Dear members, Sabar forex main kamyabi k liye bahut zaruri hai. aur aisy traders jo forex main sabar sy kam lety hain wo kabhi nakaam nhi hoty hain. forex main ziyada tar logon k fail hony ki sb sy bari wja jald bazi aur lalach hai jis ki wja sy un ka account wash ho jata hai. jo log sabar sy kam lety hain wo perfect trade k liye wait karty hain aur lot size ko kam sy kam use karty hain..agar un ki trade loss main bhi chali jaye to un ka account wash nhi hota hai q keh lot size kam hoti hai aur kuch dino k bad wahi trade entry point per a jati hai
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим