forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    forex main loss krne kay bad forex ko chor daina
    dear main sab members sy yeh raye laina chhata hon ky kuch dost forex to join kr laity hain lekn jb loss ho jata hy to wo forex ko chor daity hain kiya unhain forex ko mazeed sekkhna chahye ya chor daina chahye kay unka mazeed loss na ho ap sab es baray main kiya kehty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

    G han dear me apki bat sy itfaq karta hon apny bhot achi bt shear ki hai dear mery kheyal me forex ko join karny k bad hamen sab sy pahly forex ka knowledge hasil karna chahye or phar posting me mahnat karen ta kah acha bonus a jay ham ye setup sekhty nhe han or or tarding start kar dety han or loss to hona hota hai
    • #3 Collapse

      Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

      Dear friend aksr new join krnay walay forex trading ko bahot easy smjh kr join krtay hn aur jb shro mn he loss hota ha to forex ko chhor detay hn to meray khial mn aisa naen krna chayay unhen mehnat krni chayay aur forex k baray mn knowledge aur ziada experience hasil kr k dobra try krna chayay to zroor profit bhi hasil hoga
      • #4 Collapse

        Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

        Forex ko chorr denay ka sochna bhi nahi chahiye jasay kay kaha jata hay traders loss kar kay he seekhtay hain so jab aap ko loss hota hay aap success kay kareeb he hotay hain aap ko apni performance achi karnay ki zaroorat hoti hay aap skills achi kar saktay hain so aap ko forex chorrnay ka decision bilkul bhi nahi lena chahiye aik big business ko chorrna wrong hay
        • #5 Collapse

          Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

          Dear ziada tar new join Krny Waly ko job loss ho jata hai to wo forex ko chor dety hain laken mery kahyal aesa nahi karna chiay jo loag loss my jaty hain unhy chaiy k bajay es k wo forex ko chory balky es k bary main mazeed knowledge akhti kary aur apny seinors sy es K bary may sekhy ar dobara shrow kry profit hasil kr skhty hain
          • #6 Collapse

            Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

            BiLkUl Sahii kAhaa Hai Aap Ne DeaR...FoRex Main Loss k Baad TraDiNg Ko ChoRna NaHii ChaahiYe Or KoShiSh KaRni ChaahiYe k agar LoSs Ho Bhi Jaaey To Usay JaLdi main Koi Bhi Trade Nahi Lagaani ChaahiYe Or koShiSh kaRni ChaahiYe K Jo Bhi trade lagaai JaaEy schi TaRha SoCh samajh KaR or MaRket Trend Ko deKhtay Huay laGaani chaahiYe...or Agar Loss ho Bhi Jaaey To FoRex ChoRnay ki Bajaaey oR Zyaada meHnat KaRni ChaahiYe...
            • #7 Collapse

              Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

              Nahi loss kay bad forex ko chornnay ki soch aik looser ki hogi jo khud ko looser maan ley jab aik trader mistakes kar kray trading mei loss kar dey loss ki wajah bhi usko pata ho tou next wo profit ki taraf step ley sakta hay kay ab wo mistakes ko repeat nahi karay ga so asi condition mei forex ko leave karnay ki soch wrong hoti hay so ye thinking nahi honi chahiye
              • #8 Collapse

                Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                Forex aik business hy or her business main loss or profit dono sath chaltay hain loss ker k hi insaan bht kuch seekhta hy loss hone ka matlab ye ni k app disheart ho ker is ko chor dain balkay himat se kaam le ker forex ko join hi rakhain or musalasal struggle kertay rahain aik din app zaroor kamyaab hon gay forex ko chor daina koi aqalmandi ni hy
                TOM AND JERRY Trading Journal :1f339:
                Please visit my trading journal from here
                • #9 Collapse

                  Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                  Ni ye galat baat hai men is see agree Ni karta ap koi bi kaam Kar Lyn apko us men loss kabi na kabi zroor ho ga aisa possible he Ni hai k AP ko hmesha profit he ho forex men bi profit aur loss sath sath hoty Han loss hone par himmat harny ki bjae agar ap losses see learn krna shuru kr dyn to ap na sirf loss ko recover kr saken GE balky is k sath sath AP apny losses ko Kam bi kr saken GE is liye loss ho Jane par forex ko chorny ka galat faisla kabi mat kren.
                  • #10 Collapse

                    Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                    ap jo b business karty hain us main profit aur loss donu hoty hain is k matlb ye nahi hota hai k ap loss ki waja se kam chor dain .forex main agr ap ko loss hota hai to ap ko kabhi b kam nahi chorna chahye agr ap kam chor daity hain to its mean ap dar gay hain is tara ap kbhi b kamyab nahi ho sakty hain jab loss hota hai to apni mistake ko point out karain aur is se kuch seekhain mazeed mehnat kar k successful hun.
                    • #11 Collapse

                      Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                      no sir ham ko aesa kabhi bhi nahi krna chahiy hai ham ko a main loss ke bad ham ko forex trading ko chor nahi dena nahi chahiy hai bal ke ham ko as main aor bhi zyada mihnat karny chagiy hai tu hi ham a samian kamyab ho sakte hain as main ham ko dil se kam karna chahiy aii
                      • #12 Collapse

                        Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                        forex mai agar hum loss kar dety hain to hamy isy corna nahi chahey forex aik international business hain is mai dunya ky bary bary mumalik sahmil hain yai pakistan mai legal ban cuka hain hamy apne galtiyo py gur kar ky mahnet sy kam karna chahey pher he hum acha bonus earn kar saky gy forex aik real business hain
                        • #13 Collapse

                          Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                          Dear friend forex trading ak boht acha online business hai loss or profit dono hoty hai agr apko loss ho jata hai toh forex trading ko chorna nahi chahiya balka sabr or himat sy kam lena chahiya or khoshish karty rahna chahiya galti kar ka he toh insan seekhta hai forex ko chorna ka sochna nahi chahiya mere khiyal me forex sy best business or koi nahi hai
                          • #14 Collapse

                            Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                            Sir as dunya mien hamain profit bee ho sakta hai or hamain as mien aa ker loss bee ho sakta hai agar hum as mien aa ker aik bar loss kerty hien tu or us loss k bad forex ko chor dety hien tu yeh achi baat na hai hamain as mien agar aik bar loss be hota hai tu hamain as mien himmat ker k or dil jan say as mien kaam kerna chahye or as mien success k lye fully try kerna chahye.
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: forex main loss krne kay bad forex ko chor daina

                              Dear brother jinko forex trading mein loss hota hai woh is liye is business ko chor dety hein kionkeh un mein knowledge ki kami hoti hai jiski waja se unko aksar loss hota hai agr woh join krny se pehly proper learning krein tu mery khayal mein woh kabhi trading ko nahi chorengy kionkeh is business mein agr acha knowledge hai tu aap boht achi earning kr sakty hein.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X