Keytrader Trading Journal

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Keytrader Trading Journal
    pakistan forex forum ke bohat sare section hai jin per hum post kar sakte hai apne trading ke experience ya knowledge ko hum yaha per kisi bhe section me share kar sakte hai zaida ter log yaha per learning ke liye kam karte hai or
    aam forex ki ghuftagu wale section me kam karte hai or journal batein karte hai kisi bhe topic per bat ki jaa sakti hai jaisa ke forex trading kaise ki jaa sakti hai, kya is business me paise invest karne chahiye ya nahi or bhe is tera ki
    bohat sari information hume is section se mil sakti hai jis ka naam aam forex ki guftagu hai is me zaida ter new members bhe hai jo yaha per knowledge hasil karne ate hai apne se seniors traders se.
    Trading Journal section
    Ya section bhe aik acha section hai is me hume trading ka experience share kar sakte hai jisi bhe pair ka ya jis ka apne pass knowledge ho ya koi apke pass ko acha signal hai tu ap yaha per apne journal me aa kar usko update kar sakte hai
    GBPUSD
    GBPUSD pair aik strong down trend me move kar raha hai long time frame me ya down trend me hai short time me ya kabi up move karta hai or kabi down lakin long term me ya down trend me hi move kar raha hai hume is me agr koi buy
    ki trade milti hai tu hume bohat hi zaida ahtiyat se lagai ho gi market kisi bhe waqat nichay jaa sakti hai
    Day1 chart
    Click image for larger version

Name:	gpbusd.png
Views:	1
Size:	47.2 کلوبائٹ
ID:	12553741
    Morning me aj ki date me GBPUSD pair down side hi move kar raha hai is se signal ya milta hai ke market again down side jaa sakti hai RSI indicator abi koi signal nahi de raha or market me 15M chart me bhe aik hammer bana tha jis
    se market me thora sa revers daikha jaa sakta hai lakin hammer ke bad market ne up side per jaa kar aik shooting star candle bana di hai 1.1824 shooting star candle price hai or waha se market down side aa rahi hai 1.1800 per aik support
    level hai jo ke market ko jump kara sakta hai ab over all aik jaiza qaim ho gaya hai GBPUSD ka trading hume apne hisab se karni hai.
    Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12553742
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Keytrader Trading Journal

    GBPUSD ki market still dow side hi move kar rahi hai jaisa ke sub ko pata hai ke ya aik strong trend me hai or is ki move bhee bohat zaida strong sell me daikhi jaa sakti hai last week friday
    ko bee humne market me yahi analysis kiya tha ke market ka up side per jane ka koi mode nazar nahi aa raha or market sell hi move kare gi or hume trade bee sell ki hi leni hai or aisa hi daikhne
    ko mila market me sara din move down side hi ki or day one ki candle ne closing be full body ke sath down side per hi di is se lag raha hai ke market me seller abi bee hai jo ke market ko
    doen lay kar jaa sakte hai buyers market me abi kahi bee nazar nahi aa rahe is liye hume bee market ke sath hi chalna chahiye or sell ki hi trade karni chahiye.
    Aaj ka Jiaza
    Jiasa ke sub ko pata hai ke GBPUSD ki market last week bee sell hoti rahi hai or sell me hi close hoi hai ab market me selling hai or seller market ko nichay lay kar jaa rahe hai market me
    koi bhe buy ka signal nazar nahi aa raha hai 1.1860market ka support level tha jo ke market ne break kar diya hai ab market apne next level tak move kare gee next support level 1.1456
    hai market ko ab apne is level tak jana chahiye technical analysis ki base per market ka aik jaiza hai ya.
    Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	51.5 کلوبائٹ
ID:	12417319
       
    • #3 Collapse

      Re: Keytrader Trading Journal

      GBPUSD ki market still down trend me hai or humne jo target diya tha weekly time frame me us target ki taraf market jaa rahi hai humne support level tak kaha tha ke market move kare gi or support level 1.1456 hai or is waqat market 1.1713
      per move kar rahi hai or kal market down side move karne ke bad up side chali gai hai aisa market karti hai apni correction larne ke liye market uper neechay hoti hai is se koi faraq nahi parta hai hume major trend ke sath rahna chahiye.
      Aaj ka Jiaza
      GBPUSD ki price abi 1.1713 per move kar rahi hai aaj hum H4 time frame per market ki analysis kare gay hume market me RSI indicator over sold level daikha raha hai ke market yaha per over sold ho rahi hai yani RSI kahna ya chaa rahahai ke ab yaha se seller nikal rahe hai or buyers in ho rahe hai seller exit kar rahe hai Bollinger band bhe hume buy ka signal dee raha hai Bollinger band ki nichay wali line jis ko hum lower band bolte hai market ne us line se support lee hai or RSI bee bata raha ha ke market over sold hai or last per hum daikhay gay ke RSI divergence bee show kar raha hai GBPUSD price chart me kuch or movement show kar raha hai or RSI me divergence show kar raha hai is ka matlub hai ke market me reversal ban gaya hai.
      Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	2
Size:	47.8 کلوبائٹ
ID:	12419429

      picture me hum daikh sakte hai ke H4 time frame me hume market me bullish ke signal mil rahe hai lakin hume trade money management ke sath stop loss ke sath karni hai kyu ke major trend sell ka hai or sell kisi bhe time price ko
      down side lay kar jaa sakte hai isi liye stop loss zaror use kare.
         
      • #4 Collapse

        Re: Keytrader Trading Journal

        GBPUSD per kal ka humara analysis kuch khas nahi raha prices buy tu gai thi lakin koi itani zaida high nahi gai yani humare target tak nahi move kiya market ne or market down side move kar gai or 2 sell ki full body candles bana di jis se
        buyers ko market me acha khasa nuqsan daikhne ko mila ho ga forex market aisi hi hai ya risky hai is me hume kabi bhe kuch bee market daikha sakti hai isi liye kahte hai ke is me zaida over smart banany ki zarort nahi hoti hai balke is me
        money management hi hume profit me lay kar jati hai hume market me risk ko kam se kam rakhnay ki zaror hoti hai or take profit hume stop loss se zaida hi rakhna hota hai yani aisi trades karni chahiye jis me loss ka khatra kam ho or profit
        zaida hone ke chance hon.
        Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	2
Size:	47.8 کلوبائٹ
ID:	12419588

        Aaj ka Jaiza.
        GBPUSD aaj hume kya surprise dena wala hai daikhtay hai. GBPUSD ki prices over all daikhay tu aik strong down trend me hi move kar rahi hai market thori dair ke liye buy hoti hai lakin phr se is ka trend down side ko hi ho jata hai kal ki
        movement se bhee hum market ka idea lay sakte hai ke market buy ho rahi thi or buyers ne market ko hold karna start kiya tha or prices up move karne lag gai thi lakin aik dam se hi market me seller ate hai or market ko down side lay
        jate hai or buyers aik dafa phr defeat ho jate hai. lakin abi bhe daikhay tu indiactor hume buy ka hi signal day raha hai RSI hume abi be divergence show kar raha hai yani RSI indiocator ke mutabiq seller ne abi tak market ko mukamal tor
        per control nahi kiya hai or buyers abi be kahi chup kar baitha hai jo market ko p side lay kar jane ke liye tayar hai.
        Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	47.9 کلوبائٹ
ID:	12419589
           
        • #5 Collapse

          Re: Keytrader Trading Journal

          GBPUSD ki price still down side hi move kar rahi hai kal hume ne jaiza liya tha ke market ko up side jana chahiye RSI indicator hume buy ka signal de raha hai or divergence be bani hai RSI me lakin uske bawjood market down side hi move
          kar rahi hai market ki position abi tak clear nahi hai or buyers market me ane ki koshish tu kar rahe hai lakin abi tak market me aye nahi hai or seller hi market ko control kar rahe hai GBPUSD pair kafi arsa se down trend me move kar raha
          hai is ko ab apni correction bhe karni hai kub ya up side ki move pakar lay is ka bhe koi pata nahi hai is liye hume apne analysis market me karte rahna chahiye or jaha hume acha moq mile hume trade karni chahiye trade karne se hi hume
          kuch na kuch mile ga.
          GBPUSD Jaiza.
          1.1590 abi ki current price ki movement hai weekly time frame me market ki position strong sell hai isliye hum market me risky trade nahi kar sakte hai yani buy ki trade nahi lay sakte jub tak hume koi reversal nahi mil jata chahiye short
          time frame hi kyu na mile lakin hume kisi reversal pattern ki zarort hai market ko buy karne ke liye is liye abi market me seller hai tu hum be market me sell ki trade hi kare gay GBPUSD ka next target1.1456 ho sakta hai jo ke aik support
          area hai market is area se jump kar sakti hai hume wait karna hai is level ka.
          Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	75.1 کلوبائٹ
ID:	12419660
          Short time
          Short time me hume GBPUSD me koi sell ki entry daikhi chahiye koi be shooting star mile ya koi be signal mile sell ka tu trade kar sakte hai
             
          • #6 Collapse

            Re: Keytrader Trading Journal

            Kiase hai all members or kaisi jaa rahi hai working umeed hai ke trading bhe achi chal rahi ho gi jaisa ke aaj kal market down trend me hai trending market me profit book karna zara easy hota
            hai hume trend wali side hi apni trades open karna hoti hai last week bhee humne market ke bare me jaiza liya tha ke GBPUSD ki price down side hi rahi gai tu aisa hi howa pora week market
            sell me hi rahi or buying hoi hi nahi D1 ho ya Weekly chart market ne bearish hi move kiya hai aj week ka pahla din hai monday hai aj market ki move zara slow ho sati hai lakin hume sara week
            profit me rahna hai tu hume aaj hi koi acha sa analysis karna hoga jaisa ke last week kiya tha.

            overview

            GBPUSD
            GBPUSD ki price abi apne support area me hai ya bohat porani support hai ya march 2020 ki support hai market is support ko respect zaror kare gi umeed hai ke price yaha se upside aye gi
            thori dair ke liye e sahi lakin GBPUSD ki price nichay se ab up side jaye gi hum is support ko zaror use karna chahiye or achi trades karni chahiye yad rahe ke trade karte howe money management
            zaror kare warna apka account risk me chala jata hai.
            D1 time frame me bhe hume buyers daikhne ko mil rahe hai market open hote sath down jaa rahi thi lakin jaise hi Euro ka session open howa hai market up side ana start kar diya hai lagta
            hai ke price support lay rahi hai
               
            • #7 Collapse

              Re: Keytrader Trading Journal

              Sub members ka kya hal hai or jaisi jaa rahi hai trading umeed hai ke sub ki trading achi jaa rahi ho gi

              GBPUSD

              GBPUSD ki price apne support area se support lay rahi hai ya support bohat pahle ki hai market me ya support level March 2020 me banai thi us waqat COVID-19 ki waja se har taraf mushkil halat chal rahi thay market ne bhe un dino me
              hi ya support level 1.1450 banaya tha jo ke ab market usi level per ai hai or ab yaha se support lay kar up side jaa rahi hai Pound waise bhe strong hota howa nazar aa raha hai H4 time frame me market ne bullish signal diya hai support
              level per Hammer candle banaye ke bad market down side nahi ai or market up side hi move kar rahi hai hum chart me daikh sakte hai.

              Support and resistance levels

              GBPUSD ka resistance level 1.1651 hai market is level se thora bohat resist kar sakti hai lakin ho sakta hai ke market is level ko asani se break kar day next resistance level 1.1760 per hai ya strong resistance level hai is level ko break
              karna market ke liya asan nahi hoga or market is level se zaida resist kar sakti hai agr hum abi bullish trade me hai tu hume in levels se apna profit book kar ke market se nikal jana chahiye.
              Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	43.2 کلوبائٹ
ID:	12420099
              RSI Indicator
              RSI indicator bhe apne 30 ke level se uper ki taraf aa raha hai price action ke hisab se ab market ko bullish hi move karna chahiye.
                 
              • #8 Collapse

                Re: Keytrader Trading Journal

                sub member ka kya hal hai or kaisi jaa rahi hai trading umeed hai ke achi profit ho rahi ho gi
                GBPUSD
                GBPUSD ki price again down side move kar gai humne market me bullish trend ka analysis kiya tha or market me reversal bhe mila tha lakin market nay up side move nahi kiya balke market again down side move kar gai price apne resistance
                level se resist kar ke down side aa gai hum kal ke chart me daikh sakte hai ke kaise market ne humara analysis fail kiya hai H4 chart me market ka trend bearish hai. GBPUSD ki price agr is se zaida nichay jati hai tu ya pound ke liya bilkul be acha nahi hai
                Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12420173
                Aaj ka hum market me jaiza lay tu price aapni major support ke pass dobara aa gai hai jo ke bohat strong support level hai march 2020 ka is level ko break karne ke liye market ko aik bohat bari candle bearish ki banana ho gi phr hi ya support
                line break ho gi agr market support level break kar jati hai tu GBPUSD ki price bearish trend me dobara chali jaye gi.
                hum weekly chart me daikh sakte hai ke GBPUSD apni support area me move kar raha hai GBPUSD ki price bohat zaida down aa gai hai mere andaza ke mutabiq market ko is se zaida nichay nahi jana chahiye market pahle hi bohat zaida down aa
                gai hai ab is se zaida down jane se currency per bohat bura asar hota hai is liye pound ab is se zaida mazeed nichay nahi jaye ga.
                Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	58.8 کلوبائٹ
ID:	12420174
                   
                • #9 Collapse

                  Re: Keytrader Trading Journal

                  GBPUSD

                  GBPUSD ki market swing trading ki tarh move kar rahi hai H1 time frame me hum daikh sakte hai ke kaise market kabi down ati hai or aik naya low banati hai or phr up side move kar jati hai or phr down move karti hai or naya low banati hai
                  agr tu koi price action ko samjta hai tu us ke liye GBPUSD ki market acha moqa de rahi hai profit earn karne ka lakin yad rahe ke market me kabi bee stop loss ke bina trade nahi karni hai trade se pahle apna plan bana lo entry kaha se leni
                  hai or market se exit kaha se karna hai ya sub clear hona chahiye tu hi market se profit liya jaa sakta hai.

                  GBPUSD

                  Aaj ke din pond ki koi khaas news be nahi hai lakin hume technical analysis ki base per market ki movement ko read karna hai technically hum agr market ko daikhay tu trend tu market ka sell me hai market thora bohat jo up side move kiya
                  hai ya market apni correction ke liye jati hai correction karne ke bad market wapis apne trend ko hi follow karti hai H4 time frame me aik trend line draw ki hai jis ko market touch karti hai or wapis aa jati hai down side abi bhe pound ki
                  price trend line ko touch kar rahi hai or yaha se market ke bohat zaida chance hai ke market aik dafa phr se down move kar jaye. hume agr trade karni hai tu hume sell ki trade karni chahiye market apni trend line se resist kar rahi hai.

                  Click image for larger version

Name:	GBPUSD.png
Views:	1
Size:	50.3 کلوبائٹ
ID:	12420274
                     
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Keytrader Trading Journal

                    GBPUSD
                    Kal humne market me aik trend line draw ki thi H4 chart me GBPUSD ki price ko technically tu is line se resist karna chahiye tha jo ke market ne nahi kiya or market is resistance level ko break kar gai hai ab market ki direction change ho gai hai
                    ab hum wait karna chahiye ke market hume koi acha sa signal de tu hi hume market me entry leni hai.
                    Agr koi scalping trading karta hai tu us ke liye market me bohat sari entries banti hai jo ke short time ke liye hoti hai in me jaldi se apna target hit kar ke market se exit karna hota hai.
                    1.1604 market ka resistance level hai agr koi short term ke liye market me trade karna chahta hai tu is level se sell ki trade kar sakte hai or agr market break kar jaye tu buy ki trade kar sakte hai.

                    EURUSD

                    EURUSD ki price abi is time apne resistance level per aa Jo ke H1 time frame ke chart me hai market ka resistance level 1.0079 ha market yaha se resist kar sakti hai hum is level ko zaror use karna chahiye money management kare ke
                    trade kare yaha per risk bohat kam hai or reward acha khasa ban raha hai ya aik acha moqa hai market me entry lene ka iase levels per trade karni chahiye kyu ke in levels per loss ho bhe jaye tu bohat kam loss hota hai jo ke asani se
                    recover ho jata hai.
                    Picture attach nahi ho rahi shaid koi system me masla aa raha hai is liye aise hi post share kar raha hon
                     

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X