Dear traders ziada ter traders forex mein candlestick patterns pe hoti ha chart per 2 qisam k patterns banty haen aik wo jo week pattern kehlaty haen jo ziada ter direction ko follow ni krty aur kbhi kbhi kr bhi jaty haen akser traders en patterns se dhokha kha jaty haen wo jb dakhty haen k aik week pattern Bana ha but market ne usy bht ziada follow Kiya ha tu wo apny zehn mein ye bt fix kr laity haen k es trha k patterns achy hoty haen aur jb agli dafa aisa koi pattern bnta ha tu wo trade laga daity haen jo follow ni krta aur Un ko loss ho jata ha aisy patterns traders ko bht confuse krty haen traders ko chaye k wo Apna rule banaen k unhn ne aisy patterns pe dehan ni daina. Ab dosri qisam k patterns jo bht perfect hoty haen q k forex market 100% ni ha akser aisa hota ha k perfect patterns bhi follow ni hoty but ziada ter follow ho jaty ha ab jb trader perfect patterns pe trade lagatar ha tu kbhi aisa hota k us ko loss ho jata ha wo dar jata ha aur next kbhi aisa pattern bnta ha tu us dar ki Waja se wo trade ni lait aur wo pattern bht acha follow kr jata ha aur trader afsos krta reh jata ha es lye traders ko chaye week trades pe kbhi trade na krean aur perfect patterns ko met choraen q k agr wo aik mein loss krta ha tu baqi Kai trades plus mein jati haen jis se loss recover ho jata ha.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим