Kisi bhi currency Kay aasharia Kay daian janaib 4 hindsay hotay Hain jaisay 1.2245…Price aik point agay barhtee hay jaisay 1.2246 hoti hay to hum kehtay Hain 1 pip ka izafa hua . traders amooman in pips k barhnay ka Kam honay say hi iska nafa nuqsaan ka andaza lagata Hain .har trader Kay pip ki value alag alag hoti hay masal k Tor per kisi ka pip aik cent ka hoata hay kisi ka aik dollar ka aour kisi ka 10 dollars ka ab agar us nay investment main 5 PiP ka profit Lia aour uska pip 10 dollars ka tha to us nay 50 dollars profit Lia .hum har market main in pips ki average movement ka jaiza lakar hi investment kartay Hain Apni qeemti aara say zaroor agah keejeay ga Thanks
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим