forex trading krtay hua account wash honay se kaise bachain?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    forex trading krtay hua account wash honay se kaise bachain?
    dear forex traders hm apni trading krtay huay kin kin baton ko zehan me rakhain jin se hm apna account wash honay se bacha sakain ar agar loss ho to recover kaise karain
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    forex man trader ager account wash say buch jai tu buhut hi acha ha kun k ager trader k pas uquity hi na bachay tu trade kis tarhan kery ga or loss huwa hota tu equity say recover tu kiya ja sakta na.
    • #3 Collapse

      Forex mein account wash hona 1 sub se bara masla hai kuin k jb hum forex mein aty hain to humein money management karna nahi ata jis k waja sy hum lalach mein a kar bari lot utha lety hain.. humein money management sekhni ho ge pir hi kuch ho sakta hai.
      • #4 Collapse

        New traders k lye bahot hi bara masla hai yeah k account wash ho jata hai is se bachne k bht se tareekay hain SB se pehla AGR ap new ho to khud se koe trade na lgaein kisi senior se guide le k lgaein and sath sath demo p practice b karein kuch arsay bad ap expert ho jaein gay phr account wash ka masla nae ho ga forex p kam krne k lye experience ka hona bahot zarori hai so work hard
        • #5 Collapse

          Dear ap ko tradeing main zeyda loss say bachny ky ly chand eik baton ko zehan main rakhna chay jen ky istamal say ap apny account ko wash hony say bacha sakty hain sab say phly to ap acachy analysis kay bad trade open oarin or apny capital ko manage kart hoy lot size kam say kam lain or jab ap trade open karin to apna stop loss zaror set karin takh zeyda loss say bacha ja saky agar ap en baton par amal karin gay to zeyda loss say bach jain gay
          All The Best Dear Friends
          • #6 Collapse

            Dear account wash hony mein hamari apni hi mistake shmail hoti hain aek to sab bari jo mistake hay stop loss aor take profit k baghair trading karna...trading k doran money management na karna bary size ki lot laga agar hum in points ko observe kar len to kam sy kam account wash nai ho ga baki loss thora bahut ho jaye to usy cover kiya ja sakta hay
            • #7 Collapse

              Dear forex trading krty huay account wash hony se bachana bht zarori hota hai q k agr wash ho jaye to hmy pora month wt krna parta hai next bonus ka so jb bhi trade lgaien to short limit ki lgaien or stop loss k tool ka isatamal zaror kren phr hmari trade auto pa close ho jati hai agr loss m jaye to sk without it loss hony k chances bht hoty hain
              • #8 Collapse

                achi trading kya liya 4 chazo ki zarorat hy 1 )market ko achi tarah say study kerna 2) jis pair per trading kani ho is ko dekhna 3)is pair per trading nai kerna jis ki movement bahot taze ho 4)lalch nai kerna bus phir ap eik achi trade ker saktay hain
                • #9 Collapse

                  Agar ap kamiab aur profitable trading karna cahte hain tou us k liay zarori hay k ap jab bhi trading karain hamesha apne capital k mutabik trade karain money manegnent ka khass khyal rakain small lot k sath trade open karain aur trade karne se pehly market ki movement konlzmi watch karain ache analysis karain us k bad koi trade open karain take ap profitable trade kar sakain aur loss free trade kar sakain
                  • #10 Collapse

                    account agr wash hota hay to is main lack of leraning ki wja say acount main loss hota hay humain hard work kar kay achy say trade karna ho ga acount ka sahi use karty hain to hi market ko smjh sakty hain magr is main stop loss ko b lga sakty hain jis say aik limit mil jati hay jis say trade main ziada loss nai hota hay or limit tk trade close hoti hay
                    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
                    • #11 Collapse

                      agar hum apny trading account ko sahi trha manage kar kay kam nahi karen gay to es trha hum apny capital ko zaya kar sakty hay aur es trha nuqsan he hota hay es liye humay en sab say bachnay kay liye money management karty huway aur trading ko seekh kar karnay say he faida hota hay tab he safe trading ki ja sakti hay

                      اب آن لائن

                      Working...
                      X