Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai
    Humari trading mein jab bhi emotiions involve ho jatay hain tou humara account wash ho jata hai mera aap sub traders sae yeh sawal hai kya yeh possible hai kay hum without emotions kay bhi trading ker saktay hain agar aise koi trading strategy hai tou ussay forum per share kerain
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

    Emotions ky baghair trade kerny ka sab sy best tareeqa yeh hai ky ham apni her open ki jany wali trade main stop loss aur take profit laga ker trade open kerain aur phir next trade ky liay market ko tab hi open kerain jab previous open trade main hamari tp ya sl hit ho chuka ho isky elawa koi tareeqa nehi hai emotional hony sy bachny ka sab apko trade main acha profit ya bara loss ho raha ho
    • #3 Collapse

      Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

      Dear emotions kay beghair trading kerna hai tou bahut mushkil lakin namumkin nahin hai aap aisa ker saktay hain agar aap trade ki planning pahele sae kerain market kay analysis kerain aur lot size stop loss take profit sub laga kay apnay zahen mein aik profit ka soch ker system ko off ker dain aur dobara trade ko kam sae kam 5 ghantay baad dekhain agar trade close ho gae hai tou theek warna uss kay close honay ka intezar kerain
      • #4 Collapse

        Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

        forex trading me emotion hi loss karwate hai apne bohat sare senior logo se suna hoga ya phr jo teacher hai forex trading ke wo kahte hai ke emotions ko control me rakho kabi b emotional ho kar trading na karo lakin aisa karna bohat hi mushkil hai hume chahiye ke jub hum trade laga le tu hum stop loss or take profit laga kar laptop close kar dena chahiye or phr bad me hi daikhna chahiye ke kya howa hai.
        • #5 Collapse

          Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

          G han ager ap apny emotions ko control main rakh sakty hain to ap achi trading kar sakty hain so ap ko chiye kay humesha apny emotions ko control main rakhyn taan kay ap ko loss kam say kam ho bahot say trader apny ziyada emotional ho jaty hain or bari lot ko choose kar lety hain jis ko waja say account wash kar bethy hain
          • #6 Collapse

            Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

            Maray khyal may tho asa possible nahe hay kionka jab aap koi trade lagathay hay tho aap oske movement ko monitor karthay hay our aap ke emotions os par zaroor up down hothi rehtay hay is liay apnay emotions par qaabo karna chaheiay our Jo apnay emotions ko control karthay hay wo kamyaab rehtay hay
            • #7 Collapse

              Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

              G aap nay bikul teak kaha hai kay agr aap ke trade loss main ja rhi hai to us ka wait krian market ka analysis krian aur us kay bad aap trading ka time daikhain
              • #8 Collapse

                Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                dear brother !according to me you can not trade on real account without any emotions ,but you can control your emotions
                by positive trading methods ,complete analyeses and knowledge .
                • #9 Collapse

                  Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                  emotions har business ka bahut he aeham hissa hota hay isi tarha say hamar forex hay jis main ham emotions k baghar bhi achi earning nai kar saktay hain kuch trades aisi bhi hoti hain jin main hamara emotions main ana zarur ho jata hay emotions ko ham forex ka hissa bhi keh saktay hain agar emotions hon to tab he himmat ati hay aur himmat aye to achay signals pay he ham bari lot say earn kar saktay hain.
                  • #10 Collapse

                    Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                    ya such hay ka ager hum koie bhi emotion ko kisi bhi tradeig main lay ker aatay hain to account wash hona ji whajha bun sata hay mager ager hum thanday mind k say or market ko theek tarah say study karay to humari trade profit main ja sakti hay
                    • #11 Collapse

                      Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                      G Han bilkul theek kaha ap nee emotions k bgher trading ki ja sakti hai air aisi he trading men ap successful bi ho sakty Hain kyun ky maximum log loss sirf apny emotions ki waja see face krty Hain trade lgane k baad bar bar markeet ko dekhty Hain jis ki waja see wo apni strategy see hat jaty Hain aur jaise he trade ko loss men jata dekhty Hain us ko close kr dyty ain thori he dyr men market unhe k haq men chli jati hai is liye agar successful trader bnna hai to pehle apny emotions ko control men rakhna seekho.
                      • #12 Collapse

                        Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                        Bilkul forex trading mein emotions involved hoty hein jab hamein trading mein profit hota hai tu hum overconfident ho jaty hein aur jab loss hota hai tu hum foran loss ko recover krny k liye aur trades open kr lety hein jis se loss aur ziada hota hai,yeh ho sakta hai hum apny emotions ko control krein aur sabr se trading krein.
                        • #13 Collapse

                          Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                          Sir forex mien kya her bar insan emotional ho jaty hien agar hum forex mien aa ker emotional ho ker kaam kerty hien tu as mien hamain success hasil kerny mien behad problem ho sakti hai as lye mien as mien jab bee trading kerta hoon tu as mien aa ker try kerta hoon k kabi bee as mien emotional na ho jao.
                          • #14 Collapse

                            Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                            اصل پيغام ارسال کردہ از: Ghulam786 پيغام ديکھيے
                            Humari trading mein jab bhi emotiions involve ho jatay hain tou humara account wash ho jata hai mera aap sub traders sae yeh sawal hai kya yeh possible hai kay hum without emotions kay bhi trading ker saktay hain agar aise koi trading strategy hai tou ussay forum per share kerain
                            Traders ko chahiye ke woh emotions Ke Bina trading Kare traders job emotions Ke Bina trading Karenge tabhi bochi aur successful trading kar Sakenge aur profitable trading bhi kar Sakenge
                            FRD 07 TRADING JOURNAL
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Emotions kay beghair trading ki ja sakti hai

                              g han emotion k baghair trading to ki ja sakti hai lakin bat ye hai k emotion ko control kese kiya jay ku k forex me agar ap ko apny emotions par control nahi ho ga to ap ko achi earning karne me problem ho gi lehaza hum sub ko chahiye k agar hum ne achi se achi earning karni hai to pehle apny emotions ko control karna ho ga ta k hum bhi achi earning kar sake or humara bhi bare bare traders me nam ho so emotions ko control karna bohat zaroori hai achi earning karne k liye.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X