Forex main jub hum trading kartay hain tou aksar o beshter yahi hota hai ke hum dosron ke signals ko dekh letay hain oar agar woh signals hamaray haq main hon tou hum uss trade ko chalnay detay hain halankey wo loss main bhi jaa sakti hai oar dosra yeah ke agar unke signals hmaray against hon tou hum dar dar ke nuqsan main close kar detay hain lekin zyada tar woh munafaha main chali jati hai iss leye humein chahyye ke hum apna analysis khud karen oar trade karen
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим