Aap jo trades kertay hain unn ka record kaisay rakha jaye tou friends jab bhi aap koi trade kerai uss ka stop loss aur take profit laga ker uss ka screen shot lae lain aur uss per date likh lain aur jab woh trade close ho tou aap dekhain agar loss hua hai tou kyun hua hai kahan ghalti hui hai aur agar profit hua tou kyun hua hai uss trade mein aisa kya tha kay market nay ussay follow kya hai aur aisa kernay sae aap forex ko seekhain gay aap jo ghaltian kerain gay woh aap ko timely pata chal jayain gi aur aap unn ko jaldi theek ker lo gay aap ka trade kernay ka level bhi barh jaye ga kuch hi arsay mein aap ko pata chal jaye ga kay market kab aur kis time move kerti hai aap aik experiance trader kuch hi haftoun mein ban saktay hain
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим