub ap apni trdaing main achi trha se sub he toool ko achi trha se sue karty hain or apko tab he acha profot milta hai tu small lot ks ath apki trading main risk bhi kam hota hai jis se ap apni trdaing main kam se kam loss ko face kar skty hain or apko profit bhi tab he milta hai acha
          • #6 Collapse

            Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

            Assalamu Alaikum dear Forex members ji han bhai aapane bahut Jaiswal Kiya Hai Hamesha trading Mein Lo Samay Badi Dur Se Hota Hai Aur Aisa Kyon Hota Hai Kyunki Ham mein se Chand Log Yaha se Honge Jo investment per kam Karte Honge Ham message log to bonus per kam karte hain aur agar aap wants per kam Karte Hain To fir aapke pass Itna Jyada bonus to Hota nahin hai aur aap Badi loot Laga Dete Hain aur Jaise hi aap Badi loot ki train Lagate Hain To aapki trade laws Main Chali Jaati Hai Kyunki Ham mein se 100 Logon ke analysis bhi bahut bhi hote hain aur ham Jab train Ho Jaati Hai To Hamara account wash ho jata hai aur FIR aap pura Mahina bonus Ka Intezar karte hain isliye aapko chahie kya aap log kabhi bhi Badi loot se pehle na Karen Hamesha Chotu trade Karen minimum loot size ko use Karke thoda profit Hoga lekin aapka loss To Nahin Hoga aur aap account wash Se bach sakte hain
            • #7 Collapse

              Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

              Dear MT 4 terminal platform me lot size esa option hay key base par traders ko ye advantage hasil hota hay key wo risk volume ko lot size se increase ya decrease kar sakty hey, agar lot size high level par raka jaye to trade me risk volume bahot zeyda increase ho jata hay jes ka matlab ye hota hay key agar market ki movement me koch hi pips hamary trade key against move kary gi to hamy big loss ho sakta hay, trade jab be open kia jaye to lot size reasonable point par hi set karna chaye, trade me risk volume ko decrease karny ka yahi 1 tareeqa hay key lot size kam laga jaye.
              • #8 Collapse

                Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                Dear Forex trading mein sabse important money management hoti hai, Agar aapke pass capital kam hai aur lot size aapane Bada Laga Diya Misal ke Taur per aapke pass 1000 US dollar Hain aur aap 900 US dollar ki ki train Laga Dete Hain To ismein bahut chance hai ki aap last Mein jaenge Kyunki market move karegi to aapko apni trade hold karna bahut Mushkil ho jaega. Isase Hatkar agar aap ki lot size 200 US dollar Hogi to aap aap apni trade ko Kai Dinon tak ki hold kar sakte hain jisse market reverse a Jayegi aur aapka loss profit mein tabdeel ho jaega. Hamesha koshish karen ki small lot size use Karen yah aapki trading life ke liye Behtar hoga.
                • #9 Collapse

                  Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                  Dear ye to ap ko pata hai k ye market sirf aik hi taraf ni jati hai agar ap ais market mai koi trade lagaty hai aor ap ne lot bahot hi bari use ki hai to market jab thora bahot move karti hai to ap ko profit hona start ho jata hai magar market high aor low lagati jati hai jis ki waja se ap ki trade loss mai bhi aa jati hai aor ap ko aus par kafi zayda loss ho raha hota hai jo ap bardast ni karty hai aor apni trade loss mai close kar dety hai ya ap ka account chota hota hai aor ap ki trade khud hi close ho jati hai ais liay jo log bari trade lagaty hai wo ais market mai loss zayda hi karty hai agar ap ais market mai loss se bachna chaty hai to sab se zarori hai k lot kam use kary aor her trade k sath stop loss aor take profit lagye.
                  • #10 Collapse

                    Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                    Dear friend trading mein badi lot size ki vajah se loss hone ke chances Jyada is vajah se hote hain Kyunki jyadatar Logon ke pass Achcha backup balance maujud nahin Hota Jaise ke bahut Sare trader Joe ki apni investment 200 Dollar Se Lekar 1000 Tak karte hain aur Kab Hua lot size 1.0 ka use karte hain joki bahut jyada risky hota hai aur Jiski vajah se aapko profit bhi achcha hota hai lekin aap ki ek bhi galat trade aapke account ko wash kar deti hai isliye Itni equity wale account main lot size 0.01 Ka Hona sabse Behtar aur risk free trading Hai Ek Achcha trader kabhi bhi Badi lot size Nahin use Karega Kyunki Badi Lord Sai se aapke account it was hone ka Khatra Hota Hai isliye Bata training ke liye aapko kam lot size use karna chahie aur risk free trading Karenge tabhi aap Kamyab ho sakte hain Kyunki nuksan hone ki vajah se Agar aapko kam profit bhi Hasil Ho to vah behtar hai
                    • #11 Collapse

                      Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                      dear friend main aapki post Padhi aapane bahut hi acchi post Ki Hai jaise ki jyadatar log Hamesha lalach ki vajah se nuksan karte hain aur Badi lot size use karne ka maksad bhi Yahi Hota Hai Ki Har trader Chahta Hai Ki Jyada Se Jyada profit Hasil kar sake Kyunki Forex trading Aisa business hai jismein koi bhi Banda earning kar sakta hai aur yah is vajah se sabse famous Hai Kyunki ismein kam time Mein Bhi Jyada Nahin Kari Ja sakti hai aur ismein aap unlimited earning kar sakte hain is vajah se jyadatar log ismein badi badi lot size use karte hain Taki jaldi se jaldi acche se Accha profit Hasil kar sake lekin yah bahut galat hai Kyunki jaldbaji ka kaam Hamesha Shaitan ka hota hai isliye Soch Le aur Khud Ke account ko manage Karke apni equity ke hisab se trading Karen tabhi aap Kamyab ho sakte hain aur lifetime earning kar sakte
                      • #12 Collapse

                        Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                        dear pehli bat tu yeh hai k forex market main ap rules ko dekhain tu unn k lehaz say big lot lgana he nahi chaheay ager ap lgaty hain aur ap ko loss ho jata hai tu yeh app ki galti hai forex market ki nahi hai forex main ager ap money mangment say kam krty hain tu ap ko kabhi big loss nahi hota us ki waja yehi hai jab ap big lot ka sochty hain tu us time ap psychology problem main jaty hain aur lalch main ki gai trade hamesha loss he daiti hai aur ager ap choti volume say trade lgaty hainn tu ap ki trade hamesha profit main he rehti hai iss ki waja yehi hai big lot lgaty wakt darty hain aru confuse ho jaty hain jab k choti trade karty wakt ap fresh mind say bgair tention say trade karty hain iss lea ap ko ager forex main succcess haisl karni hai tu loww lot say kam karain phir he ap ko regular earning ho saky gee.
                        • #13 Collapse

                          Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                          New traders Jab trading menu hote hain to Bahut Si mistakes karte hain Jaisa Ke Jab new trailers Marg market Mein trading karne Lagte Hain To unko jaldi jaldi profit Banane Ke Chakkar Mein loss ho jata hai isliye unko samajhkar trading Karni chahie
                          • #14 Collapse

                            Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                            Forex trading business mai agar news or signalsko 100% such samajh lia jaey or un kay mutabiq trading ki jaey to phir uss kay liye aik he solution hai, Jab aisi kisi confirm news ya signal pay trade open ker lain to phir her soorat mai mt4 terminal pay apni trade ko uss waqt tak monitor kerna laazmi hai jab tak uss signal ya news kay mutabiq price pohanch nahi jaati takay usi waqt trade close ker sakain. Aksar aisa hota hai kay traders kisi achi or confirm news pay trade big lot size kay saath open ker laitay hain but jab closing ka time hota hai to apni trade ko stop kernay kay liye mojud he nahi hotay or reverse mai trade janey say big lot ki wajah say big loss uthatay hain.

                            Iss say ye nateeja nikalta hai kay big lot size kay saath big profit kay liye news ya signal ki madad say trade open kernay kay baad kisi soorat bhi market watch mat chorain
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: aksar ziada tar big lots say lose he q hota hay aisa q hay?

                              Ham Logon Ko kam lot size ke sath reading Karni chahie Agar ham log Big Lot size ke sath trading Karte Hain To Ham Logon Ko loss hota hai isliye Ham Sab Logon gossamer lot size ke sath trading Karni chahie

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X