Forex trading main mayosi

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading main mayosi
    Members jab bhi ham forex trading karte hain to us main start main loss hota hai jis se akshar traders is ko chor jate hain woh is waja se forex trading ko nahi kar pate meri un tamam ko advice hai kay wo forex trading se mayoos na ho bulke isme demo account par practice kare jab woh is kabil ho jaye ke woh samjain ke wo is main both achi trading kar sakte hain real account mein trading karin..
    THKS
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading main mayosi

    Mayosi ginnah hai. Aik new trader jab trading start kerta hai. Aur kgas ker hum jo Pakistan forex forum ky through trading kerty hain. Jab hamein bonus milta hai to hum bahut excited hoty hain trading ky liye. Aur jab hamein loss hota hai apny kam experience ki wajah se to hum mayos ho jaty hain aur trading chor jsty hain. Is trah nahi krtna chsye. Pehly trading ko seekhein aur phir trading kerni chsye.
    • #3 Collapse

      Re: Forex trading main mayosi

      mayosi gunah hai phir chahe forex ho ya koi bi aur kaam khud ko mayosi se jitna ho ske door he rakhen hamesha khud par aur apni mehnat par bhrosa rakhen ap ko kamyabi zroor mily ge mayos ho kr ap na to is kaam par focus kr sken ge na he ap ka kisi kaam par koi etmaad rahe ga is liye behtr hai mayosi chor kr mehnat par focus kren.
      • #4 Collapse

        Re: Forex trading main mayosi

        Jeb loss hota hey to pereshan to her trader hota hey. Kuch trader apny emotions per control kerty hain to kuch tention ley jaty hain. Trade lagaty waqt ager apna mind set ker lia jaey keh is trade per kitna profit aor kitna loss lena hey to phir is tention se becha ja sekta hey. Ager emotions per control kia jaey to phir bhi loss ko bear kia ja sekta hey aor kisi kisam ki mayusi se becha ja sekta hey.
        • #5 Collapse

          Re: Forex trading main mayosi

          Ap jab bhi trade lagain to ap ka mind set ye hona chaye ky is trade se mujhy profit bhi ho sakta hai. Aur loss bhi ho sakta hai. Jab ap ka zehn profit ky sath sath loss ky liye bhi tayyar ho ga to phir ager app ko loss ho ga to ap ko itni mayoosi nahi ho gi.
          • #6 Collapse

            Re: Forex trading main mayosi

            forex business main loss and profit dono hain loss and profit hr business main hota hy lekn apko yeh daikhna hy kay agar ap loss ki wjah sy forex chor dain gy and mayoos ho jayn gy to ap kaisay earn krian gy forex main agar apka loss ho jata hy to apko mayoos nahi hona chahye ap apni mistakes ko daikhain k kis wjah say apka loss howa hy and apni mistakes ko clear krain mayoos na no himat na harain.
            • #7 Collapse

              Re: Forex trading main mayosi

              Profit loss online trading ka part ha agar ap profit earn karty hain to us k sath sath ap ko loss bhi ho sakta ha loss hoany ki baht sari wajoohat ho sakti hain jaisy....
              1.Knowledge ki kami
              2.Experiance ki kami
              3.Market ka ashi trh say analysis na karna
              4.Trade main jald bazi karni
              5.Lalich karna
              Ye wo sary factors hain jin ki waja say loss hota ha ar aksar new memebers ko loss hota ha ar some time loss pe loss hota chala jata ha to es surat main un ko mayoos nahi hona chahy rather un ko es loss ko recover kar k dbara ashi trade karty hoay profit earn karna chahy
              • #8 Collapse

                Re: Forex trading main mayosi

                Ni forex trading men Mayo's hona galat hai loss aur profit to har kaam men he hoty Han is ka ye Matlab to Ni k loss hone par Mayo's ho jae insaan balky loss hone par koshish krni chaheye k apni galti ko dhondhe aur next time us galti ko samny rakh kr trading kren ta k dobara wo galti repeat na ho aur wesy bi mayosi gunah hai is liye is gunah see cheen khud par air apni mehnat par bhrosa kren ek na ek din mehnat ka phal zroor mily ga.
                • #9 Collapse

                  Re: Forex trading main mayosi

                  Forex mein wohi log mayous hotay hain jo kay forex mein kuch seekhtay nahin hain aur jis ki wajah sae unhain forex sae kuch income nahin hoti aur yehi log forex mein apna time waste kertay hain aisay log forex sae bahut jald mayous ho jatay hain aur woh dosroun ko bhi bad gumaan kertay hain
                  • #10 Collapse

                    Re: Forex trading main mayosi

                    Forex sae kabhi bhi mayous na hoon balkay iss kaam mein apni mehnat jari rakhain aur allah kisi ki mehnat ko raigaan nahin janay deta aur mehnat ka phal her aik ko milta hai aap iss ko seekhain aur iss ka knowledge hasil kerain tou aap ko iss mein zaroor kamyabi milay gi
                    • #11 Collapse

                      Re: Forex trading main mayosi

                      forex mai agar hamy loss ho jy to hamy mayus nahi hona chahey hamy apne galtiyo ko avoid kar ky kam karna chahey pher he hum loss sy bach ky saky gy or acha bonus earn kar saky gy forex east wast mai bohat taze sy phal raha hain forex mai hamy weekly target bana kar kam karna chahey forex aik real business hain
                      • #12 Collapse

                        Re: Forex trading main mayosi

                        new members jab bhe forex trading start krty han or bina knowldge k trade lagty han r jb unko lose hota tu wo is kam sa kafi mayus ho jaty han hla ka hmy is kam sa mauys ni hona chaiya bhaly is kam pa hardworking kr ka is kam ko proper sekhna chaiya taky hm ak profitable trade laga sken
                        • #13 Collapse

                          Re: Forex trading main mayosi

                          Asalm o alikum dear friend and dear members . . ap sub log janta ha ka forex ma trading ma mayosi tab hoti ha jab apko zayda loss ho or . trading ma loss tab hota ha jab apko trading skill ma ho or apko forex market kia jankari nahi hoti or stop loss ka bara manhi pta hota or jab loss hota ha to account wash ho jata ha jis sa logo ko mayosi hoti ha .
                          • #14 Collapse

                            Re: Forex trading main mayosi

                            G bhai apny thek kaha hy boht sy log esy hy Jo trading ko boht asan smj k shuru krty hy jis waja sy unhy kafi loss ho jata trading boht hi complicated hoti hy is movement ko smjna boht hi muskil hota hy humy long time trading krny k liy knowledge hasil krna boht zroori hy
                            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                            • #15 Collapse

                              Re: Forex trading main mayosi

                              Boss hamain forex mien jab kaamkerna hota h tu as mien hamain jab loss hota h tu hamain as mien kabi b mayos na hoan chhaye agar ham as mien apna nuqsan kerne k bad phir b as mien mayos hote hien tu ye achi baat na h as lyee hamain as mien her bar dakh ker kaam kerna hota h aur kamaee k lyee koshesh kera hota h.

                              اب آن لائن

                              Working...
                              X