Zuhaib9988 Trading Journal
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Zuhaib9988 Trading Journal
    Dear traders maire taraf say subko asslam u alaikum ajj mai apne taraf say ye trading journal start kar rahan hun jinka maqsad yahe hoga k apke sath mukhtalif qisam k trading ideas aor experiences ko share karo mai es trading journal mai apke sath market ki mojoda soratihal k bare mai updates daita rahunga aor esky sath sath apke liye different trading strategies k baray mai be apko agaah karta rahunga so mai aap subko yahan par aane ki dawat daita hun aor aap sub say appeal karta hun ke mujay es kaam mai support kary taaky mai mazeed acha kaam kar sako

    TAJZIA GBP/USD K BARE MAI

    Aaj mai apna tajia Gbp/usd k bary mai donga apko patha hoga k forex market mai ye pair buhot ziyada ahmeyat rakta hai aor kafi ziyada log esmai trading kartay rehtay hai so chale daikte hai k es jodi ki kiya position hai, agar hum pechaly chand hafto ko daike tu ye pair musalsal oper ki taraf ja rahe hai yani GBP stong hp rahi hai aor eskay badlay mai US dollar kamzoor ho raha hai, aor ye silsala har gainte mai jari hai last night ko es pair nay 1.4100 level ko be cross kiya aor oskay baad 1.4200 ko be cross kiya jiska matlab yahe hai k ziyada taar investors GBP ko purchase kar rahay hai jeski waja say ye pair bullish trend k sath oper ki taraf ja raha hai, esky ilawa agar hum financial news aor data ko daike tu US economy musalsal weak hoti ja rahe hai aor US officials ki taraf say continue aisay comments deye ja rahay hai jeski waja say loog yani investors USD ko sell kar rahay hai so maira subko yahe suggestion hoga k pilhal es pair mai sell trades maat lagaye warna aap kafi nuqsaan otta sakte hai maire subko yahe mashwara hoga k sirf aor sirf buy trades par he focus de aor jab be ye pair neche aye aap esko buy karte jaye lekan yaad rahe stop loss ka lagana lazim hai

    TECHNICAL TAJZIA

    Forum k dosto jaisa k apko maloom hoga k pechaly kaye dino say Gbp/usd bullish trend mai hai aor agar hum pechlay chand dino ka tajzia karle tu ye taqreeban 1.3600 level say aab 1.4200 level taak ponch chuka hai yani market mai US dollar kamzor hota ja raha hai aor GBP strong hota ja raha hai, GBP k strong honay ki ik waja ye be hai k UK buhot jald lockdown say bahar aaraha hai kiuky UK nay kafi had taak corona pandemic par kabo pa liya hai jeski waja say investors GBP ko ziyada preference de rahe hai, agar hum mojoda matket ko daike tu ye pair 1.4150 say oper trade ho raha hai agar esnay 1.4200 ko break kar liya jokay ik strong resistance hai taab maira next target 1.4300 aor oskay baad 1.4500 hoga es liye humay chaheye k hum ziyada tawaja buy trades par de, ye hafta humay mazeed direction k baray mai bata daiga kiukay es haftay mai mazeed important news aor aham development honay ja rahe hai jeski waja say hum buhot asaani k saat ye andaza laga sakengay k market aor khas kar Gbp/usd konsay simat mai ja sakte hai.

    Click image for larger version

Name:	20210224_235819.jpg
Views:	1
Size:	232.9 کلوبائٹ
ID:	12471036

    RSI AOR GBP/USD

    dosto apko maloom hoga k relative strength index ik buhot ye zabardust indicator hai ye humay kesi be pair k baray mai asaani k saath bata sakta hai k konsa pair kis taraf ja raha hai ya konsa pair aab kis trend mai hai, tu chale daikte hai k humay RSI Gbp/usd k baray mai kiya batata hai agar hum esko judge karte hai tu ye totally bullish zone mai hai ye taqreeban 70 level say be oper ki taraf mojood hai jo es baat ka ishara daita hai k ye pair intehaye bullish trend mai hai lekan eskay sath sath ye humay overbought situation ka be bata raha hai lehaza jo be esmai trades lagana chahe osko chaheye k soch samaj kar he entries lagaye .
     
    Last edited by ; 25-02-2021, 12:50 AM.
    Zuhaib9988 Trading journal
    https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Zuhaib9988 Trading Journal

    Dear forum members umeed karta hun k aap sub kheriyat say hongay aor achi trading k sath forex market mai entries ley rahe hongay kuch dino say market kafi ziyada volatile hai khas kar USD say related jitnay be pairs es liye mai subko apni best wishes daita hun k aap safe raho aor achi trading kartay raho

    TAJZIA EUR/USD K BARE MAI

    Dosto aaj mai apke samne apna Eur/usd ka tajzia paish kar raha hun ye pair be kafi ziyada important pair hai buhot ziyada investors es pair mai trading ko like kartay hai lehaza daikte hai aor esko discuss kartay hai k ayenda dino mai kiya honay wala hai aor ye pair kis taraf ja sakti hai, yesterday Jerome Powell nay Congress k samnay US economic position k hawalay say ik presentation de jesmai onho nay ye mention kiya ke US economic growth kafi ziyada slow hai aor jobless claim abi be buhot ziyada hai jeski waja say US dollar kafi ziyada kamzor ho chuka hai aor esmai mazeed kamzori deki ja sakti hai, in comments ke bad US dollar mai mazeed kami daikne ko mile lekan EUR/USD pair mai kuch khas movement nazar nahe aye agar pair ki position ko daika jaye tu ye 1.2100 say oper trades ho raha hai lekan abi be ye bearish zone mai hai so agar kesi ko es pair mai trades laine hai tu resistance aor support levels ko zehan mai rak kar he trading karni hogi warna baghair kesi taqdeeq k buhot nuqsaan ho sakta hai.


    TECHNICAL TAJZIA

    Forum k dosto Eur/usd ko agar mojooda position mai daika jaye tu abi be ye 1.2180 resistance say nechay trade ho raha hai aor es pair nay reverse head and shoulders ka pattern banaya howaya hai, lekan 1.2180 resistance buhot he strong level hai kabi dino say es pair nay esay cross nahe kiya hai lehaza ye levels humay trading k baray mai achey points par entries lagane ka ishara daite hai, agar Eur/usd nay anay walay dino ya gainto mai 1.2180 level ko cross kiya tu maira next target 1.2250 aor eskay bad 1.2350 hoga lekan agar Eur/usd anay walay dino mai ye resistance cross nahe karta aor esko hold rakta hai tu maira next target yaqeenan bearish trend mai hoga aor ye 1.2100 aor eskay baad 1.2050 hoga so mai abi be apko yahan par buy trades laganay k bare mai nahe kahonga mai apko ye mashwara donga k filhal apko sabar k saath market ko daikna hoga aor jab position clear hojaye taab trading entries lagane honge .

    RSI AOR EUR/USD

    Dosto relative strength index abi be 50 k aas paas trades kar raha hai jeska matlab yahe hai k filhal humay ye bearish trend ka ishara dey raha hai lekan agar ye 50 say oper jata hai aor esko hold rakta hai tu eska yaqeenan yahe matlab hoga k aab bearish trend bullish trend mai tabdeel ho chuka hai es liye jab be trades lagao RSI ko zaror isteemal karo ye apko buhot simple tareeqay say wazeh kar daita hai k apne konsa trade kab aor kis direction mai lagana hai

    Click image for larger version

Name:	20210225_002531.jpg
Views:	1
Size:	244.9 کلوبائٹ
ID:	12339520
       
    Last edited by ; 25-02-2021, 12:54 AM.
    Zuhaib9988 Trading journal
    https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
    • #3 Collapse

      Re: Zuhaib9988 Trading Journal

      Hello Aziz mohtaram traders aur forum mimbraan aap ki tijarti position kya hai? umeed hai ke aap ke tijarti nataij achay hon ge aaj mein ne bohat saaray tijarti jareedon ka jaiza kya aur mujhe aik cheez mili ke bohat se taajiron ne mazboot GBP ki naqal o harkat ki wajah se apna qeemti bonus kho diya kyunkay kal raat tamam GBP pairs ne uchaal liya aur is ne bohat saaray tijarti account ko washout kar diya.

      EUR/GBP K BARE MAI TAJZIA

      mohtaram forum ke mimbraan aaj mein EUR/GBP ke baray mein apna kaleedi tijarti tajzia share karna chahta hon, pichlle kuch hafton mein tamam GBP pairs ke liye intehai taizi thi, yeh currency tamam currencies ke muqablay mein bohat achi qeemat haasil karti rahi hai, is haftay GBP G10 currencies mai behtareen performance k sath mojood hai, kal boris johnson joke UK ka prime minister hai ne lock down mein marhala waar narmi ka elaan kya taakay Bartania ki maeeshat dobarah kholnay ke liye tayyar hai isi liye barray sarmaya dar mojooda GBP position ko pasand kar rahe hain aur woh sab sirf GBP mein sarmaya kaari kar rahe hain, fil haal eur/gbp pair 0. 8600 se neechay hai jis ka matlab hai ke yeh jori intehai dabao mein hai. Es haftay is jori mai kafi mandi daike ja rahe hai joky anay walay dinon mein be barqarar reh sakti hai ye jori taqreeban 0.8650 k level say 0.8540 taak gir gaye hai yahi wajah hai ke har aik ko mera mahswara hai ke GBP kafi strong hoti ja rahe hai esko kabi be kam nahe samjna chaheye.

      TECHNICAL TAJZIA

      EUR/GBP jori mai pichlle chand ghanton mein mandi ka rujhan hai jis ka matlab yeh hai ke yeh 0. 8640 se kam ho kar 0. 8540 par agaya hai jis ka matlab hai ke is ne kuch hi ghanton mein 100 pips kho diye hain lehaza mojooda sorat e haal mein, mein koi khareed yani buy tijarat nahi tajweez kar raha hon kyun ke yeh jora ab be bearish zone mai hai. mojooda halat mai sell mai tijarat ya trades bohat khatarnaak hogi lehaza humay wait karna chaheye, ho sakta hai ke yeh mojooda satah se jump kare lekin phir bhi esmai mandi ka rujhan barqarar rahay ga jab tak ke woh 0. 8800 ki satah ko nahi torrey ga lehaza mera tijarti mansoobah aasaan hai mein aos waqt tak kisi bhi buy tijarat ki tajweez nahi kar raha hon jab tak ke woh 0. 8800 ko cross na kare.

      RSI AOR EUR/GBP

      Relative strength index intehai mandi ka rujhan zahir karta hai kiukay yeh 30 satah se neechay hai joke oversold position ki nishandahi karta hai lekin GBP ab bhi bohat umdah karkardagi ka muzahira kar raha hai aur ziyada tar sarmaya car euro ke khilaaf GBP khared rahe hain, is isharay se hum aasani se eur/gbp ki mojooda position ko samajh satke hain, lehaza agar koi chahta hai k is jori mein trades lagaye tu meri tajweez un ko yeh hai ke yahan par market ki position ko daikte howay buy trades ka soda nahe len kyunkay ab bhi is ke neechay jane ke liye kuch aur gunjaish mojood hai.

      Click image for larger version

Name:	20210225_001350.jpg
Views:	1
Size:	247.3 کلوبائٹ
ID:	12339521
         
      Last edited by ; 25-02-2021, 12:55 AM.
      Zuhaib9988 Trading journal
      https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
      • #4 Collapse

        Re: Zuhaib9988 Trading Journal

        Aslam u alaikum maire sub forum k dosto ik dafa pir mai apne trading journal ko update kar raha hun aor aab mai EUR/USD kay baray mai apna tajzia paish kar raha hun, umeed karta hun k aap subko eskay zariye say zaror faida hoga aor aap in tajzia ki madad say apni trading ko behtar bana logey

        EUR/USD K BARE MAI TAJZIA

        Ajj 1.2108 par taaza tareen kam honay ke baad euro / Amrici dollar 1.2130 par ho gaya, green back ka sahara letay hue Amrici pedawar mein izafah jari hai, euro / Amrici dollar ki jori mazboot Amrici dollar ke darmiyan mazeed gira aur 1.2108 par agaya, jo do din mein sab se kam satah hai. tehreer ke tor par, yeh 1.2140 ke aas paas trades ho raha hai aor neechay ki taraf jane ki koshish kar raha hai lekin phir bhi dabao mein hai. Ajj green back yani US dollar ne Amrici aala pedawar ki pusht par kuch na kuch value haasil ki .

        fed chair powel budh ke roz aik aur committee mein presentation de rahay hain. is ke alfaaz ab tak herat ki paish kash nahi karte hain. fed ke binard ne bataya ke kal ke powell ke tbsron ke mutabiq maeeshat afraat zar aur rozgaar ke ahdaaf se bohat daur hai, takneeki nuqta nazar se, euro / Amrici dollar ki kam qeemat mein kami ne mandi ka dabao kam kya. ab tak, euro ko mazeed mazbooti ki taraf ishara karne ke liye 1.2160 se oopar ki bahaali ki zaroorat hai. manfi pehlu par, 1.2110 se neechay ye 1. 2080 tak gir sakta hai yahan par esko support mil sakte hai lekan agar ye mazeed gira tu agli muawnat 1. 2050 par dikhayi deti hai .

        RSI AOR EUR/USD

        Es indicator ko isteemal karty howay andaza lagaya ja sakta hai k ye be nechay ki taraf ishara kar raha hai kiukay ye 50 say nechay ki taraf aaraha hai aor ho sakta hai k buhot jald ye 30 level tak ponch jaye eskay baad ye dobara ooper ki taraf ja sakta hai lehaza maira yahe mashwara hoga k in cheezon ko apnay zehan mai rakte howay he trading karni chaheye, pilhal humay 1.2110 aor 1.2170 k darmiyan mai he trading karne hogi kiukay ye dono abtak strong support aor resistance levels hai, agar enmai say koi be level break hojati hai taab humay apna trading plan tabdeel karna hoga aor ik new trend k sath trading karni hogi.

        Click image for larger version

Name:	20210225_000138.jpg
Views:	1
Size:	276.2 کلوبائٹ
ID:	12339522
           
        Last edited by ; 25-02-2021, 12:56 AM.
        Zuhaib9988 Trading journal
        https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
        • #5 Collapse

          Re: Zuhaib9988 Trading Journal

          Asslam u alaikum dear forum k dosto aap sub kaise ho and apki trading kaise chal rahe hai umeed karta hun kay aap sub kheriyat say hongay aor apki trading be buhot achi earnings kay sath hongi dosto mai aaj apko apny es journal mai mazeed buhot achi information aor trading opportunities say aagah karonga umeed karta hun kay aapko es say zaror faida hoga aor aap mazeed achi trading kar sakengay.

          USD/CAD KAY BARE MAI TAJZIA

          Dosto aaj mai apke samne Usd/Cad k bare mai apna tajzia paish karonga jaise kay apko maloom hoga kay US dollar kafi dino say buhot kamzoor ho chuka hai aor har din eski value mai mazeed kami hoti ja rahe hai, eski sub say bari waja US economy ka weak hona hai jab say corona pandemic crisis shoro howa hai aos time say US dollar buhot ziyada dabao mai hai aor ye har din apni value ko lose kar raha hai, jitnay be baray investors hai wo sub American dollar ko sell kar rahe hai aor dosre currencies ko purchase kar rahe hai es liye agar hum Usd/Cad ki jori ko daike tu humay maloom hoga kay ye jori be musalsal nechay ki taraf ja rahe hai aor Canadian dollar musalsal strong hota ja raha hai, mojooda market mai aab ye 1.2500 kay aas paas trades ho raha hai ho sakta hai k es level say ye kuch ooper ki taraf jump karay lekan wapas nechay aane ki buhot ziyada chances mojood hai lehaza maira subko forum members ko yahe mashwara hoga kay es jori ko khareednay kay bajaye bechnay kay buhot aham nataij aasakte hai es liye sell trades par ziyada focus daina chaheye.

          TECHNICAL TAJZIA

          Dosto Usd/Cad es haftay kafi bearish trend mai hai ye taqreeban 1.2740 say gir kar 1.2500 ki satah par agya hai, agar over all trend ko daika jaye tu ye jori musalsal nechay ki taraf ja raha hai aor esmai mazeed girawat ho sakti hai, 1.2500 ki satah buhot he aham hai agar ye jori yahan par support level donti hai tu ho sakta hai k ye yahan say ooper ki taraf jump karay lekan pir be ye bearish trend mai mojood rahega aor dobara nechay ki taraf ayega, agar ye jori 1.2500 ko nechay ki taraf break karta hai tu eska next target 1.2450 aor oskay baad 1.2400 hoga lekan agar ye jori ooper ki taraf jaye tu eska next target 1.2550 aor oskay bad 1.2600 hoga, es liye hum subko chaheye kay trend ko follow kartay howay trades lagaye, maira subko ye mashwara hoga kay aabi ye jori strong bearish trend mai hai lehaza yahan par buy karna nuqsaan deh ho sakta hai.



          RSI AOR USD/CAD

          Relative strength index ko agar daika jaye tu ye taqreeban pechaly kaye dino say 50 say nechay ki taraf trades ho raha hai aor aab be ye 70 ka aas paas mojood hai jokay humay yahe ishara daita hai kay ye jori bearish trend mai hai, lekan eskay sath sath ye indicator humay ye be ishara de raha hai kay ye buhot ziyada sold ho chuka hai aor ho sakta hai kay kuch pips kay liye ye ooper ki taraf jaye, lekan humay bajaye buy trades kay yahan par sirf aor sirf sell trades laganay par he focus daina chaheye, agar ye ooper ki taraf 50 say ooper ajata hai tu wahan par small buy trades lagaye ja sakti hai lekan abi humay kafi ahtiyat kay saath trading karna hogi aor intezar karna hoga.

          Click image for larger version

Name:	20210225_102951.jpg
Views:	1
Size:	237.5 کلوبائٹ
ID:	12339533
             
          Zuhaib9988 Trading journal
          https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
          • #6 Collapse

            Re: Zuhaib9988 Trading Journal

            Asslam u alaikum forum members aor dosto umeed karta hun kay aap sub khairiyat say hongay aor forex market mai buhot profitable trading kar rahay hongay aaj be market kafi ooper aor nechay hota raha es liye mujay yaqeen hai kay subnay es say barpoor faida otaya hoga aor agar kesi nay abi taak koi faida nahe otaya hai tu mai es trading journal mai apkay saath Usd/jpy kay baray mai buhot achi earnings opportunities share karonga.

            USD/JPY KAY BARE MAI TAJZIA

            Dosto mai aaj apkay saath usd/jpy kay baray mai behtareen jaiza paish karonga aor mai apko yahan par bataonga kay apnay kaisay es jori mai trading karni hai, USD/JPY mojooda market mai 106.00 level say ooper ki satah par trade ho raha hai es jori nay aaj 106.00 resistance level ko thora aor 106.40 level taak ponch gaya lekan pir jald he nechay gir gaya, aaj matket mai JPY mazeed kamzoor howa aor taqeeban har currency kay samnay apni value ko koya lekan eskay bar aaqs US dollar nay JPY kay samnay buhot acha perform kiya, US dollar ki achi performance ki waja US Bond yields mai musalsal izafa hai aaj be US bond nay kafi achi value ko gain kiya jeski waja say USD/JPY ooper ki taraf gaya, ye hafta JPY kay liye kafi ziyada bora raha hai esnay kafi haad taak apni value ko koya hai aor market mai buhot ziyada kamzoor ho chuka hai aor esmai mazeed kami ho sakti hai.

            TECHNICAL JAIZA

            USD/JPY 106.00 area kay aas paas trade ho raha hai es jori nay aaj 105.75 ki satah say jump kiya aor 106.40 ki satah ko touch kiya hai so maira yahe manna hai kay agar ayenda gainto mai usd/jpy nay 106.30 resistance level ko thor diya tu ye mazeed ooper ki janib ishara karega aor pir ye 106.80 taak ponch jayega lekan agar ye nechay ki taraf girta hai aor 105.75 ko thorta hai tu pir ye mazeed nechay ki taraf 105.50 pir 105.00 ki haad taak gir sakta hai, lekan filhal ye jori 105.75 aor 106.30 kay darmiyan mai he rahega aor agar ye dono levels mai say kesi ko thorta hai taab hum asaani kay sath osi taraf trades laga sakte hai.

            RSI AOR USD/JPY

            Dosto RSI humay es jori kay baray mai ye ishara de raha hai kay abi ye jori bullish trend mai harkat kar raha hai yani RSI kay mutabiq ye 50 level say ooper aor 70 kay aas paas mojood hai jeska matlab yahe hai kay ye jori ooper janay ki mazeed koshish karegi es liye mai yahan par apko ye mashwara donga kay resistance aor support levels ko daikte howay khareed aor ferokht karna behtar hoga .

            Click image for larger version

Name:	20210225_233532.jpg
Views:	1
Size:	227.5 کلوبائٹ
ID:	12339549
               
            Last edited by ; 26-02-2021, 12:16 AM.
            Zuhaib9988 Trading journal
            https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
            • #7 Collapse

              Re: Zuhaib9988 Trading Journal

              Asslam u alaikum pak forum kay members aor dosto aap sub kaisay ho aor apki trading kaise chal rage hai, mai umeed karta hun kay aap sub khairiyat say hongay aor apki trading be achi say chal rahe hongi aaj friday ka din hai aor aaj market next week kay leye band honay wala hai lehaza apkay jitnay be trades open hai apko chaheye kay osay aaj band karle aor ayenda haftay say ik naya start lay.

              IMPORTANT NEWS

              Jaisay kay apko maloom hoga kay har din mukhtalif kisam kay khabray market mai aati rehti hai jeski waja say market ooper nechay ho jata hai es liye aaj hum kal aanay walay important news kay baray mai guftogo karengay, kal buhot he aham din tha kiukay US government ki taraf say GDP, Core durable goods, aor initial jobless claim ki news anay wali te ao jaab ye data market mai aagya tu US dollar nay kafi acha performance show kiya kiukay saray data number buhot achay thy aor es positive news ki waja say US dollar market mai strong howa.

              Click image for larger version

Name:	20210226_100623.jpg
Views:	1
Size:	80.8 کلوبائٹ
ID:	12339553

              GBP/USD KAY BARE MAI TAJZIA

              Ajj mai aap subkay samnay Gbp/usd ka baray mai apna jaiza paish karonga jeski waja say aap subko buhot kuch seeknay ko melega tu chalay daikte hai kay ye jori ayenda dino mai kaha par ja sakti hai, es haftay mai ye jori buhot ziyada ooper ki taraf chale gaye aor 1.4230 ki satah tak ponch gaye lekan Americi dollar kay mazboot honay ki waja say dobara nechay ki taraf ana shoro kiya aor aaj mojooda market mai ye 1.3950 ki satah taak gir gaye hai, kal kay din America ki taraf say buhot achi khabray mosool howi jesmai jobless cliam ka kam hona aor core durable good ka ziyada hona US dollar kay liye acha sabit howa aor esnay market mai buhot achi value ko hasil kar liya, eskay sath sath 10 sala Americi bond yields kay musalsal ooper janay ki waja say US dollar nay be buhot achi value ko hasil kiya aor GBP ko mazeed nechay gira diya, agar Americi dollar es tarha performance daita raha tu ayenda chand dino mai ye mazeed gbp ko gira sakta hai.

              TECHNICAL JAIZA

              GBP/USD mojooda market mai 1.3950 kay aas paas trade ho raha hai, kal kay din say ye taqreeban 200 pips nechay gira hai aor esmai mazeed kami waqeya honay kay chances mojood hai, ooper janay walay trend line ko be esnay nechay ki taraf thoor diya hai es liye maira yahe manna hai kay ye mazeed nechay ki janib gir sakta hai, mojooda halat mai eskay samnay 1.4000 resistance satah aor 1.3900 support ki satah hai agar ye ooper ki janib jata hai aor 1.4000 ko thorta hai tu ye mazeed ooper ki janib ja sakta hai taqreeban1.4100 ki janib lekan agar ye 1.3900 ko nechay ki taraf thorta hai tu ye mazeed nechay ki taraf 1.3800 ki satah taak ponch sakta hai lehaza agar kesi nay trades lagane hain tu in levels ko zehan mai rak kar trades laganay chaheye.

              RSI AOR GBP/USD

              Jab hum 4H time frame mai RSI ko es jori par laga daitay hai tu humay ye ishara daita hai kay ye jori nechay ki taraf ja rahe hai aor esmai mazeed girawat ho sakti hai kiukay abi ye 50 ki satah say nechay ki taraf hai jeska matlab yahe hai kay ye mazeed 30 ya 20 ki satah taak jayegi es liye maira sabko yahe mashwara hoga kay agar kesi nay es jori mai trades lagani ho tu wo trend ko follow kartay howay he trades lagaye agar trend kay khilaf trades lagaye jayengay tu nuqsaan ka khadsha ziyada hoga.

              Click image for larger version

Name:	20210226_100655.jpg
Views:	1
Size:	252.4 کلوبائٹ
ID:	12339555
                 
              Zuhaib9988 Trading journal
              https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
              • #8 Collapse

                Re: Zuhaib9988 Trading Journal

                Hello dear friends aor forum kay members aap sub kaisay hai aor ye hafta trading ka hawalay say kaisa tha mujay uneed hai ye hafta har kesi kay liye buhot acha guzra howa hoga aor buhot say traders nay achi earnings ki hogi, maine kaal be gold kay baray mai apni analysis share ki thee aaj mai dobara aap logon kay sath apna tajzia paish kar raha hun aor umeed karta hun kay ye aap logon kay liye kafi acha aor mufeed hoga.

                GOLD KAY BARE MAI JAIZA

                Pak forum kay dosto ajj gold mazeed nechay gir gaya hai aor ye mojooda market mai 1760 ki satah par trade ho raha hai, jab kal maine apna tajzia paish kiya tha tu maine ye bath kahe te kay gold 1760 ki satah taak gir jayega aor ajj waisa he howa, ab yahan say gold mazeed kis taraf ja sakta hai tu chale daikte hai aor esko discuss kartay hai, US dollar musalsal dosray roz be buhot acha perform karta raha hai esnay market mai buhot achi value gain ki hai, eski sub say bari waja kal core durable goods, initial jobless claim, aor GDP ki positive khabar aye jeski waja say Us dollar na market mai dobar apni value ko hasil karna shoro kiya lekan eskay sath sath US 10 sala Bond nay be buhot acha perform kiya aor 1 sal mai high satah par ponch gaya jeski waja say investors nay gold ko sell kartay howay amrici dollar ko khareednay par tawaja de.

                TECHNICAL JAIZA

                Mojooda market mai gold taqreeban 1760 ki satah par trade ho raha hai ajj ye musalsal nechay ki taraf gir raha hai lekan aab eskay samnay 1750 ki satah par ik mazboot support mojood hai lehaza agar gold 1750 ki satah ko nahe tor patha tu ik bar pir ye ooper ki janib ja sakta hai lekan agar ye 1750 ko nechay ki taraf tortha hai tu eska next target 1700 ki satah par hoga, eskay bar aaqs agar gold ooper ki taraf jata hai tu 1780 kay level par eskay samnay ik kamzoor resistance mojood hai jesko thornay kay baad ye mazeed 1800 ki satah taak ja sakta hai.

                RSI AOR GOLD

                Agar gold ki 4H chart par RSI laga de jaye tu humay maloom hota hai kay RSI 30 ki satah par mojood hai jokay ik bearish trend ki janib ishara de raha hai lekan eskay sath sath ye humay oversold yani ziyada ferokht ka ishara be de raha hai, es liye RSI k mutabiq trend completely bearish hai lekan ziyada ferokht ki waja say ye yahan say ooper janay ki koshish zaror karega es liye humay chaheye kay in points ko apnay trading plan ka hisa banaye aor esi kay mutabiq he apni trades gold mai lagaye, ajj chuki friday hai aor market kuch gainto bad closed hojayega es liye ajj ziyada trades lagana acha nahe hoga.

                Click image for larger version

Name:	20210226_174323.jpg
Views:	1
Size:	240.9 کلوبائٹ
ID:	12339558
                   
                Last edited by ; 26-02-2021, 05:49 PM.
                Zuhaib9988 Trading journal
                https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
                • #9 Collapse

                  Re: Zuhaib9988 Trading Journal

                  Asslam u alaikum ajj market band hai aor koi be trading nahe ho rahe lekan mai ajj be apkay sath aanay waly haftay ki nisbat say apni analysis share karonga jokay aap sub kay liye buhot mufeed sabit hogi.

                  GBP/USD KAY BARE MAI TAJZIA

                  Gbp/usd forex market mai intehaye ahmeyat raknay wali jori hai ziyada tar investors apnay trading kay liye esi jori ko target kartay hai aor achi khasi earnings be kartay hai agar mojooda market mai es jori ko daika jaye tu ye 1.3900 kay satah pay trade ho rahe hai ajj chukay market band hai es liye esmai koi movement nahe ho rahe lekan aanay wala hafta yaqeenan buhot aham hoga Gbp/usd jori kay liye, pechaly haftay mai ye jori 1.4200 ki satah tak ponch gaye thi jokay 3 years mai sub say ziyada ooper wali satah hai lekan oskay baad ye buhot jald nechay gir gaye aor taqreeban 300 pips kho diye, ab ziyada chances yahe hai kay ye jori mazeed nechay gir jayegi kiukay amrici Dollar aab mazboot hona shoro howa hai agar ayenda haftay ye mazeed nechay girna shoro karti hai tu next target 1.3800 aor baad mai 1.3700 hoga.

                  Click image for larger version

Name:	20210227_150333.jpg
Views:	1
Size:	255.7 کلوبائٹ
ID:	12339573

                  EUR/USD KAY BARE MAI TAJZIA

                  Eur/usd be dosri jorio ki tarha nechay ki taraf gir raha hai kiukay last 2 din US dollar kay liye buhot achay thy aor esnay market mai buhot achi value ko hasil kiya hai, pechaly haftay Eur/usd ki jori ooper ki taraf ja rahi thi aor 1.2240 ki satah taak ponch gayi lekan US dollar ki demand ki waja say ye nechay gira aor aab ye 1.2070 ki satah par mojood hai esmai mazeed girawat ho sakti hai kiukay 4H time frame kay mutabiq trend aab mandi mai tabdeel ho chuki hai lehaza ayenda hafta eskay liye buhot aham hoga, agar monday ko market negative gap kay sath open hoti hai tu eska next target 1.2000 aor pir 1.1950 hoga es liye maira subko mashwara yahe hoga kay ziyada focus sell trades par lagani chaheye aor har jump kay sath sell karna behtar strategy hogi.

                  Click image for larger version

Name:	20210227_150414.jpg
Views:	1
Size:	265.2 کلوبائٹ
ID:	12339574

                  GOLD KAY BARE MAI TAJZIA

                  Pechaly haftay jab market open howa tha tu gold 1810 ki satah par mojood tha lekan pir har roz kay sath ye nechay ki taraf gira aor kal jab market band howa tu ye 1739 ki satah par mojood hai, esmai musalsal girawat ki waja US treasury bond yields ka ooper jana hai jeski waja say investors gold ko sell kar rahay hai aor bond ko purchase kar rahay hai, friday ko gold 1715 ki satah tak gir gaya tha lekan baad mai kuch ooper gaya aor 1739 ki satah par band howa, ayenda hafta be gold kay liye buhot aham hoga aor esmai mazeed girawt mumkin hai chuki aab trend mandi mai hai tu aanay walay haftay mai hum esko mazeed girta howa daik sakte hai aor eska next target 1700 aor pir 1650 ho sakta hai lehaza maira subko yahe mashwara hoga kay agar aapnay gold mai trades lagani hai tu ziyada focus sell trades para lagani chaheye jokay yaqeenan ik acha faisla hoga .

                  Click image for larger version

Name:	20210227_150434.jpg
Views:	1
Size:	236.9 کلوبائٹ
ID:	12339575
                     
                  Zuhaib9988 Trading journal
                  https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
                  • #10 Collapse

                    Re: Zuhaib9988 Trading Journal

                    Aslam U alaikum tamam forum members ko aap sub kaise hai, umeed karta hun kay aap sub khairiyat say hongay aor apki trading be buhot achi chal rahe hongi maire aziz dosto mai aaj apkay saath ik dafa pir buhot achi trading opportunities ko share karnay wala hun es liye mai umeed karta hun kay maire es journal say aap subko buhot faida ponch raha hoga.

                    GOLD KAY BARE MAIN TAJZIA

                    Dosto aaj mai apke sath gold kay bare main apna tajzia paish karne ja raha hun jaise subko maloom he hoga kay pechaly kuch dino say gold musalsal nechay ki taraf gir raha hai aor ye girawat taqreeban 1707 ki satah ko touch kar gaya hai lekan aab gold dobara ooper ki taraf chal parah hai jokay aanay walay gainto mai mazeed ooper ki taraf ja sakta hai, mojooda market main aab gold 1730 ki satah par mojood hai lekan pechaly 8 gainto say ye koshish kar raha hai kay ooper ki taraf chalay, agar ayenda chand gainto mai investors gold ko khareedtay hai tu eska next target 1760 taak hoga aor wahan par esko ik mazboot resistance be milega jesko tornay kay baad ka target 1800 hoga, lekan agar gold nechay ki taraf girta hai aor 1700 jaise strong support ko nechay ki taraf cross karta hai tu eska next target 1650 hoga, lehaza trade market ki conditions ko daikte howay he lagani chaheye taakay ziyada say ziyada faida ho, yahan par main 1760 taak buy trade laganay ki suggestion donga.


                    Click image for larger version

Name:	20210302_164800.jpg
Views:	1
Size:	269.1 کلوبائٹ
ID:	12339596


                    EUR/USD KAY BARE MAIN TAJZIA

                    EUR/USD musalsal nechay ki taraf gir raha hai aor ye girawat mazeed be ho sakti hai agar US government ki taraf say jo financial data aaj anay wala hai wo positive howa tu, eskay sath agar pechaly 4 dino ko daika jaye tu ye musalsal bearish trend ki taraf chal rahe hai, mojooda market mai aab Eur/usd 1.2020 ki satah par mojood hai ye taqreeban 1.2000 taak gir gaye ti lekan abi tora ooper jump kar gaye hai, overall trend ko agar daika jaye tu ye bearish hai es liye agar ayenda gainto mai Eur/usd 1.2000 support ko break karti hai tu eska next target pechla low level 1.1950 hoga, so main yahan par traders ko sell trades par tawaja daine ka mashwara donga .


                    Click image for larger version

Name:	20210302_164732.jpg
Views:	1
Size:	287.7 کلوبائٹ
ID:	12339597


                    GBP/USD KAY BARE MAIN TAJZIA

                    Dosto Gbp/usd be musalsal under pressure hai aor aaj ye taqreeban 1.3860 kay level taak gir gaya tha lekan baad mai ooper ki taraf aana shoro kiya aor aab 1.3900 kay aas paas trade ho raha hai, es jori mai girawat ki asal waja US dollar ka strong hona hai pechaly dino US economic growth ki achi khabree mosool howi jeski waja say investors nay USD ko khareednay mai dilchaspi le aor ye jori nechay ki taraf gir gaye, aab be main es jori ko mazeed girta howa daik raha hun agar chi ye aab ooper ki taraf gaye hai lekan ye ayenda dino main mazeed gir kar 1.3775 ko target kar sakti hai jokay ik strong support be hai lehaza maira subko yahan par mashwara yahe hoga kay ziyada say ziyada focus sell trades par lagani chaheye, lekan agar aaj US ki janib say financial data strong aati hai taab ye mazeed ooper be ja sakto hai.


                    Click image for larger version

Name:	20210302_164747.jpg
Views:	1
Size:	270.9 کلوبائٹ
ID:	12339598
                       
                    Zuhaib9988 Trading journal
                    https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      Re: Zuhaib9988 Trading Journal

                      Assalamu Alaikum Mere Tamam doston aur Pak forum ke members aap sab kaise hain aur aapki trading Kaisi ja rahi hai main ummid karta hun ki aap sab khairiyat se Honge aur aapki trading bhi bahut acchi chal rahi Hogi Aaj main aap sab ke sath apni trading experience ko share karna chahta hun mujhe ummid hai ki yah trading journal aapke liye bahut faydemand sabit hoga aur aap is trading journal ke zariye se apni trading ko Behtar banaa Sakenge Tu Chale dekhte hain aur is ko Bari Bari discuss Karte hai.


                      CLOSED TRADES
                      Muhtaram doston main aapke sath apni kuch li hui trades share karna chahta hun Monday ke din main ne gold Mein Ek trade liya Kyunki market niche ki taraf a rahi thi isliye maine gold Mein sell trade Lagaya aur khush kismati se Mera trade bahut acche profit Mein close hua iski vajah yah ti kay USD market mein strong ho rahi thi Jiski vajah se zyadatar investors ne gold ko sell Kiya aur Iske against mein US dollar ko kharida Jiski vajah se gold niche ki taraf Gira aur takriban 1770 ki level Tak Gir Gaya lekin Iske bad yah Dobara Upar ki taraf Gaya Kyunki 1770 ke point per isko Ek bahut Acha support Mila Jiski vajah se yah Dobara 1780 ke upar Chala Gaya aur Ab Bhi is level se upar trade ho raha hai lekin maine Apna trade pahle hi close kar diya tha jeski waja say mujay acha khasa profit mil chuka.


                      Click image for larger version

Name:	20210506_001744.jpg
Views:	1
Size:	26.7 کلوبائٹ
ID:	12340362




                      RUNNING TRADES
                      Doston Mere kich trade abhi bhi market mein open hai aur yah takriban loss mein chal rahe hain Monday ke din Maine yah trade US dollar ke favour mai lagaye the Kyunki Monday ke din market US dollar ke favour Me ta aor US dollar buhot achi qeemat hasil kar raha tha dosray currencies kay badlay mai. Lekin ajj market US dollar ke against mein chal raha hai Jiski vajah se Mere donon trade abhi loss mein hai lekin mujhe ummid hai ki bahut jald US dollar market Mein Dobara apni takat Hasil kar lega aur mere donon trade is lost se nikal kar profit mein a jaenge lihaza mein Apne donon trade ko running Mode mai rakhunga aos waqt taak jab yah loss cover ho jaaye tab main isko close kar dunga.





                      Click image for larger version

Name:	20210506_001824.jpg
Views:	1
Size:	64.4 کلوبائٹ
ID:	12340363
                       
                      Zuhaib9988 Trading journal
                      https://investsocial.com/ur/showthread.php...rading-Journal

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X