Jaiza: Over Confidence

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #16 Collapse

    Re: Jaiza: Over Confidence

    Over confidence hona aik serious issue hai. Forex trading business mai traders jab news daikhnay kay baad baghair verify kiye uss pay trade open ker laitay hain tou ye over confident honay ki nishaani hoti hai. Trading market mai bohat si aisi cheezain hoti hain jinn ko samajhna aur verify zarur ker laina chaiye. Kiyu kay uss kay baghair trading mai loss kay chances bohat barh jatey hain. Traders ka confidence hona bohat acha hai kiyu kay confidence say trading mai decisions achay hotay hain. Laikin ye khayaal rakhna bohat zaruri hai kay over confidence aur confidence mai maamuli saa faraq hota hai. Iss liye traders ko bohat soch samajh kay trading mai kaam kerna chaiye. Iss tarah trading mai nuqsaan nahi hota.

    Forex mai hamesha trading kernay say pehlay home work ker laina chaiye takay trade open kernay kay baad pareshani nahi ho. Kiyu kay jab trade open ker li jaey tou uss kay baad koi option nahi hota hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #17 Collapse

      Re: Jaiza: Over Confidence

      Confidence bohat zroori hai trading k liye or agar ap me confidence nahi hai ya confidence ki kami hai to ap ki trading achi nahi ho gi lekin agar ap me confidence hai to ap ki trading b kafi had tak behtar ho gi lekin agar ap me agar confidence hai to is ka matlab ye nahi hai k ap ki har baat hi theek ho.
      Confident hona achi hai baat hai lekin over confidence ap ko hamesha loss hi deta hai is liye ap ko trading me loss sy bachna chahiye or us k liye ap ko mehnat karna ho gi or trading ki practice karni chahiye ta k ap ko pata chal jaye gy ap ny trading k doran apny ap ko kesy maintain rakhana hai or kesy trading karni hai.
      Forex trading me agar ap ny kaam karna hai to apko discpline hona chahiye agar ap kisi b cheez ko kam karo gy ya zeyada karo gy to ap ko us ka kafi nuqsaan uthana pary ga.

      اب آن لائن

      Working...
      X