N.I.C Card ki translation

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #31 Collapse

    Dear all member pls guide me ke me apne NIC card ki translation kahan se karwao , mera NIC card Urdu me hai aur instaforex me verification English NIC se hoti hai so ab mujhe translation karani hogi so me kahan se karwao ?? and main karachi ka citizen hu
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #32 Collapse

      bhai cnic card ki translate krwane ke liye ap apne ilaqay ki kachehri mien jao jahan per wakeel bethay hotay hien ap waha ja kr kisi se b english mien translate krwa kr print out krwa lena ur stamp lagwa lena.
      • #33 Collapse

        Dear ge meray khyal me agar aap ka nic urdu me hai aur aap is ke transhion karna chate hai to aap ko kise notry public ke pass jana ho ga us aap apna nic notri public karwana ho ga is ke baad aap ka nic proof ho jai ga .
        • #34 Collapse

          dear meray khayal main apko new id cvard banwana hoga jo k english main hota ha us k lye apko karibi nadra k office jana hoga jahan sy ap new id card bnwa sakty han.
          • #35 Collapse

            jab b hum trade karty hain to humain rules ko follow kar kkay trade main kam karna ho ga magr humain nic ki zrort hoti hay humain trade main achi earning hasil ho sakti hay profit ho gi
            "The mind is everything, What you think you become"
            • #36 Collapse

              Aap verification key leye English ka ID card use kr saktey hain aur is key leye aap ko yeh card banana ho ga. Aap card key elawa passport ki copy ya utility bill ki copy bhi use kr saktey hain. Aap instacabinet main ja kar check kr lain, Jo documents aap key pas available hain, aap un ko upload kar saktey hain aur account ko verify karwa saktey hain.
              • #37 Collapse

                Ap ko ya to mini CNIC bnwana ho ga ya pher app stam paper pay id card ki translation english main kerwa k to oth commissioner k sign kerwa k upload ker dain gay to account verify ho jaey ga
                • #38 Collapse

                  dear mery khayal me to instaforex waly urdu waly NIC card par be verification kar lety hey, me sure to nahi hon magar me ne yahi suna hay k urdu id card par account verify kar dia jata hay.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #39 Collapse

                    Re: N.I.C Card ki translation

                    Dosto forex per jub ap account create karty hain to agar apka NIC card agar urdu may hai to phale ap ko is ko english may translate karna hoga is ke bad he ap ko account ko verify keya jasaky ga agar apka NIC card english may hai to koi musla he nahi hoga aur nahi is ko translate karna pare ga is sy he kam chaljahe ga

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X