Forex mein waqt ki importance
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex mein waqt ki importance
    Forex mein waqt ki bahut zayada aehmiat hoti hai kyun kay forex aik 24 hours ka business hai tou iss mein humain soch samjh ker kaam kerna hota hai iss mein zara si ghalti humara bahut zayada nuqsaan ker deti hai jis sae humara bahut zayada waqt zaya ho jata hai aur hasil bhi kuch nahin hota apnay waqt ko qeemati janain aur forex mein serious ho ker kaam kerain
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex mein waqt ki importance

    Bhai jaan aap ne bahut zabardast baat kahi hai hame apne waqat ki kadar karna chahiye forex to waise bhi bahut hi critical business hai aur isme hum waqat zayz karenge to samajh le ke hum apni investment zaya karenge forex business ko seekhne ke liye bahut time darkar hota hai hame chahiye kya acche tarike se forex business ko seekh le aur uske baad isko implement kare taki main fayda ho..
    THKS
    • #3 Collapse

      Re: Forex mein waqt ki importance

      Forex main successful trading ka bhi aik time hota hai ky jab ham trade open kerty hain tou us main profit hasil hony ka bahot chance hota hai aur kabhi kabhi hamain acha profit hasil ho raha hota hai lekin ham trade close nehi kerty jab waqat hath sy nikal kata hai tou sirf trade phir loss main hi chal rehi hoti hai
      • #4 Collapse

        Re: Forex mein waqt ki importance

        Forex market main best time for trading ko find ker ky agar ham trade open kerain tou profit zarur milta hai ky hamari aesi trade jis main ham best time find ker lain woh profit main hi close hoti hai lekin without wait agar ham kisi bhi pair main kisi bhi position per trade open ker lety hain tou hamain bahot bara loss ho jata hai
        • #5 Collapse

          Re: Forex mein waqt ki importance

          Dear members main yaha par. Ye kehna chaho ga keh beshak forex ek 24 hrs online business he pr jab tak ap kisi job ko ek complete time nahi dy gy us me kamyabi na mumkin he same forex me ap apna ek schedule banay ek waqt dy jis me ap ky din k ya rat me 2 sy 3 ghanty daily basis pr ap work kary is sy ek to apko analysis karny me asani hogi dosra ap ka ek routine set hoga jis ki waja sy zehn pr pressure nahi parta or ap mentally relax rehty hen
          • #6 Collapse

            Re: Forex mein waqt ki importance

            Forex mein humara waqt bahut zayada qeemati hai iss mein humain time ko zaya nahin kerna chahyea forex ko seekh ker kaam kerna chahyea iss mein agar hum cheezoun ko seekh ker kaam kerain gay tou humain forex sae achi income ho gi warna tou forex sae sirf ti e zaya honay kay ilawah kuch nahin milay ga
            • #7 Collapse

              Re: Forex mein waqt ki importance

              Dear friend apne achi bat ki hai me apki bat sy agree karta hon forex me wakt ki boht ehmiyat hai hame forex ko full time dena chahye kuch log trade lgany k bad usy time nai dety aur jb dykhty hen tu trade profit me jany k bad los me ja chuki hoti hai trading me ek galti apko boht bara los dy sakti hai es lye trading ko time dena chahye.
              • #8 Collapse

                Re: Forex mein waqt ki importance

                Asslam 0 Alikum jee haan bhaai jaan Aap ne bilkul theek kahan Hai main sirf Itna kehna chahon ga forex LA time bohat qimti hota Hai aur hamen Chahiye Ke ham forex pe fazzol kaam mat Karen kyon Ke agar ham Apna qimti time fazool kaamo main guzar den tou ham kabhi kaamyaab Nhi hongay thanks
                • #9 Collapse

                  Re: Forex mein waqt ki importance

                  Dear aap ne bilkul theek kaha forex trading mein waqt ki boht importance hai is business mein hamein soch samjh k chalna prta hai aur right time pe right decision leny wala aik acha trader hota hai kionkeh achi trading opportunity kisi waqt bhi mil sakti hai is liye hamein market ko regular follow krna chahiye.
                  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                  • #10 Collapse

                    Re: Forex mein waqt ki importance

                    Sir forex trading mien waqt ki bhut zyada improtance hai agar hum as mien aa ker waqr ki qadar kerry hien tu hum as mien aa ker earning bee ker sakty hien as lye hamain as mien aa ker aik acha trader ban ker kam kerna hota hai mien as mien aa ker her bar apna kam waqt per kerta hoon.

                    اب آن لائن

                    Working...
                    X