Assalamu alaikum doston, new members aur Pak forum k officials! Me umeed karti hon k ap sab log khero afeyat se hongay.
Pak forum me trading journal shoro karna mera bohut waqat se plan tha, lekin kuch masrofeyat ki waja ze me aisa karne me nakam rahi thi. Trading Journal k zarye se me koshash karongi, k apne forum k membaran ko ziada se ziada information de sakon.
Me ne pechlay hafte ko EUR/USD currency jora pa sell ki trade open ki thi, lekin American dollar ki musalsal kamzori ki waja se mera ye trade musalsal loss me ja raha hai. Me umeed kar rahi thi k chonkeh Euro American dollar k muqabele mein bohut zyada up ja chuka hai is k bad ab ye nechay ki janeb movement karega. Lekin juma k din American k Nonfarm Payroll Reports se dollar mazeed kamzor hua aur mara trade mazeed loss me chala gaya.
![Click image for larger version
Name: Screenshot_20210510_155449.jpg
Views: 1
Size: 70.8 کلوبائٹ
ID: 12471240](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12471240&d=1620644298)
Forex trading market financial news ki waja se bohut ziada mutasir hoti hai, is waja se humen kabhi bhi financial news ko nazar andaz nahi karna chaheye. Financial market me aaj hafte ka pehla din hai aur wese bhi monday ko bohut kam hi financial news hoti hai is waja se market par ziada tar asar mangal aur us k baad wale deno ka hota hai. Tuesday ko financial market me jari hone wali aham news darjazel hen.
![Click image for larger version
Name: Screenshot_20210510_153722.jpg
Views: 1
Size: 219.5 کلوبائٹ
ID: 12471241](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12471241&d=1620644341)
Pechlay hafte American dollar ki kamzori aur khas kar Juma k din Nonfarm Payroll (April) data ki kharab karkardagi ki waja se Gold ko bohut mazbot sahara mela. Gold ki maojoda position 10 February k bad se sab se highest position hai. Aaj gold ne din ka ibtedaye session (Asian session) me $1830 ki position ko thorne ki koshash ki, lekin American dollar ki kamzori ki waja se aisa hone me nakami ka samna karna para.
![Click image for larger version
Name: Screenshot_20210510_155702.jpg
Views: 1
Size: 162.9 کلوبائٹ
ID: 12471242](https://investsocial.com/ur/filedata/fetch?id=12471242&d=1620644400)
Gold ki agli harkat bhi oper ki janeb ziada mazboot hai aur aaj koi Americi financial data na hone ki waja se gold ki qeematon me mazeed izafa mutawaqa hen. American Nonfarm Payroll ka data American maeeshat k leye bohut ziada aham hota hai aur is ka baraherast asar American dollar ki kamzori ya mazboti hota hai. Lekin is dafa American Nonfarm Payroll ka data pechli data aur tawaqa ki gaye data se bohut zyada kharab soretehal ka raha. Jis se gold ki qeematen yakdam uper chali gaye.
American dollar ko ab bhi dosre fundamental masayel jese Corona waba, America-China trade war aur Afghanistan se sepahiyon ki wapasi k challenges ka samna hai, is waja se American dollar kafi arse se dabao ka shikar hai. Mojoda soratehal me gold ki qeematen mazeed uper ki janeb harkat karegi aur $1850 ki position is ka agla hadaf ho sakta hai.
Pak forum me trading journal shoro karna mera bohut waqat se plan tha, lekin kuch masrofeyat ki waja ze me aisa karne me nakam rahi thi. Trading Journal k zarye se me koshash karongi, k apne forum k membaran ko ziada se ziada information de sakon.
Jari trades ka ahwal
Me ne pechlay hafte ko EUR/USD currency jora pa sell ki trade open ki thi, lekin American dollar ki musalsal kamzori ki waja se mera ye trade musalsal loss me ja raha hai. Me umeed kar rahi thi k chonkeh Euro American dollar k muqabele mein bohut zyada up ja chuka hai is k bad ab ye nechay ki janeb movement karega. Lekin juma k din American k Nonfarm Payroll Reports se dollar mazeed kamzor hua aur mara trade mazeed loss me chala gaya.
Ani wali financial news jo market ko mutasir karegi
Forex trading market financial news ki waja se bohut ziada mutasir hoti hai, is waja se humen kabhi bhi financial news ko nazar andaz nahi karna chaheye. Financial market me aaj hafte ka pehla din hai aur wese bhi monday ko bohut kam hi financial news hoti hai is waja se market par ziada tar asar mangal aur us k baad wale deno ka hota hai. Tuesday ko financial market me jari hone wali aham news darjazel hen.
Gold ki $1830 ki support level ko thorne ki nakam koshash
Pechlay hafte American dollar ki kamzori aur khas kar Juma k din Nonfarm Payroll (April) data ki kharab karkardagi ki waja se Gold ko bohut mazbot sahara mela. Gold ki maojoda position 10 February k bad se sab se highest position hai. Aaj gold ne din ka ibtedaye session (Asian session) me $1830 ki position ko thorne ki koshash ki, lekin American dollar ki kamzori ki waja se aisa hone me nakami ka samna karna para.
Gold ki agli harkat bhi oper ki janeb ziada mazboot hai aur aaj koi Americi financial data na hone ki waja se gold ki qeematon me mazeed izafa mutawaqa hen. American Nonfarm Payroll ka data American maeeshat k leye bohut ziada aham hota hai aur is ka baraherast asar American dollar ki kamzori ya mazboti hota hai. Lekin is dafa American Nonfarm Payroll ka data pechli data aur tawaqa ki gaye data se bohut zyada kharab soretehal ka raha. Jis se gold ki qeematen yakdam uper chali gaye.
American dollar ko ab bhi dosre fundamental masayel jese Corona waba, America-China trade war aur Afghanistan se sepahiyon ki wapasi k challenges ka samna hai, is waja se American dollar kafi arse se dabao ka shikar hai. Mojoda soratehal me gold ki qeematen mazeed uper ki janeb harkat karegi aur $1850 ki position is ka agla hadaf ho sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим