Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?
    Dear pak forex forum users mera aap sab logon sy aik sawaal hy k agar hamara capital ya investment kam hy tou kia tareeqa ikhtiaar kiya jaye k ham survive kar saken or account wash honay say bachaya ja sakay, aap ki advice ka muntazir hn,
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

    Dear frend hmary pass agar investment kam ho to hmy chaye k hm apna lot size kam sy kam rakby kun k agar hmara lot size kam ho ga to jab market up ya down jaye gi to hmara account washed nai ho ga es tarha hmy profit to ho ga he laken hmy bhot zayda loss nai ho ga.
    • #3 Collapse

      Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

      Dear hamain daikhna chahye ka hamary pass capital small hai to hamain kam se kam speead waly pairs pa trading krni cahahye or jin main variations kam se kam hn ta ka loss na ho.
      Hamain kam capital waly acount se maximam kosish krni cahahyr ka currency pairs pa trading krain q ka un main soread level b kan hota hai or varitions be kam hoti hain.
      • #4 Collapse

        Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

        Ji dear apne bohat acha sawal kia ha mere khyal mein low capital k sath trading k liye apko apni trade ki lot ko kam se kam rakhna chahye aur un pairs p trade krni chahye jin ka spread aur movement kam se kam ho aur SL , TP ko lazmi use krain is apka account safe rhe ga.
        • #5 Collapse

          Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

          Short capital mai trading bahot hi ehtiat se krni chaye kuen k ap small capital p big profit target nae rakh saktay agar ap k pas small capital account hai to is p ap small lot size k sath trade lgaein and small capital p ziada money management ki zarorat hoti hai and is k sath apki planning and trading strategy b strong honi chaeye agar ap yeh sab kuch perfectly kar lain to ap easy ho k apnay small capital p trade kar saktay hain kuen k market mai mojood risk value ko achi planning trading strategy and money management se kam kia ja Sakta hai
          • #6 Collapse

            Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

            Dear forum friend ap ka sawal kafi important hai or meray khayal main agar hamari capital ammount kam rah gae hai to hamain sabar karna chahye or mazeed trade nai karna chahye, jab tak capital ammount barh nai jata. Kyon k jab ap loss kartay hain to us waqat ap ka mind set sahi kam nai kar raha hota or ap mazeed ghalat decisions kar k washout karwa letay hain.

            Safe treeqa yahe hai k capital ammount achi ho to trade kartay rahain or trade main maza b ae ga warna washout ki tention he rahay gi.
            • #7 Collapse

              Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

              Bhai agar aap kay pas balance kam hai tou aap apnay nazdeek greed ko na lagnay dain aur jab aap ko market mein koi acha entry point milay tou aap iss mein trade lagain lakin lot size small rakhain kyun kay aap ka capital kam hai tou aap kam profit kay lye hi trade kerain zayada profit ka kabhi bhi na sochain jab capital kam ho tou
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Short capital mn trade kis tareeqay say ki jaeye?

                Gee haan jab account mein balance kam ho tou aap ko chahyea kay aap forex mein koi bhi risk na lain aur trading mein small lots ki trade lagain aur aik waqt mein aik trade lagain aur thora profit honay per trade ko close kerain aur iissi tarah thora thora profit jama kerain

                اب آن لائن

                Working...
                X