Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai?
    Dear members dollar rate interbank aor open market ma different keun hota hai?
    Acha kaam achy daam
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai

    Dear open market me dollar ya kesi be currency ki price ka rate fix nahi reh sakta hay aur ye price market ki badalti condition key mutabeq change hoti rehti hay, es rate me kami be a sakti hay aur currencies prices key rates increase be ho sakty hey, jab key inter bank system me agar market close ho to currencies price key rates change nahi ho sakty hey, currencies key bary me information hasil karna ye basic knowledge me ata hay har trader ko sab se pehly Forex market ka basic knowledge hasil karna chaye es traders ko market prices samjny me bahot asani ho gi.
    • #3 Collapse

      Re: Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai

      Asalam.o.alikum forex forum fellows Pakistan forex forum ma khush am deed interbank ma dollar ki price bank ma give ky rate ky mutabiq hoti hai yehni jo economic situation hoti hai monitoring policy supply and demand ky hisab sy hoti hai jub ky open market ma rate forex dealers ka hota hai aor yahan py currency exchange ka asar pr raha hota hai jesa ky apko maloom ho skta hai ky jub dollar kisi jaga kam ho jain aor unki demand increase ho jay to iska rate bhi brh jata hai to supply and demand ka asal asar open market ma prta hai is ma conditions ky hisab sy rate hota hai
      Jub ky interbank ma financial effects aor aspects bajot zeyada hoty hain technical aspects bhi currency exchange rate py asar andaz hoty hain
      • #4 Collapse

        Re: Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai

        Dear es bary me mujy zeyda information to nahi hay magar me samjta jon key es bary me hamy information kesi senior traders se hi mil sakti hay, dollar rate kabi be inter bank me ya open market me same price ka nahi rehta, US dollar par bahot si news aur Govt bank ki policies effect kar sakti hay es news key effect karny ki waja se dollar ka rate kesi 1 price par stop nahi ho sakta hay aur dollar me daily koch na koch changing zaror ati hey, US dollar index ki agar bat ki jaye aur economic calendar ka jaiza leya jaye to daily esi news hamari nazar me a sakti hay jo key US dollar par bahot zeyda impact karti hey esi news ko hi find karny me traders ki kamyabi ho sakti hay.
        • #5 Collapse

          Re: Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai

          Dear jaisy ap ne market mai aor inter bank mai dollor ki price mai change ki baat ki hai to ais mai jab ap kisi dealer k pass jaty hai aor waha se dollor lety hai to aus time aun ki apni thori si fee hoti hai jis ki waja se wo ap ko dollor thora mehga dety hai magar jab se khareedna ho to thora sasta khareed lety hai ais mai ye hai k jab hum kisi bank mai rate dekhty hai to aus mai ye extra fee ni hoti jis ki waja se hum ko price mai change nazar aa raha hota hai hum agar direct kisi bank se dollors ko buy kary ya waha par sell kary gay to waha par hum ko thora sa zayda faida ho jaye ga magar aus taraf bahot kam log jaty hai her koi dealer k pass jata hai kun k waha par kaam bahot jaldi ho jata hai aor aus mai ap ko wait ni karna parta.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: Jaiza: open market aor interbank dollar ya currency rate different keun hota hai

            Currency exchange business mai 2 kisam kay exchange rates chall rahey hotay hain. Interbank aur open market rates alag alag hotay hain. Yeh dono exchange rates differ honay ki aik technical wajah hoti hai. Open market mai exchange rate ziada hota hai kiyu kay woh individuals say buy ki jaa rahi hoti hain jiss ki wajah say uss mai profits bhi add ho rahey hotay hain aur interbank mai Kamm iss liye hota hai kay woh exchange rates bank taxes exclude ker kay hotay hain.

            Ab Agar money exchangers ki baat ki jaey tou woh bhi small exchangers say buy ker rahey hotay hain jiss ki wajah say unhain step by step profit ya extra payments he kerni parti hai jo open market mai exchange rates ko ziada ker daiti hain. US dollar ki open market price ka faida currency dealers ko uss waqt hota hai jabb government ko international payments kay liye us dollars ki zarurat parti hai aur woh open market mai big dealers say us dollar buy kerti hai

            اب آن لائن

            Working...
            X