Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye
    Traders ko chaye key esy causes ko define (wazahat) karen jes ki waja se wo trading me failure ho gaye hey, agar hamary main esy causes jes ki waja se ham trading business me fully failures ho chuky hey ye esi tarha pending me rahy aur ham es ko ignore kar dia karen gey to hamari learning aur knowledge ka silsila be stop ho sakta hay, esy mistakes ko define karen jo loss ki waja banty hey mistakes loss deny me aur trading me failure karny me traders key enemy ka kam karty hey es ka khatam hona bahot zarori hota hay.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

    G han trading me ham kesi waja se be fail ho sakty hey aur hamy nakami ka samna ho sakta hay aur bar bar hamary account wash be ho sakty hey es ko ignore karny ki koshish bilkul be nahi karni chaye agar trading me failure hony key reasons ko define karny ki koshish ki jaye to mistakes ko be asani se find key ja sakty hey aur sath me mistakes se learning karna be traders key ley bahot asaan ho sakta hay, traders agar trading me failure hony key reasons ko ignore karna start kar dety hey to mery khayal me 1 to un ko learning process complete nahi hoti aur 2nd esy traders apny mistakes se learning be nahi kar sakty.
    • #3 Collapse

      Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

      g han bhai jan ap ny bilkul sahi bat ki hai har trador ko khud ki trading ability k bary main knowledge hota hai jis se wo apni trading ko bahtr kar skta hai or jub wo fail hota hai tab bhi osko ilm hota hai k mujhy kis wjah se fail kiya giya hai tu osko chahye k jub osko apny main causes k bary main ilm ho gya hai tu un ko achi trha mange karen or osko sikhen aik kamyb trador apni trading main jub loss hota hai tu apni galti ko thek kary or dobra os galti se avoide karen insna apni trading khud karty karty kafi kuj ayse he sikh jta hai jub aik kam karny se los hota hai tu wo osy chor deta hai or jub osko aik kam karny se faida hota hai tu wo os kam ko sahi an kar osy ly kar chlta rhta hai yahi forex main trading se insan apny expiernce main izafa karta rahta hai or sikhta rhta hai
      • #4 Collapse

        Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

        Dear Members.
        Aslam o Alaikum..


        Apne Bohot hi acha Reason Pucha hey Forex trader ke "Fail" hone ka Aur waqai apki bat se mein agree karta hun, Aur yeh to Pura World Janta he keh Forex trading mein 95% log loss kar rahey hein Jabkeh 5% Log hi profit kartey hein aur Loss karne wale trader ki Loss karne ki Kiya wajuhaat hoti hein?
        Mein Koshish Kraunga keh aap Dosto Ko Asaan Alfaaz mein samjha Sakun..

        Kuch Points hein Loss karne ke Jo Mein apko Batata hun aur Umeed he keh aap Sab in points ko Avoid karke apni Trading Skills ko achi trha se Improve kar sakengey..

        1. "FEAR" Bohot sarey New & Old trader jab forex mein Trade kartey hein to woh bohot hi ziada "FEAR" Hotey hein keh hamen loss na ho jaye aur phir woh hota hey Loss ho bhi jata hey.. Kioun keh Unhen Confidence nahin hota hey aur woh "FEAR" hokar trading kartey hein jis se unhen loss hi hota hey.

        2. "GREED" Loss ki sab se bari wajha "GREED" hona hey aur bohot sarey traders jab naye naye is business mein atey hein to woh bohot hi ziada excited hotey hein aur woh chahtey hein keh hum raton raat ameer ho jayen is wajha se woh Greedy bankar loss kar bethte hein..

        3. "OverConfidence" Yeh bhi Greed ki aik kisam hey aur Bohot sarey traders OverConfidence trade kartey hein unhen koi pata nahin hota keh yeh trade hit bhi hogi ya nahin but trade par trade laga kar Loss kar dete hein..

        4. "Lack Of Knowledge" Bohot Sarey Traders baghair achi learning ke enter ho jatey hein aur apne seniors se koi mashwara nahin kartey aur Loss kartey hein.

        5. "Lack of Planning/Decipline" Koi Decipline koi planning Nahin hoti bas jab dil kiya trade laga di jab dil kiya nikaal di aur yeh loss ki sab se bari wajha hoti hey jab apke pas koi planning na ho aur aap trade par trade lagatey rahen to apko loss hi hota hey.

        6. "Without Money Management" Without Money Management ke bari bari trades laga dena aur phir kuch hi lamhon mn Market apke against aur Account wash..

        7. "Without Stop Loss" Sab se Bara Reason jo traders ko is waqt trading mein loss ki wajha ban raha hey woh hamara stop loss na lagana hey aur jiski wjha se account totally loss mein chala jata hey aur wash ho jata hey.

        8. "HOPE" Agar trade loss mein he to koi planning nahin koi stop loss nahin bas yeh Hope rakhna keh abhi profit mein ajayegi aur abhi ajayegi aur dekhte hi dekhtey apki sari HOPE khatam ho jati hey aur apka account wash ho jata hey

        9. "Emotions" Emotions ko control na karna aur Trade par Trade lagana bhi loss ki sab se bari wajha hey..

        10. "Without Demo Practice" Bohot sarey new traders isliye bhi loss kar rahey hein keh woh demo ko bilkul touch hi nahin kartey hein aur directly Real Market mein enter ho jatey hein jo keh Loss ki sab se bari wajha banta hey.

        Mene koshish ki hey keh aap dosto ko asan alfaaz mein samjha sakun..

        I HOPE keh apko mery post pasand i hogi..

        Shukriya..
        Duaon Mein yad Rakhiga
        https://t.me/pump_upp
        • #5 Collapse

          Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

          Ji ap nay bohat hi acha sawal kia hay. Dar asal Forex trading main aksar new traders hi ziada tar fail ho jatay hain aor un ko Forex trading main loss ho jata hay jis ki kai bari wajohat hain jo fail honay ka sabab banti hain kai log Forex ko bohat ziada easy samajh latay hain k yeh business bohat asan aor isi khush fehmi main woh Forex ka poori taran knowledge hasil nahi kartay aor na hi poori taran Forex ki learning kartay hain jis say un ki learning aor knowledge main kami rah jati hay aor woh trading thek taran nahi kar patay jis say un ko first trade main hi loss ho jata hay kai traders aisay bhi hain jin kay pass knowledge bhi hota hay aor unhoon nay learning bhi ki hoti hay lakin real account main trading karnay say pehlay demo pay practice nahi ki hoti jis say un kay pass Forex trading ka experience kam hota hay aor experience ki kami hi un kay Forex main fail honay ka sabab banta hay is kay ilawa lalch, dar, jald bazi and emotions yeh sab aik trader kay Forex main fail honay kay asbab main say hain
          • #6 Collapse

            Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

            Dear ais market mai ap ne dekha ho ga k bahot zayda traders hai jo ais market mai loss kar sakty hai ais market mai hum jab bhi loss karty hai to hum ais market mai sab se phly ye dekhy k ais market mai jo log loss kar rahy hai wo ais mai kon si aisi ghalti kar rahy hain jis ki waja se aun ko loss ho raha hai ais market mai hum ko agar loss se bachna hai to hum ko ais mai ye dekhna hai k hum ais market mai aisi ghalti agar phir kary gay to ais mai hum bhi loss kary gay ais market mai her koi learning k baghair kaam start kar deta hai aor ais market mai loss karta hai ais liay hum ko chaye k hum bhi ais market mai kaam sekhy aor aus k baad hum ais market mai discipline k sath kaam kary to kamyab ho sakty hai.
            • #7 Collapse

              Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

              dear yeh aik hakeekat hay k hamko forex main earning tab he possible hay jub ham is main say mistakes ko khatam krnay main kamyab hotay hain to laikin asal aur main wajha yeh hay k hamko pata bhi hota hay k ham nay kon c mitakes ki hain aur hamko unhain next nai krna chaye laikin jub hamaray andar ka lalach haamray samnay ata hay to hamko aisi mistakes asal main nazar nai aty hain jinki wajha say ham baar baar lose krtay jatay hain agar ham apnay aap pay in mistakes ko control krnay main kamyaab ho jatay hain to forex jaisa koi bhi asaan business nai hay is main agar hamko kamyaab hona hay to hamko sirf aur sirf har aik mistakes ko notebook pay note krna hoga aur jub kabhi aisi dubara situations aye to ham usi note ki hue mistakes ko repeat honay say bach jayengay ham ko isay apnay aap pay kabhi koi bojh nai samjhna chaye q k ham ko is baat ka bhi knowledge hona chaye k ham aik bahut big markeet main kaam krtay hain jis main choty say choty mistakes ki bhi koi gunjaish nai hoty hay to phir repeated mistakes say to hamko lose k ilawa kuch bhi nai bachnay wala hay.
              • #8 Collapse

                Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

                Forex trading mai traders kay failure kay bohat say causes hotay hain jinhain define kerna bohat zaruri hota hai kiyu kay failure cases ko define liye baghair unhain khatam kerna mumkin nahi ho sakta hai. Forex mai traders Agar knowledge aur demo practice ko acha rakhain tou woh bohat kaamyab reh saktay hain. Aisay traders ki kami nahi hai jo bohat kaamyab hain aur unlimited earnings haasil ker rahey hain. Forex trading business mai main causes makhsus hain jinn ki wajah say traders fail hotay hain jinn mai greed, jald baazi, without complete knowledge real trading start kerna, over trading, over confidence waghaira shamil hain. Traders ko apni her trade kay Loss mai janay kay baad yeh zarur sochna chaiye kay inn mai say kiss reason ki wajah say unhain loss Hua hai aur phir uss pay control kernay ki koshish kerni chaiye.
                • #9 Collapse

                  Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

                  G bilkul sahi kaha trading me failures k bohat se causes hote hy.kbhi esk cause yeh bhi hota hy k hum trade krte market ka analysis nhe krte hy jis hame loss hojata hy.forex trading me hume unlimited bonus milta hy aur Forex par failure k causes bhi kuch Ziada nhe hy Forex me failure ka phle cause greed trading krte wqt jald bazi krnaa pore knowledge aur stargedy k baghair k trade krna aur over confidence se kam krna esi tarah agr kbhi profit hojae tu Kuch Traders apna baqi bonus bhi zaya kardete hy esle sab traders ko chahe ki en sab causes ko avoid kare aur Forex trading par pore hardwork se kam kare aur axha bonus hasil kare
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Trading me failure hony key main causes ko define karny ki koshish karni chaye

                    Assalamu Alaikum dear friend is market Mein aapane Dekha Hoga Ki bahut jyada Mein Ham Jab Bhi loss Karte Hain To Ham is market Mein sabse pahle yah dekh ki ki is market mein jo log loss kar rahe hain ko ismein kaun si Aisi galti kar rahe hain Jiski vajah se unko loss ho raha hai is market mein humko Gahlot Se Bachana Hai To Humko ismein yah dekhna hai ki Ham MIS market mein Aisi Galti Agar FIR Karenge To ismein Ham bhi loss Karenge is market Mein Har Koi learning ke bagair kam start kar deta hai vah is market Mein loss karta hai isliye Humko chahie ki Ham bhi is market Mein kam sikhen aur uske bad Ham is market Mein discipline ke sath kam karen to Kamyab ho sakte hain aur acche Businessman Ban sakte hain

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X